Open porce ka gharelu ilaj



Open porce ka gharelu ilaj



Aaj ham baat karenge open porce ke bare aur chehre per jo gade ho jaate hain. unke bare mein kya kar sakte hain ye porce kyi bade ho jate hai.isse kese bacha jata hai theek karne ke liye kya karna hoga to dosto kai logo ke chehre pe chahe who male ho ya female harek ke chehre pe orange ki chhilke pe jo dot hote porce hote hai. Thhik ese hi open porce hamare chehre par hote hai.our gadhhe bhi bante hai.jyadatar log is problam se paresan hote hai.aur kai ilaj karte hai lekin koi fark nahi padta aur insan paresan hi rehte hai to aayiye me thodi koshish karti hu aapki problem solve karneki in sha allah



Open porce







Sabse pahle to jann len ki open porce hote kya hai.ham sab ki skin ke upar porce hote hai jisse hamari skin sans leti hai aur un porce se naturally oil or pasina bahar nikalta hai.aur har ek porce sibam ko banata hai.ye sibam ek wex aur oily substance hota hai.jo skin ko protection deta hai aur sath hi nami bhi deta hai.sibam skin ko soft banata hai.agar sibam bahot jyada banne lagta hai ro porce bandh ho jate hai jisse acne pimples ki problem ho jaati hai.aur jiski bhi skin me sibam jyada banta hai unki skin oily ho jati hai.jab ye porce bade ho jate hai to isko open porce kehte hai.jiski vajah se skin dry aur dull ban jati hai.aur isliye skin gandi aur badsurat dikhti hai.




Kuchh logo ke ke sath sath collagen ka production kam hone lagta hai.aur skin me oil bhi kam banne lagta hai jisse skin luse aur latak jati hai.to ek ye bhi vajah porce bade dikhne ki aur dusri vajah hai. Hormones imbalance ki vajah se bhi porce bade ho jate hai aur porce ka bada hona ya chhota hona genetically ho sakta hai agar aapke chehre pe porce bade hain to aapke bacche ke chehre per bhi porce bade ho sakte hain.Aur agar yah problem aap ke mummy papa ko hai to aapko bhi ho sakti hai.





Jin logon ki skin oily hai unko bhi open porce ki problem ho sakti hai.Darasal oily skin walo ko yah problem isliye hoti hai kyunki unmen sibam bahot jyada banta hai Jiski vajah se porce bade ho kaate hain aur skin bahut buri dikhti hai.ek Ek reason pimples acne bhi ho sakte hai jin ki vajah se porce open ho jate hai bade hone lagte hai.aur agar aap Chehre per hone wale black hads white hads nikalte ho aur pimple acne ko daba ke nikalte ho to vaha gadhha ban jate hai jiski vajah se skin pe gadhhe gadhhe dikhte hai.din me ek do baar chehra dhona chahiye lekin bar bar dhone sebhi porce open ho jate hai.long time tak agat aap dhup me rahoge to bhi porce open ho jate hai.kisi ko bhi ye open porce achhe nahi lagte har ekko ye 100% nikalne hote hai. Lekin ye na mumkin hai aap porce ko bilkul khatam nahi kar sakte to aapke skin ko hydrate rakhte hain isko chhota kiya ja sakta hai ek achhi skin care karke in skin ko achhe se clean hydrate or protect karoge to porce hydrate our 

protect karoge to porce chhote hone lagenge badhenge nahi





Skin ke porce me exercise oil jama hone nahin dena me aspko main aapko kuchh aise tarike bataungi jisse aapke moisturize rakhna hai aur hybrid rakhna hai.aur skin ko dhup se bhi bachana hai.jisse aapke porce bade nahi honge



Alovera aur nimbu






Aloe vera nimbu skin ke porce shrink hote hain skin ko hydrate bhi karta hai.aur skin se scheme se extra oil ko nikalta hai aur skin ko bhi karta hai aur porce me se gandgi nikal bahar karta hai.our porce me improvement lata hai.lagane ka tarika alovera ki pattiya aaspass se nikal le fir andar ka gel lekar mixi me daal kar usme ek nimbu daal kar mix kare achhe se mixi me  roj rat ko chehre pe massag kare aur raat bhar ke liye chhod de in sha allah



Egg white




Skin ko tight karta hai aur jinke bade porce ho jate hai usko shrink karta hai jisse skin achhi dikhti hai.egg white me jo protin hota hai usse porce chhote ho jate hai


Lemon





Lemon me jo property hoti hai who porce ko tight karti hai lekin jin logo ki skin sensitive hai jinko allergy hai nimbu se un logon ko lemon nahin use karna chahie  jin logon ko lemon suit karta hai vahi use karen




Haldi turmeric aur rose water 






Isme Aisi antioxidant hai jiski vajah se skin ke pose shrink ho sakte hain aur vaise bhi haldi antiseptic hai iske bahot se fayde hain ya aapko kil muhanson se bhi bachayegi khujli ko bhi kam kar sakti hai.skin ko hydrate rakhegi aur skin se jo bhi extra ka oil hai usko nikalkar porce ko chhota kar dengi haldi ek chammach aur usme gulab jal mila kar pack banake lagaye week me 3 baar to bhi fark padega




Tomato aur nimbu





Tomato mein acidic properties hoti hai jiski vajah se porce mein se gandgi aur extra oil nikalkar post ko saaf karke skin ko tight karta hai aur porce ko shring karta aur kin ka natural oil hota hai usko kin ka natural oil hota hai usko barkrar rakhta hai.tomato aur nibu ko mix karke rojana chehre pe lagaye acche result ke liye rojana lagaen




Multanimitti






Multani mitti bahut common hai har ek ke ghar mein milegi aapko multani mitti kyunki multani mitti se bahut se face pack bante hain aur skin bahut acchi rehti hai aur porse bhi chote hone lagte  hain who shrink ho jaate hain ek natural cleansing ka kam karta hai.ji porce ko saaf rakhta hai.



Green tea





Green tea pata hai aapko yah ek bahit hi achcha antioxidant hai. To iska istemal aap aise kar sakte hain ki green tea mein aap cotton ko duba kar aur isase skin per laga sakte hain aur isko fridge mein ice cube banakar bhi chehre per laga sakte hain iski vajah se aapke open porce ko chhote ho jaenge aur clean ho jaenge




Khira kakdi 




Khire ka juice bhi natural lotion ka kaam karta hai iske juice ko cotton ki help se pure chehre per laga le fir chehre ko thhande pani se dho le in sha allah fark padega bas ek hi request hai.jo bhi kare regular kare tab hi fark padega


 Dahi 




Dahi main lactic acid hota hai aur ese becteriya paye jate hai jis ki vajah se porce bandh hote hai.dahi lagane se jhaiyan bhi khatm hogi 




Aur best open porce lotion





Ek bottal len usme aadha bottal angur ka vinegar bhare usme ek chammach honey

Fir puri bottal jo aadhi baki thi usme rose water bhar le fir achhe se mix kare aur rojana raatko lagaye ye mera fevrit lotion hai isse aapko jarur fark padega in sha allah to jarur aajmaye ye aajmaye huwe nuskhe hai jo me aapke liye lekar aati hu jarir fark padega....

Post a Comment

3 Comments