Brain damaged hone ki kya vajah hai
![]() |
Brain damaged hone ki kya vajah hai |
Aaj ham baat karenge brain damage kis kis wajah se hota hai.hamari esi kya buri aadate hai ya aur koi vajah se brain damaged hone ki doston ye jo hamara brain hena ye hamare body ka bahor hi ahem part hai allah paak ne isko aur heart ki bahot ehmiyat rakhi hai agar hamara brain hi damaged hone lage to fir hamari life mein kuch nahi bachega isi beain ki vajah se hi ham haste hai bolte hai khate pite hai acchi buri feeling mahsus hoti hai.agar iska khayal nahi kiya to hamari life to bekar hai.aayiye jante hai.brain kyo damaged hota hai kin aadaton se
Doston research mein sabit hua hai ki Jo cheezen heart ko damage karti hai.wahi chizen dimag ko bhi damaged kar sakti hai.ye aap jante hai ki sirf hare brain ka vajan hi dedh kilo hota hai.hamara dimag jo hai uspe hamari puri body nirbhar haidimag hi puri body ko maintain rakhta hai.puri body ko signal deta hai.kab kya karna hai.aur ham apne emotions ko bata sake dusroko aur hamara chalna firna uthna bethna khana pina logo ke sath achhe talluk rakhne ke liye dimag ki hifajat karna jaruri hai.ye utna hi jaruru hai jese ki dusre body parts ko rakhna jaruri hai unki hifajat karna jaruri hai.agar aapka brain damagede hota hai.to iska asar hamar emotions hamari soch hamare chalne firne logoke sath talluk par aur hamari feeling par asar padta hai.jese hi umar badhne lagti hai to hamare body parts kamjor hone lagte hai research mein aaya hai ki subah ka nasta na karne se dimag ko jobhi jaruri nutrients milte hain who ruk jaate hain kyunki ham sabha ka nashta skip kar dete hai jiski vajah se brain damagede ka khatra badhta hai.
Kin chijo ki vajah se brain ko jyada nuksan hota hai .
namak ka jyada istemal nahi karna subha ka nasta skip nahi karna mobile ka use kam kare isse bhi brain cells damaged hote hai puri nind leni hai.kam se kam 8 ghante ki nind to leni hi leni hai.haa lekin bahot jyada sona ya fir bilkul nind hi na lena ye bhi vajah ban sakti hai aapko bhul ne ki bimari aur sar se lekar per tak dhak kar na soye iski vajah se dimag ka vikas ruk jata hai oxygen kam milta hai aur carbon dioxide jyada ho jata hai is vajah se kabhi kuchh khaliya kabhi kuchh kabhi jyada kha liya kabhi kam kha liya kabhi bilkul na khaya to esa nahi karna hai time to time khaye aur ek time bana len ki ye time pe hi khana hai aur bhukh lagne par hi khaye aur thodi bhuk rehne par khana chhodde agar aap ek time rakhlo ge to bhukh bhi wahi time pe lagegi me bhi esa hi karti hu jo time pe dopehar me khati hu rojana wahi time pe khati hu
Ham jo bhi kuchh bhi khate hain to uska asar hamari body per bhi dikhta hai.aur dimag par bhi agar aap long time tak sugar khate hain to fir yah bhi vajah banti hai aapka dimag ko damagede hone mein kyunki is se dimag ka vikas bhi nahin hota ham sab me aksar esa karte hai log ki chhoti chhoti baat par chid jate hai gussa karte hai jiski vajah se nase sakht ho jate hai jo dimag tak khoon pohchati hai jiski vajah se dimag kamjor hone lagta hai
Agar aap bimar ho aur fir bhi aap kam karte rahte ho ya koi dimag wala kam karte ho padhaai hai ya kuchh bhi to fir uski vajah se bhi aapka dimag ki jo kam karne ki takat hoti hai who kam hone lagti hai agar aap jyada andhere mein rahana pasand karte hain aur suraj ki roshani se dur rehte hain to yah bhi ek maja hai ki yah aapke dimag ke tissue ko damage karti hai khali baithe rahane se bhi brain damagede hone lagta hai kuchh na kuchh activity kiya karen akele na rahe kisi ke sath batchit karen ya aur koi activity kiya karen to dimag fresh rahata hai varna to dimag damagede hone lagta hai.jiski vajah se aapko aljaimar jaisi bimari bhi ho sakti hai.
Agar aap smoking karte ho tab bhi aapko dimag bimariyan ho sakti hai alzheimer jaisi aur bhi bimariyan hain to aaj se hi smoking karna band kar de kya aap bhi sar ke pass mobile ko rakh kar sote hain to Yad ko bhi chhod de kyunki mobile mein se nikalne wali jo race hoti hai aapke dimag ko damage kar sakti hai.Sone ka koi bhi time na hona kabhi bhi so jana kabhi to yah bhi acchi aadat nahin hai dimag isase bhi damage hota hai.raatko jaldi sone ki Aadat dalen aur subah jaldi uthne ki hamare nabi karim sallallahu alaihi wasllam ko koi bhi bimari nahin thi uski vajah yahi hai who raat ko jaldi soya karte the aur subah jaldi utha karte the agar ham nohammed sallallahu alaihi wasallam ke jaise live batana shuru kar de to hane kabhi bhi koi bimari ba ho agar unke sunnat per amal karen jitna kam sona bura hai utna hi subha let tak sona bhi achha nahi hai.
Depression bhi ban sakta hai brand image ki vajah aajkal har koi pareshan rahata hai lifestyle ki vajah se aur kabhi naukari kabhi ghar ke kam kabhi rishtedar koi bhi vajah se Insan depression mein chala jata hai kabhi kam itne jyada hote hai time nahi hota ya kam ko time pe na karpane ki vajah se t.v computer ya mobile dekhte waqt khana khana esa kai log karte jiski vajah se brain confused ho jata hai aur insulin badhane lagta hai jo kai bimaryo ko janam deta hai body ko jitne pani ki jarurat hai utna na lene se bhi dimag kam karna band kar deta hai.hamara body me jyada hissa panika hi hai.pani hamari jarurat haidin me 9 glass pani rojana pina chahiye na pine se dimag damage hota hai jyada der tak peshab ko rokane se bhi dimag damaged hota hai.to dosto dekha aapne kesi keso hamari bed habit hai jin ki vajah se hamara dimag damaged ho sakta hai to aap in aadaton ko sudhariye aur brain bhi allah ki neamat hai iski achhese care kijiye......
1 Comments
👍 nice
ReplyDelete