Alovera podhe ke amazing fayde
![]() |
Alovera podhe ke amazing fayde |
Alovera ke har jaban me alag alag name hai.is ke amazing heran kardene wale fawaid hai isko hair skin pure body ke liye use kiya jata hai.sar se le kar pair takke har parts ke liye bahot use full is alovera ko beauty product mein davaiyon mein use Kiya jata hai aur iski mithaai bhi banti hai.iska salan bhi banta hai.ye puri duniya me ek esa podha hai jaha jameen mojud hai waha ye hota hai.
Or pakistan me is ki behtareen fasal hoti hai or pakistan ke alovera ki bahir ke mulko me demand hai puri duniya me isko import kiya jata hai.or badi badi creamen Banane wali factoriyan aur davaiyan Banane Wale factoriyan Pakistan se isko import karti hai.
Jyadatar dawaiyo me use kiya jata hai.or who bhi cancer ki bimari ke liye aloevera Mein Aise antioxidant maujud hai jo cancer ke liye bahut jaruri hai . Ismein Folic acid mineral aur kai vitamin maujud hote hain sabse ham baat to yah hai ki ismein calcium bharpur hota hai aur haddiyon ko bahut majbut karta hai
Agar hame alovera leaf ki jarurat hai to jab use tode to ji niche ka off white hissa hai usme cut laga ke usko khada karke latka de ya rakhde usse jo yellow colour pani nikal ta hai who poison kahlata hai.usko nikal jane de fir use kare yah badi ahem baat hai. Jo log isko khane ke liye ya chehre per lagane ke liye istemal karte hai.
Unke liye ye tarika khash apnana hai poison pura nikal jayega dusri chij side ke kanten bhi nikal lene hai or chhote chhote peas kar lene hain fir aage ke pichhe ke chhilke nikal kar isko barik kut ke koi bhi kamm me le sakte hai.iske chhilke bhi hakim dawaiya banane ke kamme lete hai.
Khane ka tarika
Chhote chhote peas karke isko subah sham nigal lena hai chaba ke nahi khana ye best tarika hai.khaneka logo ko pata hota nahi hai or bahir se le aate hai gel or iska juice banake bhi pee sakte hai iske anginat health benefits hai.
Sunburn
Agar sunburn se skin jhulas gai hai to alovera skin pe thhanda hai.agar skin bahot sensitive Pechi rehti hai to din me do baar alovera ka istemal kar sakte hai or iska gel nikal karke refrigerator me rakhke chehre par massag kare sath hi skin ko like karne mein madad karta hai dark spot ko dur karta hai ek baat ka dhyan rakhna hai instant result nahi deta regular lagana padta hai raatko jyada se jyada skin pe istemal kare kyonki raat ko skin repair ho rahi hoti hai.or ye aapki main absorb ho jata hai
Makeup remove kar sakte hai alovera gel me coconut oil yeah olive oil milakar 6 se mix Karke Chehre per lagakar saaf kar le main kab remove hojayega or skin bhi acchi ho jaaye hair ke liye bhi aloe Vera gel kafi beneficial aapko dandruff ka issue hai to aloevera jail ka istemal Jarur kijiye directly scalp massage kijiye aur 15 se 20 minut ke liye Chhod den Aloe Vera Gel Ek bahut hi Achcha moisturizer hai ismein vitamin A,C,E paye jate hai. Hair ko strong banane mein help karta hai.sath hi balon ka girna jhadna bhi kafi kam ho jata hai.
Medicinal quality alovera
Pneumonia ka or jodo ke dard ka behtrin ilaj hai.aadha aadha inch ke peace Karke isko gay ke ghi mein halka sa sek le fir ghee ya pani ke sath khaea jodon ke dard ke liye aur gurde ki pathri ke liye behtarin hai.bahot thoda ghee apne istemal karna hai or nimonia ke liye yah hai ki bahut thode ghi mein isko garam karen aur Thodi Si ajwain uper dal de aur usko dhakkar pakane de fir kholkar dekge ajwain upar chipak gai hogi ye chhote chhote tukde achhe se chaba kar khale or upar se dudh pee len gree tea pile ya pani pee le ye aap 5 ya 6 din istemal karenge to balgamko nikalta hai khansi ko bhi control karta hai
Agar skin fat jati hai to is ke gel ko bees wax ke andar milakar fati hui skin pe lagaye ediyo pe bahot fayda deta hai sardiyo me bhi kam ata hai agar muh pe funsiya ho rahi hai tabbhi iska ek ek tukda subha sham khaye or yaad rakhe alovera ko shehad yani hony mein na milaen kyo ki shahed alovera se jyada faydemand hai. Shahid allah tala ka base kimati tohfa hai.
Alovera ko shehad ke sath milakar rakha nahin Jata jabki coconut oil aur jaitun ke
tel ko iske sath milakar rakh sakte hain
Is alovera ke beshumar fayde hai ek ek bimari pe alivera ke fayde likhne bethu to ek alag se post lagegi ek bimari pe kuchh log iske istemal se darte hai to yahi kahungi bager dare iska istemal kare or jin ke gharo me ye podha nahi hai aaj hi lagaye or iske be shumar fayde uthhaye
0 Comments