Instant skin ko bright karneka formula

Instant dul skin ko bright karneka formula


Instant skin ko bright karneka formula


Dosto aaj ham baat karenge skin ke baare me jo aaj kal ki bhaagdaud Bhari Jindagi pollution dhul mitti ki vajah se skin bahut hi bejan aur rukhi aur black ho jaati hai usko ham kaise bright karen aur theek karen kese shining aaye skin me kese jaan fir se laut aaye aur aap mahange mahange bahar ke facial se bhi bach jaaoge agar yah nuskha aapane aajmaya aur ye nuskha hai sabse achha sabse sasta aur sabse tikau solution aap ki skin ke blemishes ko dur karega pigmentation mein fark dikhega dhul mitti polution se jo skin dal ho gai hai shawli ho gai hai usko bright karega  aur youthful glow pane ke liye jise ham sab dhundh rahe hain. Alag alag jagah per dhundhte hain parlour mein salon mein kabhi chemical treatment mein dhundhte hain.






Yah jo solution aaj main aapko bataungi yah koi chemical treatment nahin yah bahut hi esy ghar baithe hi ban jaega aapko kahin jaane ki jarurat nahin hai market mein jakar mahangi mahangi chijen laane ki bhi jarurat nahin hai isliye ghar baithe hi aap banaa sakte ho is remedy ki sari chijen aapke ghar per hi  available hai

aur yah har skin walon ko suit karta hai chahe who dry ho oily ho ya mix skin ho



Yah formula aap 16 sal ke bacche se lekar 60 70 ya 80 sal ke log bhi laga sakte hain

skin ko behtar banane ke liye Iske koi side effect bhi nahin hai agar aapke ghar mein koi shaadi ya koi function a raha hai. Aur aap apni skin ko bright aur shiny banana chahte hain to aaj se hi yah solution lagana start kar de aaj raat se hi aur fir aap dekhenge kuchh hi dino mein aapki skin bahut mood bahut bride bahut glowing bahut hydrated lagne wali hai dullness sab gayab ho jayegia to main aapko batati hun kiske ingredients kya hai. Aur aapko isko rojana raat ko lagana hai 1 week mein hi aap iska fark dekhoge kaise aapki rangat badalti hai.





Ingredients:milk milk aap Chahe to raw milk le sakte hain aur ubla hua bhi lekin row milk jyada theek rahega aur dudh ekadam child hona chahie thanda hona chahie chahe to milk piwder bhi le sakte hai.


Dudh ke skin pe fayde kya hota hai dudh me





Doston yeto ham jafi time se sunte aa rahe hain ki purane jamane mein log aur raja maharaja ki jo raniyan hoti thi vah kacche dudh se nahaya karti thi dudh se bachho ko bhi nehlate thi aur dudh se apna bhi skin care kiya karti thi our dudh to balonn ke liye bhi bahot behtarin hai.aur bahot purane time se mana ja raha hai ki dudh hamari skin ke liye bahot achha hota hai.

Darsal dudh me vitami A ,D,K  bahot jyada hota hai. lactic acid Alpha hydrotic acid bhi hota hai  jo skin pors ko tite kareha aur skin ki rangat ko nikharata hai.yahi vajah hai ki log dudhko itna use karte hai skin ke liye aur abto jyadatar beauty product maybhi dudh ka use hota hai sabun mein bhi hota hai.

Dudh ko natural cleanser bhi kahate hain.

research mein yah baat samne aai hai ki dudh dad sales ko hatakar naye sales banata hai.





Agar aapko blackheads whiteheads problem hai.to dudh ki cleansing bahut acchi hoti hai.dhire dhuire dhire  pors se nikalte jaate hain aur porsko shrink karta hai. 



2. Ingredient shahed hai.





Honey antioxidant ka khazana hai. Aur shehad mein bahot sare vitamins aur minerals aapko mil jate hai.sath hi sath shahed me anti aging properties hoti hai.isse juriya nahi aati aur face pe glow bafhta hai  aapki skin jitni bhi ten hai to usko shahed dur karta hai.sath hi sath dhup se jhulsi hui skin ko thik bhi karta hai.



3. Ingredient haldi





Haldi aap kichen se hi lenge koi dusri haldi bahir se nahi lani gharme pisi hui even ke sab masale ghar me hi pise bahir ke packet ke masale aur ghar ke masalon me bahot fark hota hai ghar me pisi hui haldi who kaam karti hai jo use karna chahiye haldi aunty inflammatory hoti hai antibacterial hoti hai joi infection ho jaaye ham haldi wala dudh peete hain to who bhi dur hota hai.jo ghar ki pisi hui haldi aapke chehre yellow stan nahin chhodati vesw bhi bade budhe kaha karte the jo chij aap kha sakte hai who lagani bhi chahiye aur ye sab chije ham kha sakte hai.




4. Ingredient vitamin E capsule





vaise to mene vitamin e pe ek  post likhi hai aap chahe to padh sakte hai ye aapki skin ko poshan dega nutrition dega jiski skin ko jarurat hai. Anti properties hoti hai vitamin E mein evion ki capsule 400 MG ki hoti hai yah ₹35 ki Amaati gai ismein 10 capsule aati hai ye capsule aapkoek  3:30 rupaye ki  padi3:30 rupaye mein aap parlour salon ke mahange mahange kharche 10-10 hajar 15000 ke lharche se bacha sakti hain aur is sade tin rupaye ki capsule mein aapko usee behtar glow pa sakte ho


Banane ka tarika aur laganeka tarika 






Ek chammach dudh me paw chammach shahed ek pinch haldi aur ek vitamin e ki capsul in sabko achhe se mix kare aur ye ban gaya aapka formula aur skin care ke liyevab aap isko roo ki help se thoda thoda lekar chehre gardan hathho pe lagaye achhe se masagg kare fir chhod de aur aadhe ghante ke liye chhod de fir dhole chahe to aap puri raat rakh ke subha uthh ke thande pani se chehra dho le dudh aur honey ne aapki cleansing kar di hai isliye face wash se chehra dhone ki jarurat nahin aur esa rojana regular karna hai.aur 1 week me aapke chehre pe fark dekhenge in sha allah aur Internally bhi khayal rakhe apni dite ka aur me aapko kehti rehti hu pani jyada se jya d7a piye din ke 12 glass to jarur piye sardiyon mebhi aur tel masale wali chije aur junk food na khaye hari sabjiya khaye male female sabhi laga sakte hain khush rahiye khushiya batye  take care allah hafiz......





Post a Comment

4 Comments