Orange Ke Chhilke Aur Chawal Ke Pani Ka home mad Shampoo

Orange Ke Chhilke Aur Chawal Ke Pani Ka home mad Shampoo


Orange Ke Chhilke Aur Chawal Ke Pani Ka home mad Shampoo


Doston aaj me baat karungi shampoo ki aur who bhi gharpe bana huwa magical shampoo jisse aap ke bal badhenge bhi aur shiny bhi dikhenge aur ghane bhi ho jaenge matlab balon ke har problem se chhutkara milega dandruff balon ka girna scalp mein khujali are shampoo mein jo ingredients istemal hue hain who kamal ke ingredients hai balon ki health ke liye bahut hi acche hain main aapko sab ke bare mein batati hun vaise bhi aajkal ki lifestyle aajkal ka khana pina aisa ho gaya hai ki har chij me milawat ki vajah se har ek ke bal girte hain pahle ke Jamane mein aisa nahin hota tha to un logon ke bal bhi bahut khubsurat hun aur skin bhi bahut khubsurat hua karti thi aur logon ki health bhi acchi rahti thi lekin aajkal to har chij mein milavat hai aur ladkon ke to Itni had tak girte hain ki unko ganje hi ho jaati hai pure hi gir jaate hain aur fir yah log apna atmavishwas kho dete hain to chale baat karte hai shampoo me use hone wali chijo ko 



1. Ingredients hai aawla yani gooseberry





Aanwale ke andar Jo vitamin c aur antioxidant hote hain ye hamare balon ke liye bahut hi useful hote hai yah balon ko ghana karte hain aur balon ko black karte hain aur balon ko white bhi hone nahi deta

matlb ye hamare balon ke liye bahot hi achha hai.aawla khane se bhi baal hamesha kale ghane aur majbut rehte hai aur vitamin c ki vajah se skin bhi saaf rehti hai kyoki ye khoon ko saaf rakhta hai kabj nahi hoti kabhi our aankho ko tej karta hai.



2. Reetha jise soapnut bhi kehte hai.






Reetha ke andar iron hota hai.Balon mein dandruff nahin hone deta aur balon ko damage hone se bhi dur rakhta hai.rithha ek best anti inflammatory hai naturally cleansing karta hai.Agar aapke scals mein fungals infection to usko khatm karega aur balon ko jhadane se rokega aur smooth aur dhiny banaega yah mere khud ka experience hai.aur naturally shop hai. sabun banane ke aur shampoo banane ke bhi kam mein aata hai use karte hain.Se jhag bhi hote hain ismein ek seed iska bij paya jata hai jisko nikal kar fenk dena hota hai.aur upar ka hissa le le lena hota hai.agar sar me jue hoto who bhi khatam karke balon ko kala ghana aur lamba majbut bana kar growth bhi badhata hai





3. Shikakai





Ismein 4 vitamins hote hai A,C,K,D aur ismein joint accident hte hain to yah vitamin aur antioxidant milkar balon ko patla nahi hone deta aur yah naturally

conditioning bhi karta balon ko barik yani patla nahi hone deta ghana bana kar shiny banata hai balon ka tutna bhi kam karta haiHamare balon ke liye collagen bahot jariri hai usko bhi badhata hai shikakai iska bhi ped hota hai ye aur rithha ped pe hi ugte hai.inko jadi buti hai aur ye sab chije bajar me pansar ki dukan se aasani se mil jayegi




4. Chawal yani rice







Yah jo chawal hote hain inmein vitamin aur minerals bahut jyada hote hain inmein Jo calcium aur fiber aur thhaimin aur vitamin d,b,c,hota hai.who balon ke liye bahot jaruri hai.aur hamari health ke liye bhi aur skin ke liyebhi yani sar se lekar per tak sarapa fayda karta hai.Yah chawal Ka Pani balon ko naturally conditioning karta hai aur bounsi aur ghana banata hai.Aur bahar ke deshon mein to isase barson se sar dhote aaye hain




5.Orange ke chhilke na hoto nimbu ke lele




Orange ke chhilko me bhi bahot kuchh hota hai jese ki magnesium calcium fibre vitamin C Aur B samjiye ki 100 gram chhilke me 135 gram vitamin c hota hai ye santre ke chhilke bhi utne hi jaruri hai balon ke liye ki jitne aawla,rithha,shikakai,aur chawal ye bhi balon ko clean karta hai aur shayning deta hai aur soft banata hai.aur agar chehre par laga liya to chehre me bhi jaan dal dete hai ye chhilke chahe fir sukhe ho ya gile to aajke baad aap bhi in chhilko ko bekar samajh kar fenkyega nahi 





6.Alsi 






Alsi me kya kya hota hai who bhi bata du alsi mein Omega 3 aur 6 hota hai aur fiber aur fatty acid bhi hote hain.Alsi mein jo vitamin E hota hai who balon ke growth ko bahut achcha banata hai.bal jaldi badhte hai.aur chamkile suljhe huwe bante hai.balon ko posan dekar ek nai ranak lata hai.meto istemal karti hu mujhe is bij se bahor fayde huwe hai aue isko khaye bhi pis kar badam aur alsi ko mix kar ke pus kar fridge me rakh le rojana subaha khali pet ek cmach khane se bhi hair growth achhi hoti hai.




7.Chai patti




Chai me mojud vitamin A aur E balon ko moisturize karte hain aur baal long time tak hydrate rahte hain.Aur anti fungal aur anti inflammatory hai. to isase scalp Mein dandruff nahi hota aur kisi bhi tarah ka infection bhi nahin hota aur fir baal jhadte bhi nahi kyoki simple nursery conditioning hote hain agar aap sar dhone ke baad last me chahi patti wala ubla huwa pani jo thhanda ho chuka ho usse sar me masagg ksrne se bal conditioning ho jaenge fir sade pani se bal na dhoye






8.Methhi dane






Methhi me jo protin aur vitamin c hota hai who baloko haldi aur ghana banata hai aur scalp ko bhi saaf rakhta hai. Aur blood circulation ko badhata hai.jiski vajah se bal jhadte nahi hai aur healthy rehte hai aur ye bhi balon ki na study condition karta hai. Aur methi dana mein jo potassium hota hai balon ko andar ki jadon se majbut karta hai .to fir hamare baal majbut hote hai aurjab tutate nahi to lambe bhi hote hai.




Amazing shampoo banane ka tarika






Ab karna kya hai ki ye jo aawala,reetha shikakai,orange ke chhilke na hoto nombu ke chhilke lele aur alsi,methi dana,chai patti,rice in sab chijo ko eksa lele bas rithha jyada le jese sab chije 50 gram to rithha 200 gram fir rithha ke bij nikal le aur in sab chijo ko ek badi si lohe ki kadhhai ya lohe ke bartan mein bheega de raat bhar ke liye subah isko aadhe ghante tak gas per rakhe aur ubale ab jab ubal jaye to dhak kar rakhte thanda hone per isko acche se hathon se masle fir  isme thhoda pani aur dale fir achhe se masle esa 4 se 5 baar kare yaad rahe hathho me gloves pahan le taki aapke hathh black na ho jaaye  fir ab ye aapka magical shampoo taiyar ab aap isko hafte mein jitni bar se sar dhona chahe dho sakte hain rojana bhi dho sakte hain Iske koi side effect nahin hai.na hi ismein koi chemical hai ismein aise ingredients hai jo aapke balon ko healthy aur mousturizer aur jado se majbut kala lamba ghana banayenge aur tutna girna kam hoga nahi dandruff hoga na hi koi fungal infection hoga nahin sar main khujali aaegi to hai na is shampoo ke gajab ke fayde aap ek bar tray karen aurfir mujhe comment mein jarur bataen aur haa lohe ke bartan me banane se aawla ka aur lohe ka kuchh chemical reaction hota hai jo balon ke colour ke liye bahot jaruri hai color deta hai balon ko whit hone se bachata hai allah  hafiz......

Post a Comment

3 Comments