Miswak ke fayde
Hujure paak Sallallahu alayhi wa sallam ne farmaya miswak mujhe itni pasand hai ki agar meri ummat ka mushakkat me padhne ka dar na hota to miswak ummat ke liye lagim kar deta ki har namaj me miswak kare miswak ka jo bunyadi fayda ye he ki duniya ka sabse takatwar or natural fluoride aapko miswak me milta hai.usse aapke dantoki sehat achhchhi rehti hai or muh se badbu aana bandh ho jata hai or danton se khoon bhi nahi aata dini faydo ke sath sath duniyavi fayde bhi bahot jyada hai
Miswak ke herankun fayda
Miswak jaldi budha nahi hone deta
Miswak jaldi baal white nahi hone deta
Miswak najar ko tej karti hai.
Miswak muh ki safai ka jariya hai.
Miswak rabko raji karne ka tarika hai.
Miswak farishton ko khush karneka jariya hai.
Miswak muh ki badbu ko dur karta hai.
Miswak danton ka pilapan dur karta hai.
Miswak danton ko chamkata hai.
Miswak masudo ko majbut banata hai.
Muswak khaneko jaldi hajam karta hai.
Miswak balgam ko katta hai.
Miswak quraan tak jane ka rasta saf karta hai.
Miswak yaddast ko badhata hai.
Miswak pat ko majbut karta hai.
Miswak shaitan ko paresan karta hai.
Miswak nekiyon ko badhata hai.
Miswak muh ki kadwahat ko dur karta hai.
Miswak sar ke dard me aaram pohchata hai.
Miswak danton ke dard se aaram pohchata hai.
Miswak ruh ko nikalne me aasani karti hai.
Miswak taklif dur karta hai.
Miswak mout ke waqt kalmah yaad dilata hai.
Miswak ki sunnat chhod ke nasraniyoka brush karna hi dil ki bimari hai to dosto miswak ko regular kiya kare kabhi nahi chhode har namaj se pehle ghar se bahir jane se pehle ghar me aane ke baad jab quraan padhe tab kisi ke yaha jane se pehle miswk ko apna dost banale bahot khubsurat sunnat hai ye hamare nabi ki sunnaton ko apnane me dini fayda ti hai hi duniyavi bhi hai or sawab bhi milta hai.kya kya jabardast fayde rakhe hai mere allah ne is lakdi ki dandi me subhanallah
Huzure Park Sallallahu Alaihi wasallam ne apne aakhri wakte me bhi miswak kiya tha
To sochiye ki hamare nabi miswak ko kitni ehmiyat dete the chhote bachho ke jab dant aane ki taiyyari hoti hai to bachhchho ko miswak hath me pakda de in sha allah unki dant aane ki taklif dur ho jayegi or dant aasani se niklenge bachche ko koi taklif nahi hogi
Aap brush ki jagah miswak bhi kar sakte hai kyoki nabi ke jamane me brush nahi huwa karte the us wakt har koi danton ki safai miswak se hi kiya karte the or muswak bahot behtarin jariya hai muh ki safai ka kabhi muh ki koi paresani nahi hogi miswak se jo tuthpest hoti hai unme Chemical hote hai jisse hanare danton pe inemal ki jo parat hoti hai who ghis jati hai.
Jisse dhire dhire dant ghis jate hai.or cavity aane lagti hai.isliye behtrin miswak karna hi hai.chahe who neem ke ped ka ho chahw pilu ke darakht ka chahe jaitun ke ped ka behtar hai ki do tarah ke miswak rakha kare ek neem ka oe ek pilu ka ya jaitoon ka fir bari bari kare miswak se kai bimariya bhi dur hoti hai ye best hai danto ke liye dimag ke liye aur muscles masudo ke liye
Miswak karne ka tarika
Miswak ko chabaye jab naram ho jaye brush ki tarah fir pehle samne ke danton se shuru kare fir right side fir left side fir pure muh me muh ke andruni hisse mein fir jaban pe andar gale tak gale ke aakhri hisse tak jaha se aawaj nikalti hai usme vibration peda hoti hai jo dimag ki naso tak jati hai or dimag majbut hota hai haina gajab ke fayde miswak ke to aaj se hi miswak karna shuru kare or fayde uthhaye sunnat ko apnaye sawab kamaye
0 Comments