Chhoti umar me hi baal kyo safed hote hai.
![]() |
Chhoti umar me hi baal kyo safed hote hai. |
Doston aaj ham baat karenge chhoti umra mein hi bal kyon safed hote hai uske reason kya hai aur uska Ilaaj kya hai.vese to normally balon ka safed hona 35 ya 40 ki umra mein shuru ho jata hai. Aajkal Ham Dekh Rahe hain ki 20 sal ke aaspaas ya 15 sal ke 10 sal ke aur usse bhi chhote chhote umra ke school jaate bacche hain unke baal safed hone lage hai.aur bacchon ke confidence khatam hone lage hain.to aaj ham isike baare me hi janege to chaliye jante hai kya hai.
Chhoti umra me bal kyo safed hote hai.
Hamare balon ki jad aur skin mein Ek special cell hota hai jiska name "MELANOCYTE" hota hai.Yah hamari skin aur balon mein black color banate hain.
Jitna black color yah cells banate hain. utna hi hamare skin ka color black hota hai. Hamari genes is baat ko tay karti hai.ki hamari skin aur bal kitna kala rang bana sakte hai.jinki skin mein jyada kala rang banta hai unka rang utna hi savla hota hai. Jinka kam Rang banta hai unka rang gora hota hai.
Bahiri reason se balon ka white hona
Ye rang banane wale cells bahot hi najuk hote hai. Hamare body mein kisi bhi tarah ki mushkil aane per inke rang banane mein rukavat aa jaati hai. For example kisi bhi tarah ta tanaw yah tension lambe bimari jaise typhoid malaria ka bukhar diabetes
Asthma aur kidney ki bimariyan aadi hone par hamare bal safed hone lagte hai. Kuchh reason hai jo medically jankar reason hai jise ki hamare bal safed hone lagte hai.
1. Genetically jis kisi ke pure ghar aane mein sab kogon ke bal jaldi safed hote hain vahan per unke bhi bal bhi jaldi safed hone lagte hain.
2. Hamare body me vitamin B12 or vitamin B5 ki kami
3. Body me khoon ki kami se bhi bal jaldi safed hone lagte hai. Hamare body mein hamare body mein harmons ka santulan khone se bhi bal safed hote hai.joki aksar tanaw tention se ho jata hai. Thyroid aur growth hormones ka body mein kam jyada hona joki aaj kal jawan logo me bahot jyada hone laga hai.
4. Ladies main pregnancy aur menopause ke time harmons ka kam jyada hone se bal safed hone lagte hai.
Logon ne stress ko kam karne ke liye coffee sharab cigaret aur drugs jesi chijo ka bahot istemal karna shuru kar diya hai aur aaj kak ki fast life log gharme kam khate hai bahir ke khane jyada khate hai aur hamari generation bhi aajkal jang food ki taraf ja rahi pizza, junk food kito aaj ki generation diwani hai.junk foid ke chalte log hari sabji khana bhul gaye hai.aur jo body ko vitamins minerals chahiye who nahi milte aur aankho ke number badhne lage hai aur bal bhi umra se pehle hi safed hone mein in sab ka mila jhula reason hai.
Kya kya karna chahiye umra se pehle safed hona rokne ke liye
Wese jab bal ek bar safed ho jaaye to fir usko fir se black karna bahut mushkil hota hai.fir bhi ham kuchh treatment kar sakte hain jisse balon ka safed hona ruk sakta hai. Sabse pahle to aap apna sar saaf rakhen aur jinke chhote bal hai who to rojana koi achcha mild shampoo se apne bal dhoae jin ke bal lambe hain who ek din chhodkar ek din apna sar shampoo se dhoye aur balon ko bilkul saaf rakhen vitamins or minerals wala paushtik khana khaye junk food aur bahut shakkar wali soft drinks aur tali hui bahot masale wali chije avoid karen khane me jyada namak na dale usse bhi bal safed ho jate hai.
Din Mein 10 se 12 glass pani jarur piye taki body mein jama gandgi bahar nikal jaye sharab cigaret aur coffee kam se kam use karen meto kehti huki piye hi na roj khuli hawa mein tahale exercise karen aur tanav Se dur rahe exercise karne se body mein Khoon ka exercise karne se body mein khoon ka bhav badhta hai aur isse nahi sirf skin saf hoti hai. Bal ke balon ki jadon mein poshan bhi acchi tarah pahunchta hai. Vitamin B12 B complex ki goli bhi दmdo tin mahine lene se bal safed hone se ruk sakte hain.khas karke who log jo vegetarian hai. Vitamin B12 sirf ande machhali dudh makkhan ghee me hi paya jata hai.
Fal aur sabjiyon mein yah vitamin nahin paya jata isliye jo vegetarian hai who apne dr.ki salah lekar le sakte hai.isse bhi balon ke safed hone me kafi rukawat aa sakti hai. In sab ke sath sath aap kuchh gharelu upay bhi kar sakte hain.
Gharwlu nuske
Rojana desi ghee ko garam karke sarme halke se massag kare agar lambe time tak bal sfed na ho esa nuska chahiye to ye kuchh chije karni hogi khane me parheji chaliye batati hu
Khaneme aapko gharka bana khana khana hai. Fruits aur sabjiyan khae fruits ka juce piye salad khayen salad ka juice piye chhachh piya dahi khae dudh piye ghar ki bahot chije hai jo aap kha sakte ho bas bahir ka na khaye
Jo chije nahi khani
Apne khane me samundri namak na khayen uski jagah sendha namak khayen lal namak chini bilkul na khayen maida bilkul na khayen preservative chije bilkul na khaye jo bahir mall mein milte hai.juce sabjiya paki hui milti hai.preservative who sab na khae
Chaliye Ayurvedic aushadhi kya leni hai
Aaj jo me aapko aushdhi batane wali hu ye aape balon ko long time tak black rakhegi
Ingredients:
1.Aawla: 1 kilo aamla le e aur uske tukde karke usko sukha den aur uske bij hai. who nikal le aur aawle ke barik tukde banaye aawla andar se kala pad jata hai.fir in tukdo ko sukha le achhe se sukh jaye to imam daste me kut le aur barik powder bana le fir taza aawla bajar se laye uska juce nikale fir is juce me barik jo pis liya tha aawla who is juce me dal kar achhe se itna mix kare ki juce us powder me observe ho jata hai sukh jata hai.fir barik churan ban jayega esa aapko 21 baar karna hai isko ayurved mein aanwala rasayan kahate hain.aapke pass 200 gram rasayan hai usmein 100 gram bhringraj churn milana hai.
Bhringraj ka bhi paudha hota hai aap apne ghar ke pass laga sakte ho aur use bhi Is tarah aanwale ki tarah sukhakar aur aisa hi karna hai fir subha khali pet dudh me mila kar pi le awle ko aap dhudh me le sakte hai
Iske koi side effect nahi honge aur garam chije na khaye mithha neem ki 10 pattiya rojana subha lhali pet aur sham khali pet khaye balon mein oiling karna na bhule balo ko hamesha oiling karke team liya karen hothowel treatment jiski vajah se bal majbut honge tutenge nahi safed hone se rukenge aur tel se balon ko pisan bhi milta hai.to agar aapko meri post pasand aai to jarur is par amal kare aur feedback jarur de .....
1 Comments
Thanks 👍👍❤️☺️🥰😍🤩😘
ReplyDelete