Ashwagandha yani withania somnifera ko kis kis tarah istemal kar sakte hai.

Ashwagandha yani withania somnifera ko kis kis tarah istemal kar sakte hai.






Ashwagandha ko bahut tarike se istemal kar sakte hain lekin aksar logon ko is ke bare mein pata hi nahin hota ki isko kin kin tarah se istemal kar sakte hai aur kitni quantity mein lena chahie aur kese aur kamal ki baat to ye haiki yeh jyada mehnga bhi nahi hota aur chahe mard ho ya aurten har ek ke liye faydemand hai asvagandha ki taza pattiya aue jhadon me ghode ki si smell aati hai isliye iska name ashwagandha rakha gaya hai.aur esa nahi hai ki koi chij bahot fayda karti hai to use hadse jyada khaya kare fir nuksan bhi hita hai me har post me barati hu ki koi bhi chij had me khani chahiye varna to nuksan karti hai.ashvgandha aayiye me aapko batati hu



Ashwagandha ka istemal




Doston ashwgandha ko bahut powerful jadibutti mante hai ayurved mein iski tasir garam hai ashwgandha ki hamari puri body ke nervous system yani hamari puri body ki jo nashe hoti hai.uski kamjori ko dur karke majbut banata hai ashwagandha aur immunity power ko badhata hai. depression on anxiety mein bhi ashwagandha bahot hi use full hai. Jodon ke dard ke liye aur body mein kahin bhi sujan aa jaaye aur beauty ke liye bhi bahut hi useful hai.iske istemal se glow achcha aata hai.agar jo logo ko koi bhi taklif nahin hai vah log bhi le sakte hain aisa nahin Ki jinhen Koi taklif hai vahi len.Chehre per jhurriyan aur waqt se pahle budhe ho jana matlab ki anti aging me bhi kam karti hai.

  




Ashwaghandha kab kese kitna len





Ashwgandha ki jo jade hoti hai usko barik pis kar churn banaya jata hai.to usko aap ek chhoti chammach hai who aadha chammach le sakte hai churan aapko ehtiyat ye rakhna hai ki ke ashwagandha ke side effect hone lage jaise ki constipation ki taklif kahin bar ho jaati hai.Kbhi kabhi body me thodi garmi jesa lagta hai to agar esa mehsus hoto thoda sa dose kam kar aadha chammach lete ho to pav chammach lena shuru karde aur agar is powder ko aap dudh ke sath lengeto bahot hi fayda dega ya fir honey  mein bhi milakar aap isko kha sakte hain.ghee me istemal kar skte hai. Agar yah sab chij  na mile aapko to aap pani ke sath bhi kha sakte hai hamari body ke andar jitni bhi chijen hain un sab ko majbut banati hai aur immunity power ko badhata hai.Aur yah magicaly jadi butti hi nahin hai balki koi bhi rog ho body ke andar koi bhi bimari ho usko yah jad se khatm karne ki takat akhta hai.asvagandha 





Ek medicine plant hai khubiyan kitni hai



Ashvmwgandha agar kisi bhi insan ko body mein kamjori mahsus hoti hai thakan lagti hai thoda sa kam karne per thakan lagti hai chalne per thakan lagti hai un logon ko dudh ke sath ashwgandha lena chahie Inshallah bahut hi fayda hoga jin ladkon ko weakness rahti hai istemal karen diabetes mein aksar aisa dekha jata hai ki lambe time tak diabetes rehne per nase hain who kamjor hone lagti hai to yah problem se bhi chhutkara milega agar supplementary ke taur per diabetes wale log ise le aur aajkal to ladke body banane nein lage hain six pack banate hain to un ladkon ke liye yeh ashwagandha bahot hi jaruri hai kyunki andar se majbut karta hai to jo log jo bacche hain 12-13 sal ke hight nahin badh rahi hai who log bhi ise kha sakte hai.








Ashwagandha ki pattiyan hoti hai usko ubalkar aur un pattiyon ka pest banakar jahan bhi sujan hai body ki koi bhi hisse mein ho uske upar lagaye to whi sujan kam ho jaati hai aur in pattiyon  se body mein nikhaar bhi aata hai agar in pattiyo ki pest banakar lagai jaye to agar aapko jahan joint pain hai.Dard rehta hai to aap ashwagandha ka powder aur suth hoti hai jo adrak sukhi hui adrak uska powder usko suth kehte hain in donon ko mix karke subha aur sham ko ek ek  chammach kha liya karen to Inshallah rahat milegi aur ek salah dena chahungi ki agar aapko koi bhi bimari hai to aise hi apne man se jadi buttiyan aur yeh sab na khaya karen propar doctor ko dikhakar firaap isko shuru karen to jyada behtar rahega kyunki sab Insan alag alag type ke bane hue hain unka khana pina alag hai unko andruni taklify bhi alag alag  hai aur who unka body structure bhi alag hai. Matlab pura system hi alag hai isliye lekin aap tonic ke taur per ek supplementary ke taur per iska istemal jarur kar sakte hain





Beauty me istemal ashwagandha ka 




 Aur agar ham beauty ki baat karen to kin aur bal donon beauty mein shamil hai. Aap isko powder ke taur per lete hain jaise maine aapko bataya ki dudh hai ghi hai to isase Aap Ke Jo andruni Jo aapke body parts hai jo andruni vah majbut hote hain who system aapka majbut hota hai to uska asar aapke chehre per bhi dikhta hai Agar aapke chehre per jhurriyan hai daag dhabbe hain pimples ho rahe hain to fir yah sab aapko problem se dur rakhega aur balon ko bhi lamba ghana majbut aur shiny karega aur wakt se pehle balon ko safed bhi nahi hone deta short mein kahu to yeh beauty ki enhance  karta hai.





Nuksan kya hai




Nuksan mein to yah hai overdose hota hai to sabse pahle to yah aapko hajam hi nahin hoga aur yeh hajam nahin hoga to aapko constipation hoga kabj se hogi aur uski vajah se kya hai ki aapka nervous system jo hai who ekadam lazy ho jaega aapko laziness feel hogi aur iski tasir jo garm hai uski vajah se bhi dusri pareshani abhi a sakti hai.Garmi ki vajah se stul mein aapko bleeding bhi dekhne ko milega aur agar aapko pehle se hi pet mein ulcer hai to fir aapko iska use nahin karna chahie aur agar aapko koi bhi aisi taklif hai jo ghar mein garmi ki vajah se hai to yeh taklif mein izaafa karta hai to aap isko na le aur agar aapko isko khana hi hai to fir aap isko Iske andar jitna asvagandha lete hain utna hi aawla le le aur donon ka powder banakar aap le sakte hain.to nuksan nahi karta to aajki post kesi lagi kya sach much aapki janne ko milta hai.aapko kuchh fayda bhi hota hai me intejar karungi aapke jawab ka.....


Post a Comment

1 Comments