Dandasa akhrot ki chhal naturally lipstic,nailpolish,hair die,danto ki problem,skin problem me istemal

Dandasa akhrot ki chhal naturally lipstic,nailpolish,hair die,danto ki problem,skin problem me istemal



           Dandasa akhrot ki chhal             naturally lipstic,nailpolish,hair die,danto ki.     problem,skin problem me istemal  



Aaj hame baat karni hai dandasa yani akhrot ki chhal aur  walnut bark bhi kehate hain.mene iska istemal kese karte hai hamare neighbour mein rehte the unke lips brown type ke colour ke hote aur teeth ekadam white to unse puchha to unhone kaha me dandasa ka istemal karti hu to aaj ham isi dandasa yani akhrot ki chhal ki baat karenge ki isko kese istemal karte hai aur kya fayde hai.vaise to iska istemal munh aur danton ki bimariyon ke liye hota hai lekin uske alava yah ek beauty product bhi hai.Kai tarah ke beauty products me is ka istemal hota hai.log barso se iska istemal karte aa rahe hai




Dandasa ke fayde



Damdasa yeh ek farsi akhrot ke ped ki chhal hoti hai.ye dandasa ke ped India Pakistan,chin,japan, afghanistan,turki aur Iran mein hote hain.Saudi arab mein aur afghanistan mein log iska istemal munh ko saaf rakhne mein aur dant ko saaf rakhne ke liye karte hain. Ismein jo antioxidant hote hain uski vajah se yah hamari body per achcha kam karta hai aur kitanu ko marne ka bhi kam karta hai.



Agar aapke dant ki aapke munh ke andar ki koi taklif hai munh mein chhale pad gaye hain danton mein cavity aa gai hai munh mein se badbu aa rahi hai  munh ki koi bhi bimari lag jaati hai danton mein to in sab maunh ki taklif ke liye dandasa aap use kar sakte hain aapko fayda hoga Inshallah

Iska jo test hota hai who thoda sa tikha hota hai.lekin aap rojana danto pe ghiste ho to danton per kitne bhi purane nishan honge who bhi nikal jaenge aur munh mein se badbu bhi nahin aaegi aur chhale hai to who bhi thhik ho jayenge



Ye lips ka colour bhi chang karta hai.






Yah naturally lipstick ka bhi kam karta hai jo ki ladkiyon ko colour pink red achha lagta hai jiski vajah se who mahange mahange lipstick lip balm kharidte hain jismein chemical hota hai aur long time use karne se lips black ho jaate hain aur ladkon ke bhi smoking kar karke lips black ho jaate hain to who log bhi isko hothon per laga sakte hain color change ho jaega aur halka orange colour hota hai.long time tak rahega colour rojana lagane ki jarurat bhi nahi achha chalta hai.





Iska dant manjan bhi bana sakte hai.





Agar aapke masudon se Khoon a raha hai aur danton ke andar gandagi jama ho gai hai pyorea hai badbu a rahi hai.Matlab danto ki koi bhi problem hai.to dandasa ke Kuchh Pieces kare chhote chhote tukde aur fir mixi me pis ke barik powder banake ek botal mein bhar ke rakh le rozana subha dant saaf kar sakte hain aapke dant ekadam chamakdar aur problem free ho jaenge







Skin problem me




Aapka skin ki koi bhi problem eczema hai skin disease hai. Raat bhar dandasa ko pani me bhiga rakhe dusre din subha kisi khurdare pathar per isko ghiskar iska lep jaisa banaa le aur usko jo effective area hai skin ka vahan per lagaen  fir sukh jaaye to usko utaar le ab dekhenge ki kuchh hi dinon mein aapki jo bhi skin ki problem hai use aapko chhutkara milega



Hair die






Balon Mein color karne ke liye ek bada sa tukda dandasa kale kar rat bhar pani me bhiga kar subha pani ko ubale achhe se fir us pani ko mehndi me dal de isse bhi aapke baalo me achcha color aaega aur balon ke dandruff se bhi chhutkara milega agar aapke baal pehle se hi koi aur chemical se bhare colour wale nahi hai to ye bahot achha colour chhodta hai.Balon pe isliye to pahle ke jamane mein log is dandasa  ka istemal log karte the yeto barso purani jadibutti hai.to dosto aap bhi start karde aaj se is danda sa ka istemal






Ismein teeth whiting properties hai main har tarah ke antioxidant hai potasium magnesium zinc ye pansar ki dukaan se aaram se mil jaega aap chahe to amazon se bhi manga sakte hain.To aaj hi aap iska mangvaee hai aur iska istemal balon mein skin per hothon per aur Iske fayde uthaiye natural chijon ko apni zindagi mein shamil karen aur chemical wali chijon se dur rahe aapko ek baat pata hai ye jo pathhan log hote unki auraten mehandi ki jagah is damdase ka istemal karti hai raat bhar bhiga kar subah isko ghis kar aur iska lep banakar who hathon per aur pairon per mehandi ki tarah lagati hai.




Halal nail polish






Ladkiyon ko makeup mein lipstick aur nailpolish ka sabse jyada shauk hota hai.to dandasa ka istemal nail polish ke taur per bhi kar sakte hain aur yah natural nail polish hogi jo lagakar aap namaj bhi padh sakte hain kyunki is per koi nails per layer nahin chadhti aur bus sirf color hi aata hai aur isse Hamare nails bhi acche Khubsurat aur healthy rahte hain to jo bhi neri Bahane hain jinko nail polish ka shaukh hai who apna shaukh pura kar sakti hai yah lagakar Iske koi side effect nahin hai yah natural jadi buti hai.


Lagane ka tarika





Isko aapko jab bhi istemal mein lana ho to aap isko bheega de chahe thodi der ke liye hi aur agar aapko isko nail polish ki tarah istemal karna hai ya mehandi ki tarah to puri raat bhigade aur istemal kar sakte hain aur agar danton per ghisna hai to aap isko thodi der bheega de thoda naram ho jaaye to fir aap isko dantoke  upar ragad  sakte hain aur ye aap danton per ghisoge to hothon per bhi color apne aap a jaega jo bahut hi achcha natural color lagta hai aur bahut khubsurat lagta hai to aap isko jarur try kijiye aur mujhe apni duaon mein yad rakhiye khush rahe khushiya bante

Post a Comment

1 Comments