Ajinomoto kya hota hai ek dhima jahar?
Ye ek Chinese namak hai ye dekhne me crystal Ki tarah dikhta hai Ajinomoto yani sodium glutamate ye hai kya iske nuksan kya hai kya iska hamari sehat pe koi fayda bhi hai.ya sirf nuksan hi hai. chao tokyo mein ajinomoto ka utpadan hota hai.26 deso me ye kaam karte hai.japani jaiv rasayan kikunaye ekedane 1909 me ajinomoto ki khoj ki ajinomoto veg.or nonveg do tarah ke hota hai ajinomoto Aankhon Ki retina ko nuksan pohchata hai.or cansar jesi kai bimariya bhi ho sakti hai
Isko dhima jahar bhi kehte hai iska rojana istemal karne se migraine ho jata hai or dusri bhi kai tarah ki bimariya hoti hai
Aap kabhi bahar khana khane jate ho to badi khushi hoti hai.aapka mood achhchha hota hai excitement hoti hai iske pichhe vajah ye kya hoti hai.? Uske pichhe vajah ye hoti hai.ki ye ajinomoto kisi khane me shamil hota hai.wahi khana ham khate hai to ye hamare dimag ke neurons ki moment tej kar deta hai.to hame badi khushi hoti hai.ham hyper active ho jate hai.hame achhchha lagta hai.magar jab neurouns tej tej ghumne ke baad jab rukte hai.to rukte sathh hi who mar jate hai
Or neurouns ki aabadi bahot jyada hoti hai.unme se chand hajar ya lakh mar jaye to overall functioning mein Koi major impact ya fark najar nahi aata
Lekin hota ye hai ki jo neurouns hote hai unse dimag se jo paigam body ke har hisse me jana hai.dimagne paigam dena hai.jeseki iss hathh ko ki ye hathh me mobile hai.who rakh de dimag se hathh tak paigam lane wale neurouns hai.jab inki aabadi kam hona shuru ho jayegi or jab kam hoti chali jayegi fir jab dimag paigam bhejega to bahot aahista aahista pahuchega ya kabhi nahi bhi pahuchega
Aapne kai baar gor kiya ho ki hamare bachche school me jate hai unhe teacher koi bat padhati hai kehti hai.unhe who baat samajh nahi aati ya bahot der me samajh aati hai.who bachche pichhe reh jate hai.kai bachche pedaisi tor par ese hote hai. Uski vajah kya hoti hai ki unki maa jab pregnant thi to unki maa ki khurak me monosodium glutamate shamil tha or us maa ne ye pregnancy ke dauran bhot jyada liya tha uska asar maa pe bhi aaya magar jyada us masum bachche pe aaya jiski vajah se uski learning capability kam ho gai uski sikhne samajhne ki salahiyate dusre sehatmand bacchon ke mukabale mein bahut kam ho gai hai to ajinomoto is tarike se asar andaz ho raha hai.
Duniya ki kai contries mein is per pabandi aa chuki hai ajinomoto monopodium glutamate or iska short nane hai MSG lekin kuchh brand aise hain Jo Nagets,burger, petis banate hai Jo aalag alag chicken products banate hain. Yah log pahle flavor enhance ke tor pe hai ajinomoto yani MSG
Dala karte the lekin Jab Se yah man Bandi hui hai unhone apni advertise mein bhi yah Dava karna Shuru kar diya hai. Hamari product without MSG hai.jisko shayad aapne pehle kabhi gor kiya na ho
Agar Gaur Karenge to Pata chalega lekin abhi bhi MSG dalkar test bana rahe hain. Ham aaj bhi us test ka shikar hai. Use test ke khatir is nuksan deh product Ghar Lekar aate hai.or apni aur apne bacchon ki sehat kharab Karte hain. Readymade masalo me bhi MSG daka jata hai or hamen pata hi nahin hota isi tarah Chinese khane mein
Can item mein dala jata hai unko pata hi nahi hota who kis kadar nuksan karrahe hai
Please request hai ki aaj se aap koi bhi product kharide uske ingredients ko gor se padhe aagar MSG likha huva najar aaye who product na kharide
Dusri chalaki ye karte hai ki ajinomoto yani MSG ki code word mein likhate hain E621 to uska matlab MSG hai agar aapke bachche snek late hai bahir se ya aap koi chij ya koi frozen item late hai to MSG hai ke nahi check kareistemal kare bachcho ko bhi samjhaye iske bare me oe apna or apne pyaro ke liye ahtiyat kare agar aap hamari post ko gor se padhte hai to aap jarur is nuksan se bach jayenge in sha allah
1 Comments
کمال
ReplyDelete