Gud ek fayde anek
![]() |
Gud ek fayde anek |
Aaj ham gud yani jaggery ke bare me baat karenge ye bhi allah ki behtarin neamaton se ek hai khud ko healthy rakhne ke liye aaj se hi gud khana shuru kar dena chahie vese bhi jo mithha khane ke shokhin hai unhe mithhe me kuchh na mile to last me gud bhi kha lete hai.aur mithha kai logo ko kyo itna pasand hota hai pata hai.kyoki hamari jaban me mithhe ke kuchh taste bud hai agar usko mithhas milegi to who brein ko batayega aur fir brain khush ho jata hai.isliye bahot se logo ko mittha bahot hi pasand hota hai.jo log mithhe ke liye agar chini yani sugar khate hai to iske koi fayde nahi hai chini me sirf calories hoti hai isme Na Koi nutrients na koi minerals hote hain balki ismein chemical hota hai.gud behtarin hai.mithhe me Agar diabetes Hai To gud na len
Gud kese banta hai
ganne ko pis ke usse ras nikalte hai.aur us ganne ke juice ko garam karte hain aur jahan tak brownish color ho jaaye vahan tak garm karte usi se gud banta hai.fir gud ko refined kar karke gud chini ki taraf jata hai.jaha tak gud ka sawal hau isme koi khash chemical nahi dale Jaate natural source se gud banaya jata hai isliye gud ke fayde anek hai. Sabse Jyada common gud jo paya jata hai who sugarcane hai ganne ke juice ka gud do tarah ke aur bhi gud hai. Ek hota hai khajur ka gud aur ek hota hai tar ka gud jo seasonal hote hain
har waqt nahin milte lekin thand ke dinon mein milte hain.aur ye dono gud ko store karna bhi mushkil hota hai kyunki thode din rakh le to kharab ho jaate hain yah gud itne popular nahin hai lekin mahange hain normal gud se
fir chaliye jante hai gud ke bare me gud me mein bahut jyada iron,vitamin,sodium, mineral,carbohydrat, calcium, magnesium,vitamin B1 ,B2 paya jata hai
Joki sehat ke liye bahot jaruri hai. Gud me bahut sare phenolic compound bhi paye jaate hain.ye hamari immunity power ko enhance karte hain bhi aapne dekha hoga ki hamare jo purane log hai dadi dada nani nana ye log gud ke fayde jante honge tab hi iska jyada istemal karte the mujhe yaad hai me jab bhi meri nani ke yaha jati gaon mein
to vaha gud aur ghee mix karke roti se khate aur kehte isse ham strog bante hai takat milti hai vese bhi gaon ki life mein struggle bahut hota hai.khet me ghanton kaam karna yaha wha kaam se jana uske liye takat to jarurat hai hi
Gud ke fayde
gud body ka khoon saaf karta hai aur metabolism ko theek rakhta hai motapa kam karta hai yah khoon se kharab toxin ko bahar nikalta hai. Jisse ke skin ki problem se chhutkara milta hai.gud aur ghee mila kar khane se kanka dard bhi thhik hota hai.gud ke halwa khane se dimag tej hota hai. Gud jukam aur cough se aaram dilata hai. Roj gud khane se body mein energy aati hai aur gud jaldi hajam hota hai. Piliya jaise rogon se dur rehana chahte hain to 5 gram gud aur 10 gram soth ka hamesha istemal karen 11 gram kale bakri ke dudh mein milakar aur andar purana jo desi gud ho usko mix karke peene se jodon ke dard mein aaram milta hai.
Gud liver ko bhi detoxify karta hai.isme aap gud ke pani Ka sharbat banakar le sakte hain aur chini ki jagah per aap gud ka istemal kar sakte gud ka pani energy ka source hai.kai log gud ka nimbu pani hi pina pasand karte hai. Gud bahut potasium rich hota hai to yah blood pressure kam karne mein help karta hai.isme iron hota hai isliye isase khoon bhi badhta hai.jinko kabj ki taklif hai unke liye bhi gud bahot achha hai. Jinko sardi khansi rahti hai asthma ki problem hai to unhen gud ke syrup nein tulsi dal ke diya jata hai.sirf aapko diabetes nahi hona chahiye to le sakte ho to gud len gud ke laddu bana ke khaye gud ko ese hi khana khane ke baad ek tukda muh me rakh sakte hai.
Gud ki aaj kal bahot si mithhaiya bhi banne lahgai hai aur agar ham gud ko chini ke sath compare karen to gud kafi behtar hai chini se sugar aur gud ke andar same amount calories pai jaati hai isliye aapki marji hai chahe gud khaye ya sugar aur gud ke fayde kya kya hai mene bata diye hai bas to aaj se hi gud ko apni life me shamil kare aur fayde uthhaye
4 Comments
Kmal
ReplyDeleteWell done
ReplyDeleteNice
ReplyDelete🤞👍
ReplyDelete