Kadi Patte ko use kese kare


Kadi Patte ko use kese kare



Kadi Patte ko use kese kare




Aaj ham baat karenge curry patte ke bareme  curry leaf aur mithe neem se bhi jana jata hai.aur medical language mein Murraya koenigi ke hte hai.curry patta bhi mere rab ka ek behtreen tohfa hai.sabse south India mein curry leaf ka jyada istemal hota tha lekin jabse ligo ko iske guno ke bare me pata chalne laga hai to ab ye yaha gujarat meto jyadatar har ghar ke khane me curry leaf ka use hota hai.masale ke tor par jo khane ko testi banata hai.surat  city me to is curry patte ko har sabji me har gost ki item me fish me bhi dalte hai.lekin hamare yaha ahemdabad me aalu pohe,daal,curry,

ragda,jesi disease mein istemal karte hai yaha gost me nahi use karte ye to hui khane ki baat ab ham dekhte hai.aur kya istemal hai is  God gifted curry leaf ka






Curry leaf me bahut se vitamin aur nutrients se bharpur hai. Kadi Patta Mein alkaloids hote hain kuchh digestive chemical hote hain jo digestion system ko behtar rakhte hai vitamin d,e,c,hamari sehat ke liye bahot achhe hai. Antioxidant iron, Folic acid bahut jyada hota hai.jo anemia ke patient ke liye bahut achcha hai anemia khoon ki jami ki vajah se hota hai. Kuchh logon ki body iron ko absorb nahin kar paati lekin curry patte mein paye jaane wala folic acid iron ka absorb karata hai.

Iske liye roj 4 5 pattiya subah chabana  animic patient ke liye bahut achcha hai.Curry leaves mein bahut jyada fibre hota hai.jiski vajah se khana achhese digest hota hai aur pet bhi acche se saaf hota hai.





Ayurved ke according to talk karta hai aur Pitt ke level ko balance karta hai yah Patte maun mahro ko bachate hain aur free radicals ki production ko bhi rokte hain aur kimo therapy aur radiance therapy ke side effect se bhi bachate in curry leaves mein paye jaane wale property ki vajah se kahan jata hai ki yah cancer jaisi bhayanak bimari se bhi rokata hai.Anti inflammatory aur anti bacterial inko anti diabetic bhi Kaha jata hai. Khadi patte mein paye jaane wale fiber ka blood sugar ko low karne mein important roll hai.kuchh patte khali pet khane se diabetes ko control kiya ja sakta hai.






Curry leaf ke powder ko dahi me mix karke khane se cholesterol kam hoga aur waight loss hone mein bhi help milegi researchase my paya gaya hai ki kadi patte mein blood se cholesterol kam karne wali properties hoti hai. Ismein paye jaane wale antioxidant bad cholesterol ko kam karke good cholesterol ko badhate hain ise heart healthy rahata hai aur hath se lagti bimariyon ka Khatra bhi kam rahata curry  leaf me vitamin A aur C ke sath sath Kuchh Aise compound paye Jaate Hain Jo balgum ko bahar nikal kar naak aur chhati ke conjuction ko kam karke aaram dete hai

Vitamin a bahot hota hai jo hamari aankhon ki rosniko badhane me help karta hai

Kadi Patta liver ke liye bhi bahut Achcha hai Jin logon ka lever kharab ho raha hai unhen Kadi Patta Jarur khana chahie hypotitis aur Psoriasis se bachane mein help Karte hain









Balonka tutna aur jaldi safed hona aamm si baat ho gai hai.aapko jaan kar khushi hogi ke curry leaves me in sab ka solution hai. Inhen khane se balon ke growth acchi hoti hai patale aur kharab balon se majbuti Hoti hai dandruff se chhutka milta hai. Dandruff se chhutkara hota hai aur bal bhi kam tutate hain. Ismein paya jaane wala vitamin B  balon ke natural color ko barkrar rakha hai. Roj fresh kadi patta shwa kar khane se bhi balon ki problem aap solve kar sakte hain.






 Iske alava aap kadi patte ko coconut oil olive oil mein dalkar garm karke aur uska oil ek container mein bhar len aur usko balon ki jadon mein lagaen yah balon ko time se pahle safed Nahin hone dega aur balon ki jadon ko majbut karega aur kadi patte ka powder ko aap dahi mein mix karke bhi balon ki jadon mein laga sakte hain kadi patte mein antibacterial anti fungals a strong antioxidant hone ki vajah skin problem maybe helpful hai acne burnskin rashes me aaram deta hau






Kari patton ko piskar effective area mein lagane se bahut aaram milta hai agar ismein haldi powder mix kiya jaaye to aur achcha result milega is Kadi Patte ke aap dheron fayde utha sakte hain uske liye aapko Kadi patte ka paudha ghar mein hi ubale to behtar hoga aur agar aap bahar se khareed kar late hain to fir uski gol aur chamakdar pattiyan hi khariden 15 din ke liye store karne ke liye pattiyon ko uski dali ke sath hi tight container mein dalkar refrigerator mein rakh lijiye aur fir  jese jesw aapko jarurat hai vaise vaise uska istemal kariye skin  infection mein bhi Kadi Patta bahut faydemand hai.koi bhi khana banaye usme dal kar bhi le sakte hai rice ke sath dal ke sath le sakte hai store Karke bhi le sakte hain isko sukhakar aur iska powder banakar container mein tight karke fridge mein rakh le aur for jab jarurat ho aap usko chhaas mein dalkar pee sakte ho bahut fayda dega kadi patta ki chatni bhi bahut testi banti hai. To Dekha aapane ine chhoti chhoti curry leaf ke andar kitne be shumar faydey hai to aaj se hi iska istemal kariye aur iske kamal dekhiye.....





Post a Comment

2 Comments