Mithhai pe lagi hui silver ki haqeeqat
doston aaj ham jankari hasil karenge mithaiyon per lagi silver ki jise chandi bhi kehte hain. Aaiae jante hain ki is ki hakikat kya hai yah kaise banti hai aur isko use karne ke fayde bhi hai ya nuksan hai.aur ye kese banaya jata hai.sab kuchh ham janege is silver ke baare me in sha allah doston aapne aksar dekha hoga mithaiyon ki dukaanon per ki mithaiyon ke upar ek silver color ki parat kagi hui hoti hai jisse mithaiyan bahut hi khubsurat lagti hai.aur ye jo upar parat hoti hai ye silver foil hota hai yani chandi ka hota hai.Aur sawal yah uthata hai ki milavat ke is daur mein chandi ka yah foil kitna faydemand hai ya nuksan deh hai.
Aajkal chandi aur sone jaisi cheejon mein milavat bahut aam hai. chandi ki oarat ki purity uske production per nirbhar hai ki who log banate time kitna khyal rakhte hain kya milate hain kya nahin. Kahin jagah chandi ki jagah aluminium ki parat ka bhi istemal karte hain kyonki jahir si baat hai aluminium bilkul chandi jaisa hi dikhta hai.isko taiyar karte waqt saaf safai ka bhi khyal nahin rakha jata aur aise mein asi chandi se saji mithaaiya khate hai to iska aapki sehat pe kya asar hoga andaza laga sakte hain.
Iske alava chandi ke foil ki jagah nickel ya lead foil ka bhi istemal karte hai.jo pet Mein dard hona constipation aur aage chalkar isi tarah ki problem ho sakti hai pet ki isliye ho sake to chandi ki parat lagi mithaiyon ko na khariden aur na khayen ya fir acchi bharose wali dukaan se hi khareed ye to ho gai mitthayo ki baat
Ab dekhe silver foil banta kese hai.
Is chandi ke foil ko banane mein jo mithaiyon per lagta hai usko banane ke liye bhi bahut mehnat lagti hai kai karigar mehnat karke yah mithaiyon per lagi chandi ko taiyar karte hain.kaha jata hai ki
chandi ki ek pati hoti hai lambi si aur uska ek squire sa tukda cut karke kari gar le lete hai.achha interesting baat ye hai ki bakre ya bhed ke baalo wali skin ke niche jo patlisi skin hoti hai jisko jilli bolte hai jo bakre ki khaal ke niche hoti hai us patli skin ko sukha kar ek pag jesa banakar ese 100 ya 200 pag ke ek ek page andar chandi ke tukde ko rakhkar ek bag ke andar dal kar karigar ghanto hathhode se pit te hain aur ye bag bhes ki khak se banta hai.aur vahan tak pit te hain jahan tak pyor chandi ka tukda bada aur patla nahin ho jata squire se chhota se tukda hota hai aur fir pit pit ke usko bada kar dete hain aur fir who chandi ka warakh ban jata hai.aur ha isko do ya dhhai ghante pit ke fir ye banta hai kitni mehnat lagti hai
6
Aur who chamde ki jhilli bhi tiinso ya sade tinso gaddiya banne par kharab hojati hai fir nai jhilli ka istemal hota hai. aur isko bakre ya bhed ki khal se isliye banaya jata hai kyoki isko ghanton pitna hota hai agar koi dusri chij ka lenge jese kagaj ya panni ka to who fat jayega
Chandi ke foil ki hakikat
To doston hakikat me is chhandi ka foil me koi janwaer ki aant ya aur kuchh mila nahi hoto whoto sirf chandi foil ya warakh ko bada karne ke liye bakre ki patli si sukhi hui skin ke niche rakhte hai.baqi aur kuchh nahi haa jesa mene pehle bataya dusri milawat ho sakti baki janwar ki koi chij nahi mili hoti
Karigaron ka kehna hai ki ab to ye chandi ke foil banane ka kam ab kam hone laga hai sirf mithaiyon mein hi use hota hai pehle to yah silver foil ka use hakim dawai banane mein bhi iska istemal karte the fir tambaku banane me bhi karte the log ghar me aamwle ke murabbe me bhi khate the ab to bas mitthayo me use hota hai
Asli chandi foil aur nakli ki pehchan
1.nakli chandi foil jyada shine karta hai aur jyada saaf suthra lagta hai aur chamakdar lagta hai aur asali chandi ki shine thodi dal hoti hai aur jyada der hawa mein pade rehne se hawa mein maujud sulfur aur oxygen ke sath react karega aur iska color dal pad jaega iski misal aap aise le sakte hain ki jaise aapke ghar mein koi chandi ki anguthi ya payal ya kuchh bhi chandi Ki chij hai.usko khula hawa me rakhe to uska color thoda thoda sa dal hone lagega lekin jo nikal hai aur aluminium hai inhe hawa ke sath koi react nahin karte isliye yah chamakdar hi rahte hain. Ye ek pehchan
2. Dusri pehchan
Agar nakali silver foil hota hai usko hath mein pakdate hain kitna bhi hilate hain ek hath se dusre hath mein rakhte hain to jaisa tha vaisa hi rahata hai usmein koi fark nahin aata nahin who tutata hai na hath on mein lagta hai. Aur jo asli silver foil hota hai who hath mein pakdate sath hi tutane lagta hai aur hath mein lag jata hai.ye is had tak barik hota hai ki hatho se nikalna mushkil hai.
Nakli chandi ke nuksan aur ye bante kese hai.
ye jo chamde ki seat hoti hai jismein chandi ko kuta jata hai usmein kai tarah ke 45 chemical milae jaate hain tab jakar who seat taiyar hoti hai aur fir us per lagatar chandi ko kuta jaaye to usmein jo chemical hote hain vah asal chandi mein bhi a hi jaate hain aur nakali to vaise bhi nuksan deh hain to usmein bhi lag jaate hain.jaha yah chamda taiyar hota hai jis per chandi ko kuta jata hai usmein itne tarah ke chemicals milae jaate hain ki uske 8 kilometer ke aaspaas jo bhi pani hota hai who is chemical se kharab ho jata hai.aur aaspass ke log bhi bahotsi bimariyon ka shikar ho jate hai. Jismein kharis allergy
gurudy aur jigar bhi fail ho jaate hain is tarah bahot se bimariyo ka shikar ho jate hai ye log
Chandi ke ye warakh banaye kyo jate hai.
Vaise to decoration ke liye banae jaate hain lekin baj log samajhte hain ki yah bahut faydemand hai.agar chandi ka warakh na ho mithhai pe aluminium and nickel ho to vah sidhe sidhe hamare gurudy fail kar degi aur nikal bhi dala gaya haito who hamare fefadon ke cancer ka bise banenge isliye chahe chandi ka warakh ho chahe naklu ho aap na khaye yahi behtar hai to chaliye bataiye kesi lagi jankari.......
1 Comments
Oh! Mujhe to pata hi nhi thaa......
ReplyDelete