Skin ko healthy rakhne ke tarika
Aap rojana skin ki dekhbhal kese kar sakte hai.bahot hi simpale tarika hai.jesa me bataungi wese karoge to skin aapki 80 ya 90 percentage healthy ho jayegi body ki puri skin jyada se jyada log khash karke jawan ladke ladkiya din raat skin ko gora banane ki koshish me lage rehte hai. Bajar sw Mahangi se mahangi latest fairness cream moisturizer, toner, exfoliator ,mask, pata nahi kya kya kharidte hain. Khoob paise bhi lagate hain.or fir jesa t.v.me dekha esa result nahi miltaTo niraash ho Jate hain.
Skin ki banawat
Allah ne hamari skin ko perfect banaya hai.hamari skin ki upri stah rojana jhad jati hai.jisse saf or freash skin nikhar kar upar aajati hai.pasina aane se hydrides rehti hai.sukhti nahi hai skin me jo oil glad hote hai who skin ko moisturize rakhte hain.or naram rakhte hai.hamari skin me jo baal hote hai who bhi skin ko dhup or pollution Se bachate hain.
Shirf gora rang sundarta ki nishani nahi hai
Skin savli ho ya gori agar who dag dhabbo se saf ho rukhi na hoto who achchhi hi dikhti hai.
Rojana skin ki care kese le
Skin ke liye 3 chije bahot jaruri hai.
1. Sun protection
2. Cleaning of the skin
3. Moisturizing
Garmi ho ya shardi bina sun protection ke bahir nahi nikal na chahiye garmi me skin ko khula na chhode sunscreen lagaen skin ko kapdo se dhanke ya chhata lekar hi ghar se bahir nikale or goggles bhi pahne yah karne se skin dhup mein nahin jalegi or hath pairon mein kale dhabbe nahin padenge goggles pahnane se aankh ke aaspaas dark circle nahin banenge
Thand ke dinon mein der tak dhup mein baithane se bhi skin kali pad Jaati hai.kadi dhup na sirf skin ko damage karti hai. Balki balon ko bhi Jadon se kamjor kar deti hai.or baal jaldi safed hone lagte hai. Jjisko hindi mein jahate hain dhup mein bal pak gaye
Skin ko hamesha saf rakhe
Saf rakhne se uspar jami gandgi dead cell access oil bacteria fungus or makeup ye sab kuchh saaf ho jata hai. Jin logon ki oily skin hai acchi quality ki chijen use Karen
Jinki skin Rai rahti hai vah mild liquid cleanser use Karen lekin main aapko gharelu nuskhe se skin ko clean rakhne ki Salah Dungi baqi aapki marji koibhi acche quality ka use kar sakte ho ye din me ek bar hi use karna chahiye hame jaha pasina aata hai underarms jango ke bich vaha par roj sabun laga ke saf karna chahiye
Skin ko moisturize karna
Allahne naturally moisturizer skin me rakh diya hai lekin fir bhi moisturizer istemal karna chahiye khash kar sardiyo me jin logo ki skin oily hair moisturizer use karna chahie or jinki dry ho unko oil Base moisturizer use karna chahie ek second kharidte waqt yad rahe ki jyada khushbu rang aur linolec acid na ho ye tino Ki main allergy paida kar sakte hain. Aur skin ko dhup se sensitive kar sakte hain agar aapki skin sensitive hai to achcha aloe vera yukt moisturizer use karna chahie best moisturizer Hai virgin coconut oil aur virgin olive oil ye oil skin me aasani se shauk Ho Jaate hain chipchipahat nahin rahti or kin ko Daag dhabbon se bhi bachate hain Kyunki Main antibacterial anti fungal Jaisi properties hoti hai
Subah nahane ke bad Aur Raat Sone se pahle Lagana chahie agar aap raat Ko virgin coconut oil ya virgin olive oil lagakar soyenge to aap ki skin hamesha fresh aur glowing rahegi skin ki acchi dekhbhal ke liye hafte mein ek ya do bar face mask bhi laga lena chahie jinki skin oili hai unko cucumber yani kakdi aur potato yani aalu ka mask lagana chahie yah skin se extra oil ko Bahar khinchkar fresh aur saaf karta hai Ajinkya skin rai hai unko shehad mein nimbu ko dalkar chehre per lagana chahie ya FIR fresh aloe vera Mein do tin bunde virgin coconut oil ke dal kar lagana chahie
Yad Rahe Jab Bhi aap mask lagaen aur Chehra dhoae to moisturizer Jarur lagaen
Glowing skin diet
Agar aap Upar Se screen mein sona bhi laga loge to Bhi Agar aapki diet unhealthy hai to to aapki skin kabhi blue nahin karegi Hamesha Dal hi dikhegi skin ko healthy rakhne ke liye dal chawal green vegetable seasonal fruits egg fish or butter ghee jarur khaye Jin chijon mein vitamin -c vitami -d iron ho vah chij hai Jarur khayen yah sab skin ko glow dete hain ummid hai aapko meri post achchhi lagi hai.
0 Comments