Winter skin care routin

 Winter skin care routin


Winter skin care routin




Aaj ham bat karenge sardiyo me jo rukhi sukhi black skin ho jati hai aur nahane ke baad bhi skin khichti hai.aur khujli bhi aane lagti hai.aur jalne lagti hai.to iska solution kya hai.kese rukhi bejan skin ko tazgi de sakte hai shiny bana sakte hai.iske liye aapko kya kya karna hai me bataungi

deep hydriding moisturizing cream banana sikhenge aur naturally face wash banaenge






Dosto aaj kal life Itni fast ho chuki hai.ki hame ye sab gharelu nuske bhi karna tough lagta hai. lagta hai jaise kisi ne task de diya ho lekin jab ham apni skin ko apna nahi samjhenge esebhi chhod denge to ho sakta hai time se pehle hi ispe jhurriyan aa sakti hai.skin latak jati hai. Aur waqt se pahle hi kharab ho jaati hai.aur esi skin to kisi ko bhi nahi achhi lagti to aaj se hi apni skin ka khayal rakhna shuru kare chahe shardiya ho ya garmi ya barish apni skin ka achhe se khyal rakhe mosam ke mutabik chije use karke  me aapko bahot hi simpale aur aasan tarika bataungi shardiyo me skin ki care kese karni hai.ye bata rahi hu iske karne se sardiyon me bhi aapki skin soft aur glowing rahegi







Sardiyo me hawa sukhi hoti hai.jo hamare body ke pani ko skin se khichti hai. Aur skin ko sukha deti hai.sabse pehle to sardiyo me dil na kare to bhi pani piye halke garam pani me aadha nimbu daal kar piyoge to pet aur skin dono ke liye achha hota hai.sardiyome rojana halje garam pani se nahana chahiye kyoki body 




pe pani dalne se skin hydrate hoti hai.

Sardiyon me subha ke time nahi nahana chahiye aue jab aap school se colege se aur office se wapas aate ho tab halka garm pani aur mild soap jaise ki pears soap cetaphil gentle skin cleanser se nahaye nahane ke baad abhi skin me thoda pani rahe tab hi pyor surajmukhi oil ya pyor til ka tel ya pyor extra virgin olive oil achhi tarah laga le ye oil sardiyon me jamte nahi hai.





skin per acchi tarah failte hain. Aur aapke skin per pani ko evaporate nahin hone dete jin logo ko oil lagana achha nahi lagta who cream ya lotion lagaye lekin behtar yahi hai ki ye tel hi lagaye ye skin ke liye best rahega kyunki tel natural moisturizer hai. Inmein koi chemical nahin hota aur gili skin me achhe se observe ho jata hai. Jin logon ki skin sensitive hai who bhi in oil ko aaram se laga sakte hai.






Shamko nahane se skin ki din bhar ki gandagi saf ho jati hai. Jab aap saaf skin per oil lagate hain to uska asar achcha hota hai aur usko raat bhar ke liye saf  skin ko soft karne ka achha moka milta hai.aur nind bhi achhi aati hai.jab ham bina nahaye ste hai to din Bhar Ke door Mitti mail pollution gandagi hamare skin ko lag jaati hai. Vahi gandgi skin ko raat bhar sukhati hai aur fir irritate karti hai.jisse khujali bhi chalti hai aur ab subah uthkar to sirf aapko face ko hi wash karna hota hai.who bhi halke garam pani se dho kar haath per aur muh pe firse oil lagana hai.


Aisa karne se  skin ekadam mulayam rahegi aur skin mulayam rahegi  aur sukhegi bhi nahi aur skin mein khujali bhi nahin chalegi yah oil chipchipe nahin hote skin nein absorb ho jaate hain. Agar aapki skin sardiyon se sukh rahi hoti  hai to jarur aap aazma ke dekhen yah oil ek week mehi fark dikhne lagega



Natural moisturizer





Bahir ke moisturizing cream mein chemicals mile hue hote hain ham banana sikhenge deep moisturizer jo aap ki skin ko naram mulaym rakhega aapke nikhaar ko kabhi kam nahin karega skin ko hydrate karega kitne logon ki skin Itni dry ho jaati hai jaise nikaalne lagti hai dandruff ki tarah

to insani problem kahan hal aaj aapko milane wala hai. To chaliye sikhate hain deep hydrating cream chaliye sikhate hain deep hydrating moisturizer jo aapko glowing look deta hai woh kaise banta hai.





Ingredients





Shea butter agar aapke pass shea  butter nahin hai to fir desi ghee le le Aur who bhi na  ho to bahar se makkhan le le whi bhi salt free makhkhan ya dairy ka makkhan do chammach jesa shea butter me shea butter leti hu adha chammach castor oil ek chammach nariyal tel yah moisturizer chahie aap chehre per lagaen ya fati ediyon per lagaen skin esi cracki ho jaati hai jaise ham jameen ko pani na de to usmein kaise crack pad jaate hain vesi skin ho jati hai.har tipe ki skin wale log lagaye fir ek bottel glycerine ab ismein almond oil jayega ab  in sabko acche se Itna hai jaise ham cake ko fatte hai. 







Yah sab chijen vitamin A  aur vitamin E ka khajana hai. Aksar aisa hota hai ki  aksar aisa hota hai ki ham moisturizer lagate hain to usseskin black ho jati hai. To is  cream mein aap lemon association oil dalen isme vitamin c hota hai aap isme das katre dale fir aap ismein aloevera gel dalen apne ghar ke plant ka aloevera jail aap bahin dal sakte aapko bahar ki company ka jo bhi alag alag tipe ke milte hai jo aapko achcha lagta hai aap who daal sakte hain main mama earth use karti hun jitni cream hamne banai hai utna hi alovera gel dale aur achhe se mix kare isko achhe se fettna hai.

raat sone se pehle lagaye aur fir mujhe bataiyega




Winter face wash banane ka tarika


Aaj ham banaenge winter face wash lekin ismein koi shop nahin hai.Sardiyon Jo hamare skin khinchi khinchi rahti hai use mulayam karega yah skin ko glowing to banaega lekin skin ko kharab nahin karega

Ingredients

Mung ki daal, peanut oil yani mungfali ka tel mungfali ka tel na mile to aap lauki ka tel bhi use kar sakte hain. Shehad,baking soda

Use kese kare






Sabse pahle mung ki daal ko ekadam barik aate ki tarah ekadam bahut hi barik pees leni hai. Mung ki daal ko natural detergent bhi kahate hain. Yah sab chijen milakar nahin rakhni jabbhi use karni ho din me ek baar use karna hai to jab bhi chehra dhona ho to adhha chamnach mung daal powder le ek pyalime adha chammach oil  shahed bhi aadha chammach ek hi baar karna hai to thoda sa rich face wash ho jo aapke dart  particles



he  wih bhi nikal jaaye ek pinch chutki khaneka soda baking powder aur ine sab chijon ko acche se mix kar dena hai.







aur aap jitna achcha mung ki daal ko grind karenge pisenge utani hi achcha aapka face wash banega abhi sardiyon mein shaadi ka season hai aap isase bahut achcha body wash bhi kar sakte hain. Aur aapke pass koi aisa facewash nahin hoga jo natural moisturizing bhi karen kamal ka banta hai yah face wash aap jarur try karen aur uska fark dekhen feed back bhi jarur dijiye duaao me yaad rakhiyrmega khush rahe aabad rahe

Post a Comment

3 Comments