Aankhon mein chashme ke number kyon aate hain
![]() |
Aankhon mein chashme ke number kyon aate hain |
To doston aaj ham discuss karenge ki kyon kisi Insan ki aankhon mein number aa jata hai aur kisi ke aankh mein bilkul nahin aata
kya koi tarika hai ki aankhon mein number bilkul na aaye aur agar aa gaye hain to who aage badhe na aur agar aapki aankhon mein number aa gaye hain to kya aapko puri life chashma pahnana hai ya fir koi tarika hai. kye number hat sakta hai aur aap apne chashme se azadi pa sakte hain.
aur wese bhi kai log hai jinko chashma pehenna bilkul pasand nahi hai.meri tarah to aaiae chalte hain aaj aaiae chalte hain aaj ham yah sab kuchh discus aaj ke post mein
Sabse pahle to ham yah samajhte hain ki aankh mein chashme ka number aata kyon hai. Aur jab yah number aate hain to aankhon mein kya changes hote hain. dekhiae kya hota hai ki nature ne hamari aankh ka ek system banaya hai.who kya hai ki bahir se light aayegi aankho ki putli aur lens se hote hue yah light parde per focus karti hai. Aur yahan se yah light Jo pass mein hi ek nas hoti hai jise ham optic nurve kehte hai.who hamare brain se connect hoti hai.aur ham dekh pate hai.
jab kisi ki aankh mein chashme ka number aata hai to aankh piche ki side se badi ho jaati hai.aage se to Insan bilkul dikhne mein normal dikhta hai lekin piche se aankh lambi ho jaati hai. Ab jab kisi ka number 1 hai to thodi lambi hui ab jab kisi ka number 5 hai to aur thodi lambi hui Is tarah jitne aankh lambi hori jayegi chasme ka number aur jyada badhta jayega
Ab question ye uthta hai ki kyon Kisi Insan ke aankh lambi ho jaati hai aur kisi Insan ki aankh lambi nahi hoti kyon jisi ki aankh mein chashma aata hai aur kisi ki aankh mein nahin aata Iske bahut sare reason haiVahi reason aaj main aapse discuss karungi Aur jank food khane se bhi chashme ke number aate hai isliye hari sabjiya jyada khaye
1. Reason hota hai genetic
Aapke parents ki aankhon aankhon mein chashme hai.agar donon ki aankhon mein chashme ke number hai to jyada chance hai ki bachchon ki aankhon mein bhi number aaega agar kisi ek ke aankh me hai to jese father ki aankh mein hai ya mother ki aankh me hi hai to chances kam hai ki bacche ki aankh mein bhi number aaye basically hamen yah dekhna hai jaise ki donon parents ki hight 6 foot lambi ho to jahir si baat hai ke bacche ki bhi lambai utni hi hone lagti hain isi tarah parents ke number hone ke high chances hai ki bacchon ke number aate agar aapki jeans mein hi hai to aap iske liye bahut jyada kuchh kar nahin sakte chashma aana hai to aana hai bahot jyada kuchh kar nahi sakte
Agar hamen already pata hai ki bacche ki aankh mein chashme ka number aaega agar parents ki aankhon mein number hai to fir bacchon ko bachpan se hi sahi test karva kar chashme lagwana jaruri hai.Agar developement age mein agar baccha 9 sal ka hai aur uski aankhon mein Chashme ka number hai. Aur aapane number check karva ke chashma nahin banaya aur aisa bhi ho sakta hai ki aankh develop na ho aur baccha kabhi bhi hundred percent na dekh paye bacche ki aankh mein continuely sar dard hota rahega aur aankhon mein dard hota rahega agar chashma nahin milega to chashme ka number badhta hi jaega
Agar aapke bacchon ki aankhon mein chashme ka number hai to time rehte bacchon ki aankhon ka number check kara lijiye Jab aap chashme ka number nikalwa rahe hain to jab aap chashme ka number nikalwa rahe hain to aap yah zaroor ehtiyat rakhiye ki aankhon ko
dialet karke number check karwana ho sahi number ka chashma banwaiye aur har 6 mahine me bachho ko number check karana hai. Aur naya nunbar ke chashme dilwane hai.aur ye specially important ho jata hai.agar aapke bachhe ki umar 9 saal se kam ho kyoki 9 saal se kam ki umar me sahi chashme ka numbar nahi mila to aankhon me ek bahot hi serious problem ho sakti hai.jisko ham leji eay kahate hain.jahan se aankh puri tarah develop nahin ho paati aur baccha bhi hundred percent nahi dekh payega
2. Reason hai environment
Hamare aaspaas ki chij hai.jisse chashme ka number aa sakta hai unmen sabse important factor hota hai najdeek ka kam jab bacche ki umra 18 sal se kam hai. Aur continuously mobile per ya computer per kam chal raha hai najdik se dekh kar laptop iPad pe continuously bacche pass se dekh kar kam kar rahe hain ya continuously book reading kar rahe hain ya novel padh rahe hain aise situation mein do changes ki vajah se aankhon ka number aata hai.
Huwa kya hai ki nature ne hamari aankhon ko dur ki chijen dekhne ke liye banaya hai.
Lekin ab jab mobile computer jyada ho gaye hain to ham apni aankhon ko force karte hain najdeek ka dekhne ke liye to ham jab jyada time najdeek ka kam karte hain to hamare mind ko Is tarah ki indication milati hai ki pass ka kam jaruri hai aur dur ka kam itna jaruri nahi hai. Is taram body apne aap ko change karti hai aur aankhon ke piche ka hissa badh jata hai lamba ho jata hai. Excessive near work specially developedment age ye bahut bada reason hai ki aankhon main chashme ka number chdh jaaye
Is me aapko kahungi ke aap apne bachho ko limit dijiye ki kitni der tak who najdik ka kaam kare unko badi screen dijiye bade bade monitar dijiye taki who dur rakhkar padhai kar sake apne kaam kar sake aur unhe kahiye ki who bahir jakar outdoor activity karen ek aur environment factor sisa bhi hai ki body ko sunlight ya dhup na mile tabbhi insan ki aankh me chashme ka number aa sakta hai. yah bhi ek bahut badi research se sabit hua hai ki sunlight ka bhi ismein bahut bada roll hai.
Agar baccha 18 sal se kam umra ka hai.to sunlight ka exposure milana chahie to chashma ka number nahin aata ya agar aa raha hota hai to who ruk jata hai. Ek aur chij ham dekhte hain ki agar kisi Insan ki nind puri nahin hoti 8 se 9 ghante ki nind nahi ho pa rahi tab bhi chashme ke number aa sakte hai.Yah un bacchon ke liye hai jo 18 se 20 ke andar hai.
3. Reason hai pariphenol retinal blur
Jab aapki aankh me chashme ka number chadh raha hota hai.To aisa nahin hota ki ekadam se aankh main 5 number aa jae ekdam se 7 number aa jaye yah dhire dhire shuru hota hai. Pahle ek chauthai aata hai fir aadha aata hai fir ek hota hai fir dedh hota hai.fir dhai hota hai fir tin hota hai dhire dhire kar ke badhta hai.agar aapka chashme ka number badh raha hai aur aap thhik number ke chashme nahi pahente jese ki aapka 2 nuber the aur badh ke 3 ho gye hai.aur abhi bhi aap 2 ka hi pahen rahe hai to is wajah se aankh me jo light focus hoti hai who ek phenomena create karti hai jise ham kehte hain.
Periphanel retinal blur jiski vajah se chashma ka number jaldi jaldi badhta hai.to bahot jaruri hai ki agar chashme ka nuber aadha bhi badha hai to immediately chashme ka number banvaeye
Taki number jaldi jaldi aage na badhe Jab Bhi aap naya Chashma banvae to checking aapki aankhon ki dialectig honi chahie ye nahi ki macine ka button dabaya aur ho gaya
Namber aage na badhe uska kya tarika hai
Jo badhte number ko rok de Iske upar kahin sare experiment hue hain kai sare research hue hain kai sari studies hai. lekin abhi bhi hamare pass koi kargar tarika nahin hai ki jisse aankhon ke number aage na badhe ya number bilkul na aaye
lekin researches mein samne aaya hai ki
ek drop hoti hai atropine eye drop uska dilutet form aajkal market mein available hai. Atropine ke naam se market mein hai isase chashme ka number bahut teji se nahin badhta kuchh had tak slow ho jata hai. Yah kuchh tarah ke chashme hote hain jisko progressively ya bai focal classes kahate hain ham dekhte hain ki kuchh had tak chashme ke number kam ho jaate hain. Kuchh gharelu tarike hai jo me aapke samne rakhungi lekin isko aapko regular karna hai to Inshallah ke number nikal jaenge
Gharelu tarike
1.Agar ham gharelu tarike apnate hai tabto aapke number bilkul khatam ho jayenge
sab se pehle ti mps hai aap agar rojana raat ko shurma lagate hain to kabhi number nahi aaenge aur agar aa bhi gaye hai to khatam ho jayenge nshallah aur eyeless bhi achhi ghani aur black shiny ho jayegi surme ki ahemiyat hamare nabi e paak sallallahu alayhi wasallam ne bhi bayan ki hai ki ismad surma behtrin surma hai ye balon ko ugata hai.
2. Honey yani shahed ko aankho me lagane se bhi number jate rehte hai
3.hamare muh ka thuk yani ki lar slayva jo aapko roj subha uthhte sath brush ya kullu kiye bina lagate ho to bahot fark padega number chale jayenge ye medical se sabit hai.allah ne kesi kesi chijo me sifa rakhi hai ham soch bhi nahi sakte khush rahe khushiyan bante.....
3 Comments
Good information
ReplyDeleteGood
ReplyDeleteInformative
Mere bhi no. Hai
ReplyDelete