Multigrain Atta For Sugar Patient multigrain Atta recipe for weight loss






Multigrain Atta For Sugar Patient multigrain Atta recipe for weight loss



Multigrain Atta For Sugar Patient multigrain Atta recipe for weight loss





Aaj ham ese atte ke bare me baat karenge

Jo sugar free ho multigrain ho jo diabetic patient ke liye bada fayde mand ho aaj me aapke sath esi atte ki recipe share karungi jo sugar ke marij ke liye faydemand hai aur market mein jo atte milte hain unke bare mein yah dawa kiya jata hai ki yah sugar free hai.Unke bare mein bhi baat karenge agar aapko achhi achhi jankari chahiye to padhtey rahe hamari post ko in sha allahMarket mein milne wala multigrain atta

Yah market ka jo multigrain ata hota hai yeh sugar patient ko koi fayda nahin pahunchata






Carbohydrate




carbohydrate who hota hai jo sugar ko badhata hai.Aam jo gehun ka atta hota hai usmein carbohydrate 760 gram hota hai. Jiski vajah se sugar badhati hai.ab ni che mene jo chije batai hai usme ham jante hai ki kitne carbohydrate banti hai.



250 gram gehu ka chhilka gehun ka bagair chana hua atta jise whole wheat kahate hain bager chhana huwa atta 250 gram fir 250 gram coconut powder 250 gram mung ki daal chhilke bager ki yellow hoti hai.fir in sab dalo ko acche se grind karna hai.



Gehuka chilka hai jise chaukor kahate 

Isme 0 ziro carbohydrate

whole wheat 180 gram carbohydrate paya jaati hai.

mung ki dal me 250 me 90 gram carbohydrate paya jata hai.

250 gram coconut mein 37 gram paya jata hai.ab Inka total karo to yah banenge 360 gram ab kaha 760 gram our kaha 307 gram ab ham baat karen jo market mein multi granite atta milta hai.Unko agar aap check karen net pe check kare to aapko unmen bhi milega ki yah sugar free atta nahin hai.agar koi ye dawa kare ki hamara atta sugar free hai to who jhut bolta hai.

Kyunki aisa ho hi nahin sakta yah jarur ho sakta hai ki usmein unhone chini nahin dali ho lekin agar carbohydrate free kahe to mane




Humne kya karna hamen minimum carbohydrate pe jana hai.Otherwise esi esi bhi chije hai jese ki log kehte hai.Ismein badam dal de ismein alsi dalen ismein fala dalen to pata chala ki jab ham whi dalte hain.who chij itni mehngi ho jaati hai ki who afford karna hi  mushkil ho jata hai. Ya fir uska test hi who nahin banta ya fir usse roti hi nahin banti hai.Kyonki usmein gluten hi nahin hota is sab ko najar ne rakhte hue who recipe hai jo mene upar batai jisme aadhe se bhi jyada kam carbohydrate hai. yani sugar ke marijon ke liye dusre atte ki nisbat jyada faydemand hai.Plus Itni jyada mahenge bhi nahin hai.Kyunki ismein sabse mahangi chij hai coconut powder aur usmein dekhenge carbohydrate sabse kam hai.To baqi to sab chijen sasti hai are sahab ki roti bhi ban jayegi Agar isase bhi aapki roti na bane to aap kisi bhi departmental store pe chale jaye waha aapko gluten milega our gluten bhi powder ki surat mein milega aur gluten kya hota hai yah protein hota hai.ye atte me naturally hota hai jo atte ko jodne ka kam karta hai.Yah glutan ek gam ka kam karta hai. Is gluten se jyada koi fark nahin padta bus roti achhe se ban jati hai is gluten se to aap yah wale atte ki roti khayen In sha allah yah sugar level ko kam karne mein helpfull sabit hoga




Low carbohydrate diet






Low carbohydrate diet mein aapko kya khana chahie aur kya avoid karna chahie

kabhi kabhi Itni diet available hoti hai ki mushkil ho jata hai ki kya choose kare aur kya na karen to agar aap basic principal dhyan nein rakhen to aapke liye chije esy ho jaegi

Basic principal mein 

1.Carbohydrate ko kam karen

2. Protein ke intake ko badhaen

3. Healthy fat ko badhane ki jarurat hai.

4. Vegetables ko increase karen







Vegetables ko diet mein upar ki taraf le jaaye agar aap aisa karoge to aapko 3 fayde honge

1. Aapka weight loss ka jo process hai. Uski speed badh Jayegi aur aapka weight kam hone lagega

2. Jo aapko bar bar bhookh lagti hai who aapki kam ho jayegi

3. Jab aap Is rarah ki diet lete hain to pet ki feeling jyada time tak rahegi aur aapko bhookh kam lagegi



Agar ham dhyan se dekhe ro aisa nahin hai ki carbohydrate aapka dushman hai.jo kayar bohydrate hai who aapka men food components hain.Jo aapki body ko proper functioning ke liye chahie Jab aap carbohydrate khate hain to kya hota hai ki munh se hote hue aapke small intestine mein pahunchte mein pahunchte hai aur small intestine me jo enzyme hote hain who carbohydrate ko break karte hain. Break karke simple sugar mein convert kar dete hain.Ek particular glucose mein convert hote hain ye absorb hoke blood sales mein chala jata hai.aur yeh puri body me jata hai.






Jab bhi aapki body ko enerdy ki jarurat  padati hai to yah jo glucose hai usko body use karti hai.Use use karne ki process mein insulins ki jarurat padati hai bager insulins  ke yah use nahin kar paati aur  agar aisi position hai ki supply jyada hai aur uska utilisation kam hai.Ultimately yah jo glucose hai. Aapke liver aur muscles mein ekattha ho jaega samajhye ki reserve ho jayega agar yah reserve ho gaya to samajhye ki jab aapko glucose ki jarurat hai aur aapke blood mein glucose ka level Itna nhin hai.To yah jo store material ismein se glycogen breakdown hogi FIR glucose banega aur blood stream mein a jaega aapki body utilise kar legi



Lekin Is tarah Ka jo carbohydrate hai glycogen hai long time tak store rehte hain use nahin hote body in ultimate fat mein convert kar deti hai. Aur fie motapa develope hone lagta hai. Isliye jo low carbohydrate hai who kabhi kabhi  motapa kam karne ke liye obesity baseline diet ho jaati hai.






Aap whole foods len jo aapko naresh karte hain. Jab ko complete rakhte hain aur aapke pet ko ful up karke rakhte hain. Isliye weight loss mein low carbohydrate diet bahot effective hai. Agar aap low carbohydrate diet per jaate hain to yah baat bilkul sahi hai kya aap kam calory khate hain.Even ke jyada nahin lagti fayda hi fayda hai.Protein khate hain who aapko ful jarke rakhta hai.Jab aap log carbohydrate diet lete hain to shuru ke 5-6 mahinon mein weight loss bahut teji se hota hai.Jo bhi protin wale food hai.who khane hai.protin wale food me lean protin food lene hai. 






meat,chiken,agg,tofu,soyabin etc healthy fets bhi lene ki jarurat hai.ye aapko nut se milenge pumpkin seeds,sunflower seeds sab me healthy fats hote hai. Avocado olive.olive oil hai ye bhi healthy fats Ke acche source hai.Meet ki baat karen to meet mein sea food lamb inme omega 3 achha hota hai isse bhukh kam lagti hai.asp boile eggs khaye aap amlet banaa kar khayen aap scrumble egg khayen jese bhi khaye egg khaye isme haevy protin hota hai.ek ande me 6 gram protin hota hai.helthy fats bahut acche amount mein hota hain.

  




Kya avoid karna hai

Sugar ka 100% avoid karen who kaun si chij hai jismein sugar chhup kar baithi hui hai who chocolate hai. Ice cream soda fruit juice ine sab nein sugar chhupi hui hai. jitne bhi breakfast serial aap subah breakfast nein khate hain. Ine sab mein sugar chhipi hui hai. Jalebi gulab jamun jitni bhi mithaiyan hain yah sugar ke power house hai inmein sugar chhipi hui hai. cake pastries ine sab mein sugar hai aapko yah sab band karne ki jarurat hai.








 Jab bhi packet ki chij aap khate hain usmein agar added sugar likha hua hai to aapko band karne ki jarurat hai.Jitne bhi refine carbohydrate hai who aapko alag karne ki jarurat hai. Jitna bhi serials hote hai ye sab refine carbohydrate hote hai. White rice refine carbohydrate ki category mein aate hain.agar gehu khate hai whole weat khate hai.to ye kha sakte hai.agar meda khate hai to ye refine carbohydrate ki category mein aata hai.to aap is basic principal ko samjhenge to aapka low karbohydrate increase hoga aur aap aapka weight batter hoga aur aapke health bhi acchi rahegi to chaliye ijazat de aapki dostko khush rahe khushiya bate....

Post a Comment

3 Comments