Mitti ke bartan ke fayde
![]() |
Mitti ke bartan ke fayde |
Heading dekh kar aap samajh hi gaye honge kya aaj ham mitti ke bartanon ke bare mein baat karne wale hain vaise bhi pahle ke jamane mein log mitti ke bartanon mein hi khaya piya karte the abhi hamare India mein gaon mein mitti ke bartan ko handi kahate hain usi mein khana banaya jata hai. aur mitti ke plet me hi khaya jata hai.pani bhi mitti ke glas me hi piya jata hai to vese bhi gaon ke log humse jyada samajhdar hai hamare yaha to bas jyadatar pani ke matke hi reh gaye hai who bhi ab bahot kam jagah dikhte hai abto in pani ke matko ki jagah fridge ne le li hai
Isliyeto bimariyan bhi badh gai hai.meri mumy se suna tha ki mitti ke bartano me khana bahot hi testy banta hai.bahot hi lajwab handi yani mitti ke pot me dahi bhi bahot testy jamta hai try kariyega
Aapko pata hai ki Kolkata main handi mein hi dahi garam karte hain aur usi mein hi jamate hain to bahut testi banta hai Isko mishti dohi kahate hain.bade bade 5 star hotel mein misty dohi kolkata se aata hai. kolkata mein to bahut sasta milta hai lekin yahi dahi yahan five star hotel mein aakar 500 ya 550 ka ho jata hai.aur abto 5 star hotelon mein handi ki daal bhi milati hai 250 ki ek pyali 250 me to 10 mitti ke pot aa jate hai.gas pe handi rakh ke paka sakte hai lekin agar dhimi aanch pe pakayenge to chatkegi nahi handi yani tutegi nahi agar full gas pe pakayenge to tut jayegi
hindustan mein dhedh karod kumbhar hai jo handi banate hain lekin vah bhukh mare kaise kar hai kyunki ham unse handi kharidte hi nahin kukar jo kharide hai to handiya nahi lete steel ke glass me pani pite ho to mitti ke glass unse kon lega hame unki thodi fikra karni chahie taki ham unse kuchh khariden taki unka ghar chal sake
Mitti ke bartan fayde
Mitti me calcium, phosphorus,iron,magnesium,manganese,
sulphur, zinc, copper,chlorine,Potash, oxygen, karbonn, hydrogen, nitrogen
calcium are phosphorus hamare body ka important part hai. bina calcium aur phosphorus ke hamari body ho nahin sakti
18 chemical chahie yah body tab banta hai aur who sab mitti mein hai. Agar mitti ke bartan mein paka hua khana khaoge to yahi chemical free mein aapko mil jaenge
Or agar Yahi calcium iron ki goli doctor likh kar deta hai to aap khate ho ki nahin vahan to ham saikdon paisa kharch karke yah goli khareed ke khate hain aur use per bhi guarantee nahin ki ki usse kuchh fayda bhi hoga dr.ki goliya khane se achha hai ki mitti ki handi me daal banake khalo to aaj se hi mitti ki handi kharid le khana thoda der se banega lekin fayde bahot hai. pressure kukar mein 10 minut mein daal banti hai aur mitti ke handi Mein 28 minut mein daal banegi body ko healthy rakhne ka sabse aasan tarika hai mitti ki handi mein khana banana aur khana agar hamare pass karodon rupaye hain aur ham bimariyon se jujh rahe hain to yah karodon rupaye kuchh kam ke nahin agar hamari body healthy hai to hamen sab achcha lagta hai.
Research ke mutabik clay nutrilizers tha acidity in the food mitti se khane mein tejabiyat kam go jaati hai Aur Is tarah khana hajam karna aasan ho jata hai. lekin ek bar ka khyal rakhiega ki mtti ke bartan ke upar chamakdar kism ki koi parat na ho yah sehat ke liye nuksan de hai pure mitti ke. Bane hue ho mitti ke bartanon ke andar chhote chhote surag hote hain jiski wajah se steam aur nami andar ghumti rahti hai
aur khana bada majedar banta hai khas taur per gosht bada jhusi ho jata hai.
Ek bada behtarin fayda main aapse share karun ki aaj duniya mein motap ki bimari bahut badhati ja rahi hai uski vajah hai ghee aur oil ka istemal hau. Agar mitti ke bartan mein khana banaya jaaye to to oil aur ghee bahut kam use hota hai kyunki slow cooking process hota hai. khane ke apne andar jo oil hai khana usi se pak jata hai jyada oil dalne ki jarurat nahin padati behtarin tarika yah hai ki mitti ke bartan ka istemal karne se pahle usko 6 se 7 minut pani mein bhiga de taki who pani absorb kar le aur vaise bhi mitti ke bartan environment friendly hote hain. Mitti ke bartan agar purane ho jaen aur aap isko fenk den to yah apne aap pani mein mein jajb ho ke khatam ho jate hai yah plastic ki tarah baki nahi rehte
Ek baat aur yaad rakhe mitti ke bartanoko sabun yeah detergent se na dhoe isase khane ke test me kharabi aa sakti hai.hamare nabi e karim sallallahu alayhi wa sallam bhi mitti aur lakadi ke bartanon mein khaya piya karte the aur pani ke liye makija use kiya karte the mitti ke bartan me khana pakta hai galta nahi isliye jaldi kjarab nahi hota taja rehta hai aur kukar me khana galta hai.aur mitti ke bartano me khana jyada der tak garam bhi rehta hai isliye dubara garam karneki jarurat nahi rehti khane ko baar baar garam karnese khane ke nutrients kam ho jate hai.
Mitti ke bartanoka istemal aur rakh rakhaw
Bajar se lane ke baad mitti ke bartano ko sarso ka tel refind Tel ya koi bhi khane ka tel laga kar aadhe se upar pani bhar ke rakhde dhimi aanch par pakne ke baad ise utar le isse mitti ka bartan sakht aur majbut ho jaega sath hi mitti ki smel bhi chali jayegi mitti ke bartan ko saaf kaise karna hai iski Jankari na hone per Kai bar log isko kharidte bhi nahin hai Inko saaf karna bahut hi aasan hai oil wale bartan uske andar aap garm pani dalkar usmein nimbu dalkar nariyal ki jo bahari chhal hoti hai usse ghis le to yah mitti ke bartan aasani se saaf ho jate hai. To doston soch kya rahe hain agar aap jina chahte hain healthy life to jyada se jyada mitti ke bartanon ka istemal karen aap chahte hain Ki aapka body bimariyon se dur rahe aur acchi life jina chahte hain to Mitti ke bartanon ka istemal jarur kijiye aapki dost......
3 Comments
Good
ReplyDeleteA unique and useful post
ReplyDeleteماشاءاللہ بہترین آرٹیکل اور عمدہ تصاویر۔ پلیز ایسے مزید اچھے اچھے آرٹیکلز سے ہمیں نوازتے رہیں۔ شکریہ
ReplyDelete