Ghutno ka dard

Ghutno ka dard



Ghutno ka dard


Doston kyo hota hai.hame ghutno ka dard

Aaj ham baat karenge ghutno ke dard ke bare me jisse har koi pareshan hai. Yah pareshani to ab youngsters mein bhi dekhi ja rahi hai.pehle kaha jata tha ki 40 plus logon ko hi hoti hai.lekin hamari lifestyle aisi ho gai hai ki ham kisi na kisi bimari se jujh rahe hote hain.aur pehle to ye ghutno ka dard budhspe ki nishani samjha jata tha lekin ab esa samajhna bahot badi galti hai abto ye naujawan logo ko bhi hota hai.lekin pareshan hone ki jarurat bilkul nahin hai aaj ham isi ke bare mein janenge ki kaise aap apne ghutnon ke dard ko hone se rok sakte hain.konse nuskhe aap apna sakte hai.jisse aapko dard me rahat mil sake



Ghutno mein dard hone ka reason





Sabse aam reason hai.Kasrat ya physical activity ki kami isse jhang ki manspeshi jise QUADRICEPS kehte hai.who kamjor ho jaati aur kamjor ho jaati aur ghutnon mein mamuli lachak rahti hai.isse ghutno ke undar mojud cartilage jo cushion effect deta hai.unki thodi thidi chot lagti rahti hai.bahot dino tak esa rehne se ghutno me dard rehne lagta hai.




2. Reason hai overweight jyada vajan





Esa dekha gaya hai ki 1 kg vajan badhne se ghutno pe 3 guna vajan jyada padta hai.

Daudte time aur jameen per baithane se isase bhi jyada dabav padta hai.Bahut dinon tak aisa eehne se ghutnon ko bahut jyada nuksan pahunchta hai.





3. Reason autoimmune bimariyan





Ismein khoon mein antibodies milti hai. Jo ki body ke cells ke khilaf kam karti hai.autoimmune bimariyan hai. Rheumatoid arthritis ankylosin spondylitis in bimariyo me body ke bahut se jodon mein dard rahata hai. Aur akdan bhi hoti hai. In reasons ke alava aur bhi reasons ho sakte hain.Haddiyon mein tedhapan purani chot ki vajah se tedhi judi hui haddi infection ya fir tumor 



Arthroitis

Arthroitis ka pura naam hai. Osteoarthoritist osteo matlab haddiya arthros matlab jod its matlab sujan ya swelling jahan per haddiyan milke jod banati hai vahan per agar sujan aaye to usko auste aur osteoarthoritis kehate hain Jahan do hadfiya milati hai wahan hota hai cartilage hadfiya ragad na khae isliye yah cartilage wahan hota hai.Ek cartilage haddiyon ko padding aur cushion provide karta hai.Taki haddiyon ki movement smooth rahe moment Karte time had dinner ek dusre ke sath ghise nahin aur koi chot na aaye isliye cartilage laga hota hai. jese jese umra badhati jai yah cartilage patla ho jata hai kamjor ho jata hai.Ghisne lagta hai aur uski vajah se jod ki space kam ho jati hain aur usi ki vajah se dard uthta hai jise ham arthroitis ka dard kehte hain.



Jo log jyada umra ke hote hain unmen yah arthoritis ki pareshani jyada hoti hai iske alawa jo 55 saal se jyada ki umra ki

Auraton yah pareshani jyada hoti hai.jinka vajan jyada hai unmen bhi hai pareshani jyada hoti hai. Agar aapko Aisa kam karte hain jismein heavy lifting hai ya bar bar vajan uthane ki jarurat padati hai.ya aapke family mein yah bimari hai to use vajah se bhi aa sakti hai.



Arthoritis ke symptom






Ghutne ke aaspaas bharipan sujan shuruaat nein shuruaat mein to jab ghutne per vajan badhta hai tabhi aata hai jaise ki sidhi chadhte time chalne ke time lekin jese jese  condition progress karti hai to yah har time reh sakta hai.Aur ek badi pareshani hai ghutne mein akdan rehna Jo dard ki vajah se rahti hai jisse ghutna pura mud nahin pata hai.bhot advanced page mein haddi thodi tedhi hone lagti hai.konse tarah ka arthoritis hai ye janne ke liye blood test ki help leni padti hain ya ghutne mein se pani nikal kar check karna padta hai.





Esa kya kar sakte hai ki ye bimari aage na badhe aur surgery ki jarurat na pade

har arthoritis ko surgery ki jarurat nahin padati ghutno per vajan kam dala jaaye aur manspeshiyao ko majbut kiya jaaye to surgery ki jarurat nahin padati hai aise hi theek ho jata hai.vajan kam karnese fark aapko khud hi dikhega vajan kam karne mein do chijon ka balance hai.Ek aap kya kha kya rahe hain aur ek aap consume kya kar rahe hain is case mein ham consume kya kar rahe hain usko nahin badha pa rahe to hamen khane per dhyan dena chahie diet mein iska bahut bada roll hai. Ek chapati mein 70 se 100 calori hoti hai. Isko hamen hajam karne ke liye yani ki consume karne ke liye 10 minut ya 20 minut jogging karni padati hai.20 chalna padta hai.ya 30 minute yoga karna padta hai.




Aasan tarika yah hai ki us 100 calori ko na lena ya ek chapati ko kam karna iski help se aapka vajan kam kiya ja sakta hai. Agar aap khud se koshish kar chuke hai aur struggle kar rahe hain to jaruri hai ki aap ek dietician ki help le jo aapko ek diet chart banakar ke isme aage le jaye dusri chij hai ghutne ke framework ko strong karna Agar aapko good night ko strong karna hai to aapko exercise karni hogi aur yah 4 ya 5 session mein nahin hoga regularly karna hoga kam se kam dant hafte mein aapko fark dikhai dega iske alawa aap chalte kaise hain aap jute kaise pehnate hain usse bhi ghutnon per fark padega yah sab sahi hona jaruri hai.




Jodon ke dard ka ilaj



Agar jodon mein dard cartilage ya meniscus ki chit ke reason se hai. To aapke doctor x-ray  ya MRI ka sujhav de sakte hain.Iske report ke mutabik kuchh logon ko dawai ya exercise se aaram mil sakta hai.Aur kuchh logon ka operation ki jarurat pad sakti hai.Ye operation durbin se hota hai.jisko orthoscopic surgery kehte hain. Agar jodon ka dard auto immune bimariyon ki vajah se hai.to aapke doctor khoon ki jaanch ke bad dawai shuru kar dete hain.Yah dawai long time tak chalti hai.



Agar jodon ka dard haddiyon mein tedhepan ki vajah se hai.Ya purani terdhi judi hui haddi se hain.To ismein operation ki jarurat to ismein operation ki jarurat padati hai. Aur agar jodon mein dard infection ya tumor ki vajah se hai to use operation aur dawai donon ki jarurat padati hai.agar jodon ke dard ko rokna chahte hai to regular vyayam karen apni diet ko acchi rakhen apni diet mein calcium aur vitamin D regularly len apne vajan ko control mein rakhen agar jodon ka dard 4 hafton se jyada rahata hai to isko ignore na karen aur apne doctor ki salah le






Ghutno ke dard se nipatne ke liye physiotherapist ek khas tarah ki exercise karate hain.Jo ghutnon ke niche cushion rakhkar aise kuchh khas tarah ki exercise hoti hai.ab me ghutno  ke dard rokne ke liye kuch desi nuske batati hu 



Desi nuskhe ghutno ke dard ko rokne ke liye

Aloe vera ka juice dabko pina chahie yah haddiyon ke rogon se bachata hai. Kamjor nahin honi chahie uski vajah se hi sab bimariyan aati hai.kala gond hai jo asli lena hai aajkal market mein nakali chijen bhi bahut milane lagi hai.Aadha gram subha aur aadha gram shamko nashte aur khane ke bad itne sare dard theek ho sakte hain. Patience rakhen dhire dhire 3 mahine aapka ilaj hoga tab fayda pohchega Ilaaj karte time vajan na uthaen mehnat na karen to Ilaaj mein jaldi fark padega

Post a Comment

3 Comments