Pile danto ko white kese banaye
Danton ke pilepan ki vajah se log khulkar has bhi nahi pate kisi ke sath khul kar baat bhi nahi karpate pile danton ki vajah se hame kaibaar sharmindagi mehsus hoti hai ye hamari khubsurati ko bigad dete hai.kya?aapke dant bhi pile hai ya or koi problem hai.to aayiye me aaj apko kuchh ese nuskhe bataungi jisse aapke dant healthy or motiyo jese chamkenge or majbut honge in sha allah
Bachpan me to ham sabke dant white hote hai leki umar ke sath sath dant bhi pilehone lagte hai kyonky hamare danto pe jo animal ki prat hoti hai who dire dhire patli hone lagti hai or uske niche ki parat jise ham dentin kehte hai.jiska rang pila hota hai who upar aa kar dikhne lagti hai.ham utni care nahi lete or kai baar to care lene ke bawajud bhi hamare dant pile hi rehte hai jese ki dr.subah or rat brush karne ki salah dete hai or ham karte bhi hai fir bhi dant white nahi hote
Or kuchh logo ke to kam umar me hi yah dant yellow hone lagte hai iske karan hai cigarette pina tambaku khana supari chabana ye sab chije danto ke inemal ko yellow kar deti hai. Iske alawah bhot jyada chini khana soft drinks Peena bhot jyada mittha khanese or Sharab Aur wine ko bhi roj roj peene se danto ke inemal ko gala deta hai. Jisse dant pile padne lagte hai
Kai dawaiya bhi esi hai jisse dant pile padne lagte hai. Antibiotic, tetracycline blood pressure ke liye khai jane wali davaiyan or asthma ke liye khye jane wali davaiyan or allergy ki davaiyan Jyada Din khane se dant Pile padane lagte hain.
Danto ko white karneka tarika
Sabse pehle to upar ki jojo bhi chije hai jiske khane se ya pine se dant pile hote hai use bandh karde fir har kahne ke baad kulli karne ki aadat dale or subha or rat ko do time brush karna hai. Or agar aap miswak karte hai to ye kya hi behtreen hai kyoki miswak ki talkin hamare hujurw paak sallallahu alayhi wasallam ka tarika tha unki sunnat hai.miswak ke bhi bhot se fayde hai.mujhe miswak ka bhot achha experience to aap bhi jarur apnaye is sunnat ko miswak se behtar koi tooth pest nahi hai dunya me
1.friut sirka ek usme aadha chammach shahad mila kar brush kijiye ye bhi rojana kar sakte ho
2.apni toothpaste mein fitkari yani alum ka powder mila kar brush kijiye ye rojana kare
3.apni tooth paste me chutki soda mila kar brush kijiye ye hafte me do baar kare
4.kai fal or sabjiya khane se bhi dant saf hote hai strawberry,pineapple,aawla
5.khana khane ke foran baad danto par halkese brush karlene se danto paer sabjiya ya masale ka rang nahi chadhta
6.neem ke miswak se dant ghisne chahiye
7.sarso katel or sendha namak se brush kare
8.nimbu or santre ke chhilko ko sukha kar barik pis le fir isme honey mila kar danto pe brush kare
Ye jitne bhi tarike hai dant saf karne ke koi jadu nahi hone wala aapko rojana karna hoga tab dhire dhire dant mriyo jese chamkenge itna fayda hoga ki muh se badbu bhi jati rahegi or sirka or shad se to danto ki koi bhi bimati ho pioriya dant black ho chuke ho dhire dhire saf hone lagenge or do baar brush karna na bhule or dudh se bani chije khaye rojana dahi rojana apple khaye apple me mojud ecidic properties danto ko saf karti hai baking soda mein dant whitning properties hoti hai.
3 se 4 strawberry le isko pis kar danto pe aaram se lagaye lagane ke baad massag kare fir 5 minute tak ese hi rehnw de fir barush karke dhole roj ratko sone se pehle use kare strawberry me vitamin c hota hai.
Jo hamare danto ko safed or chamkata hai
Ek nimbu or shendha namak le or brush se danto par lagaye brush kare fir dhole hafte me do baar kare jab tak aapko achha result nahi milta jyada istemal nahi karna chahiye nimbu or sirka isse daanto ki parat bhi hat sakti hai
Fitkari pani mila kar us pani se kulli kare thhodi der ghumakar
Coconut oil muh me bharke ghumana chahiye rojana ye karne se dant chamakne lagenge to dosto danto ke liye calcium jaruri hai jisse calcium mile esi chije khaye or apni sehat ka khayal rakhe apne danto ka khayal rakhe or khush rahe
2 Comments
Good
ReplyDeleteGood but ap ne maggner wala theme ni lgaya abhi tk wo lgao ju sor ne batya tha
ReplyDelete