Per ki adiya kyo fati hoti hai.


 Per ki adiya kyo fati hoti hai.

Per ki adiya kyo fati hoti hai.


Ab sardiyo ka mosam aaya hai aur sath hi kai paresaniya dry skin ki presani aur usme bhi adiyo ka fatna bahot hi paresan karta haiun fati hui adiyo me kai logo ko to dard bhi bajot hota hai aur kaiyo ko nahi bhi hota lekin ye fati adiya bahot paresan karti kabhi kabhi to isse khoon aane lagta hai.aur to aur jo fati adiyo me skin upar nikli hui hoti haowho kahi na kahi atak jati hai bistar me kapdo me 







kai ladkiya khud ko bahot  maintain rakhti hai  lekin adiyon ko maintain Nahin Rakh paati  hai aur adiya bahot buri halat me fati hui hoti hai jo hamare liye sharmindagi ka bais banti hai.who bahot lagane ki chije cream vagera lagati hai apna bahot khyal rakhti hai lekin adiya thhik nahi hoti  kyoki ham ham reason nahin dekhte ki adiya fatti kyon hai internally Ilaaj nahin karte adiya fatti hai.jese jese umar badhti wese fatne lagti hai kyoki jese jese umar badhti hai hamara skin oil banana bandh kardeta hai.to is vajah se skin aur jyada rukhi ho jati hai.fati adiya jyadatar sardiyo ke mosam me dekhi jati hai. Jinko fati adiyon ki pareshani jyada rahti hai unki adiya sal bhar hi fati rahti hai.




Adiya fatti kyo hai crack heels ki bhot se reason hai






 aaj ham yahi baat karenge ki adiya kyo fatti hai iski vajah kya hai aur kya kya precaution rakhne hain aur iska Ilaaj kya hai.heel ke crack hone ke reason kya kya hai open sandal pahnana bahut jyada garam pani se nahana aur sabun hai vah bahut jyada hars istemal karte hain. Kuchh Logon ki skin bahut dry hoti hai Kuchh log bahot dry Jon mein rahte hain. Jaise Northern areas mein jo dry hote hai is vajah se bhi adi ya fat jati hai.kuchh log bahot der tak khade rehte hai ek ye bhi vajah aur infection  se bhi fatati hai.or kuchh log dhul mitti me kam karte hai ye bhi vajaj hai.


Ab bimariyo pe aate hai.





Kon kon si bimariyon se adiya fatti hai diabetes diabetes seto skin sukhi pad jatihsi jinko long time se hai.to inlogo ke to jyada khayal rakhna chahiye warnato ye ulcer bhi ban sakta hai.high cholesterol hypothyroidism infection yah sab bimariyon se bhi adiya fat jaati hai. Liver ka masala ho vitamin B3 ki kami ho eczema ho psoriasis ho yah sab problem ko to internally treat karna chahie

Aap Pathar Ka jhava lele pathar Ka scrubber aata hai aur jab bhi nahae apni dad skin ko saaf kar liya karen use pathar se ghis ke saf karliya kare


Sawal ye hota hai adiya hi kyo fatti hai body me baki parts bhi hote hai who kyo nahi fatte kyonki ediyon per Puri body ka pressure rahata hai.agar aapko dhul Mitti ke bich Mein kam karna padta hai to fir aap pure band shoes pahankar kam per jaeng eaur  proper tarike se moisturizer lagate rahana hai.pehle subaha nahane ke baad jab thodi nami rehti hai tab aur dusra raat ko sone se pehle aur cream laga kar cotton ke socks pehne



Fatti adiyon ka ilaj








Yaad rakhe ki fati adiyon ko moisturize rakhna bahut jaruri hai.to aap liquid paraffin white soft cream bhi laga sakte hain.agar aap ki adiya jyada fati hai or inme darare bhi aane lagi hai.to gungune panime per rakhe haftey me ek baar 

garam pani mein shampoo aur namak aur nimbu aur khane ka soda dalkar pani me per rakhna hai fir halke hathho se dad skin ko utarani hai.fir halke se towel se Pairon ko poochh le aur fir use per thodi nami rehti hai tabhi uria lactic acid ho who cream heel pe lagani hai.FIR pair Mein cotton ke socks pahan lena hai.hafty me ek baar manicure pedicure kiya karen to us se bhi bahut fark padta hai.








Yah sab aajmane ke bad bhi agar aapki area fati hai aur koi fark nahin padta to ek acche dermatologist ko bataen kyoki aapko psoriasis yeah eczema ho sakta hai.

Iske liye aapko proper tarike se dawai karni padegi yad rakhe agar aap fati adiyon ke liye koi bhi dawai karoge to aapko regular 3 ya 4 mahine tak karni padegi tab hi farq padega aapko 15 se 20 din me iska asar dikhne lagega aur jyada se jyada pani piye rojana 10 se 12 glass 


Effective remedies crack hill repair





50 gram desi mom aur 100 gram sarson ka tel 10 gram kapoor sarson ke tel ko garm karo aur usmein mom ko dal do aur mom pighle aise hi usmein kapoor dal do aur fir usme alovera ke podhe se ek leaf lelo aur ye sabko garam kar ke ekdam dhimi aanch pe fir utar kar thanda hone par Evion  Vitamin E capsule 3 dal dijiye to taiyaar hai aapke heel repair ki Dawai 

3 din ke andar kitni hi danger crack heel hogi woh theek ho jayegi in sha allah jarur fark padega







Post a Comment

4 Comments