Ek masala jiske amazing health benefits
![]() |
Ek masala jiske amazing health benefits |
Kya aap Jante hain ki ek masala aapke depression ko theek kar sakta hai constipation ko theek kar sakta hai aur anti aging properties aapko deta hai. HALDI
Ye ek esa masala hai jo sabke gharo me mojud hota hai.aaj ham baat karenge haldi ke bareme jisko enlish me turmeric bhi kahate hain aur sadiyo se iska istemal chalta aa raha ha. jo har ghar ki shan hai haldi ek esa masala hai.jo ham kha ke bhi iske fayde uthha sakte hai.aur laga kar bhi ye haldi har tarah se faydemand hai.to aaj ham janege haldi ke benefits kya hai.ure best absorbtion ke liye kis kis tarike se hamen se consume karna chahie
Haldi ke benefits
Haldi ek adrak ki family se belong karti hai. jo jameen ke niche ugti hai.Haldi aunti oxident properties deti hai.cells ko De- generate hone se slow aur down karta hai. Aging ke sath sath de genretion hoga hi hoga lekin agar aap regular haldi ko consume karte hain yah process down ho jata hai.Haldi me circumin name ka substan hota hai jo hamari body me batter absorption ke liye aur haldi ke sare gunon ko hamare body mein pahunchane ke liye help karta hai.to sara kaam ye curcumin hi karta hai.jo haldime mojud hota hai. antioxidant dene ke sath sath haldi arthritis heart ki problem liver diseases ine sab ko bhi haldi healup karne mein help karta hai.isme 100 grm ke haldi ke tukde me calori 350 hoti hai.Ismein carbohydrate protein fibre sab hota hai
Antiseptic properties deti hai.jiinko anti aging se issues hote hain.who skin application ke liye haldi ko use kar sakte hain.Haldi hamare brain cells ke liye kafi effective hai.Aapki skin allergy ko bhi help karta aapki skin allergy ko bhi healup karta hai.Cmmon cold cough flu ke liye bhi aapke liye beneficial hoti hai.Liver ko detoxify karti hain.Fet cells ko decrease karne mein help karti hai.Metabolism ko increase karne mein help karti hai.Aur cancer ko fight karne mein bhi kafi had Tak help karti hai.kisi kisi ko engina ki kafi taklif rehti hai.To usmein bhi haldi bahot effective hai.
Purane jamane mein haldi ko as a die use kiya jata tha to aap haldi ko naturally die ke taur per use kar sakte hai.Haldi hamare khoon ko saaf karne mein kafi help karti hai. Aur blood circulation ko properli regulate karta hai. Inflammation ko kam karta hai ya nahin hamari body mein kahin Bhi dard ho jaise ghutne mein dard ho to usko kam karti hai.To aayiye ab jante hain ki haldi ko kis tarah lena behtar hai.
Haldiko kis tarah lena beneficial hai.
Haldi ek masala hai. Aap isko sabji mein le sakte hain aap isko salad ke taur per bhi le sakte hain jo kacchi haldi green haldi sardiyon mein milati hai usko log salad ke taur per bhi khate hain.india me mostly salad ke upar sprinkle karke bhi khaya jata hai.Agar aapko diabetes nahin hai to aap honey ke sath mix karke bhi le sakte hai.isko aap dahi ke sath le sakte hai. Agar kisi ko constipation hai.To who garm pani mein dalkar daily le sakte hai.Kiisi ko cold cough flu bahot jaldi jaldi hota hai ya fir mausam change hone per ho jata hai.tb aap ubala huwa pani me jo thhanda ho jaye to ek chammach yani 3 se 350 gram haldi ko mix karke le sakte hain.aur pure din me thoda thoda karke pee sakte hai.
Jinka manna hai ki chhote bachho ko nahi dena to unko kam amount mein de sakte hain.aadha chammach pani me mix karke de sakte hai.Kuchh log kehte hain haldi ko garmiyon mein nahin le sakte ye manna bilkul galat hai.Haldi modulation hai.maximum 4 se 6 gram aap consume kar sakte hain.Ismein aap milk curry rice salad etc aapka aa jata hai.dudh me bhi bahot achha test aata hai roj ratko wese bhi aap haldiwala dudh pite hai to nind achhi aati hai aur skin bahot khubsurat ho jayegi fair ho jayegi agar kabhi gir jaye ya chot aajaye to bhi haldiwala dudh pilenge to body ko aaram milega aur body me dard bhi nahi hoga
Aur chot lagne par haldi ka lep bhi kar sakte hai mujhe yaad hai jab bhi bachpan me mujhe chot lagti andruni mar lagti yaad rahe andarki mar upar kuchh nahi dikhta na blood niklta andar se haddi pe sujan hoti to meri mumma hamko haldi leti aur usme ek pinch namak dal usme pani dal ke garm karke jab halki garam rehti to jaha chot hoti waha laga ke pati laga deti to subha dard gayab ho jata hai. aur kahi chot lagi waha malai ke sath haldi mix karke affected area mein lagaen khuli chot par akeli haldi aur malai aur andruni chot per haldi namak garm ke halka garam lagana hai.who dard choosh leta hai.ek hi din me fark nahi pdega aapko 5 din regular lagana padega tabhi fark padega aap haldi ko ghee ke sath butter ke sath cucumber ke sath regular basis by use kar sakte hain. Agar kisi ko tonsils ki problem hai to aap haldi wale garam pani se gargal bhi kara sakte hain.haldi ki chai bhi banti hai bahut sare medicine me aajkal haldi ka use hota hai.curcumin ke sath agar black paper lenge to yah jyada acche se aapki body mein absorb hoga rojana 8 gram haldi to keni hi leni hai.
Ab hamne jaan liya hai ki ham curcumen ko kis kis tarah se len sakte hai.Aur hamari body mein kis kis tarah se kam karta hai.kaun kaun se food ke sath lena chahie
Ab ek aur ahem baat karenge ki curcumin kis kis ke sath nahi lena chahiye curcumin ko bahot jyada amount mein na le jarurat se jyada circumin lene se gale mein kharash khujli ho sakti hai. Abhi upar maine aapko bataya ki kitni amount mein haldi ko lena hai usse jyada na le jisko constipation hai vah garm pani mein le aur jisko diyeriya hai who thhande pani me le
loose motion mein ek pinch se jyada haldi use nahi karni chaliye ijazat dijiye aapki dost aapki bahen ko agli post pe fir milenge.....
3 Comments
Good
ReplyDeleteGood 👍
ReplyDeleteVery informative
ReplyDelete