Dandruff kyo hota hai aur kese roke dadruff ko
![]() |
Dandruff kyo hota hai aur kese roke dadruff ko |
Aaj ham baat karne wale hain dandruff ke bare mein jo har ek ki problem hai aur har koi chahta hai ki dandruff hamare sar se kaise jaaye to aaj main aapse baat karungi ki yah hota kaise hain yah kyon hota hai kya vajah hai to dandruff sar mein ho jata hai aur isko hone se kaise roke aur agar ho gaya hai to iska kya Ilaaj hai.hamme se har ek ki life mein har ek ki life mein yah dandruff ki problem aati hai.aur agar aapne chhoti problem pe dhyan na diya to ye badi banjati hai aur dandruff se follicles yani balon ki jade kamjor hone lagti hai aur bal girne lagte hain aur bal white bhi hone lagte hain.aur kai log saf safai ka dhyan nahi rakhte ti fode funsi hone lagti hai aur kai log ke patches ban jaate hain utni jagase ganje ho jate hai ksi log anti dandruff shampoo use karte hain usse unko fayda hota hai aur kai logon ko nahin hota to aaj me aapko isko hatane ka ilaj batati hu
Dandruff kya hota hai
Meleseziya name ka ek fungal hota hai jo hamare sar ki skin me hota hai scalp me agar ye badhne lage to dandruff ban jata hai.agar acche se ham sar ki safai achhe se nahin karte to dead skin aur bahar ka pollution aur dhul mitti ki vajah se bhi sar mein dandruff ho sakta hai.aur is dandruf ko halke me nahi lena chahiye kyunki agar dandruff per dhyan nahin diya gaya to sage sar ki bahut hi kharab bimariyan hi sakti hai. Dandruff ki vajah se bahut se problem ka samna karna padta hai
Dandruff ki vajah se hone wali problem
Aksar esa hota hai ki Ham doston ke bich mein ya family ya friends ke bich mein hote hain aur achanak yah hamara hath sar mein chala jata hai aur ham gujre karne lagte hain dandruff ki vajah se sar mein bahut hi khujli aati hai aur hame achha nahi lagta kisi aur ke samne sar me hath dalna aur ek vajah ye bhi hai ki dandruff ki vajah se pesani pe chhote chhote dane bhi niklne lagte hai chehreki skin bhi kharab ho sakti hai.kuchh logo ke sar me dandruff ke pile rang ke ese mote mote flaks bhi bante hai.fir ese dandruff ke liye docter ki treatment ki jarurat hoti hai
Dandruff jaha bal aate hai ese aria me rehta hai.ye aria me isliye rehra hai.kyoki yah oil zyada production hota hai.is gland ko sibam kehte hai sibm normaly oil ka production kartahai to balon ki health achhi rehti hai.Sibam balon ko shining deta hai aur skin ko acchi rakhta hai soft aur chamakdar aur balon ko naturally conditioner bhi karta hai.lekin jab ye jab ye sibam hormones imbalance ya umar badhane ki vajah se jyada oil reproduce karta hai.aur hamari jo balon ki jhade hoti hai skin cells aur dead skin ke sath milkar safed ya gry colour ka dandruff banne lagta hai.aur fir ye us meleseziya fungals ka khana ban jata hai.aur ese kuchh log hote hai jinki skin hi oily hori hai to unke sar ki skin bhi oily rehti hai.jisse ye problem jyada create hoti hai.aur agar aap thhanda bahot khate hai ya balon me oiling nahin karte ya aap koi chemical use karta hai balon mein to isase bhi sar mein rusi ho sakti hai.
Sab log alag alag kism ki banawat ke hote hai kisi kisi aue vajah se to kisi ko kisi aur vajah se to kisi ke upar environment ka bhi asar hota hai barsat mein aur thande ke mausam mein jyada dandruff paya jata hai.aur garmiyon me kam hojata hai.lekin ab sawal ye hai ki isse chhutkara kese mile kese jayega ye hamare sar ko chhod kar bahot se log sab kuchh karke dekhte hai magar dandruff jane ka name hi nahi leta me aapko batati hu ki isko kese dur kare
Dandruff ka ilaj kya hai.
Agar bahot time se dandruff jane ka name nahi leta to aap najdeek ke koi bhi skin ke doctor se consult Jarur Karen aur Unki Salah le aur agar normal hi hai aapko dandruff to fir aap yah chije apna sakte hain ki Jaise mild ekadam mild shampoo use kar sakte hain jisse aapka sar saaf ho jaye aur meto shampoo nahi prefer karti balki aawla arithha sikakai se hi baal dhoye aur agar kabhi kabar jaldi me kahi jana hoto KHDI company ka shampoo bahut hai achcha aur mild hai.isme bhi bahot option hote hain alag alag skin ke liye alag alag tarah ke khadi brand ne banae hain to aapko usko use kar sakte hain check karke ki aapko kaun sa suit karega neem,alovera,aawla aur arithha hota hai bhringraj aur aanwala hota hai. Aise aapko alag alag category ke shaadi mein mil jaenge shampoo meto yahi istemal karti huKabhi kabho wese to aawla arithha alsi sikakai khair ab aage aapko batati hu
Agar coconut oil aur nimbu mila kar lagate hai baon ki jhado me tabbhi fark padta hai.aur ismehi aawleka ras lagaye tabbhi fayda hoga dahi se balon ko dhoye tabbhi aapko dandruf se chhutkara milega aur dahi me methhidana rat bhar ke liye milakar chhod de fir subah barik pest banakar balon ki jadon mein lagaen isase bhi aapko dandruff se chhutkara milega neem ke patto ko pani me ubal kar balonko dhoye isse bhi fark padega besan aur dahi ko mix karke balon ki jhado me lagaye balo ki jhado me halka sa rub karke 15 ya 20 minute ke baad dhole aur regulatly balon me oiling kijiye isse bahot fark padta hai.Apple cider vinegar ko pani nein milakar usse bhi balon ko dhoe alovera gel jo abto har gharme iska plant hota hai iski pattiya todkar chhilkar mixi me pis le aur usko balo me massag kare jhado me aur subah dhole
Internali
Pat aur khoon ko saaf rakhna chahie aur neem ki pattiyon ka pagal banakar rojana aur neem ki pattiyon ka powder banakar rojana ek chammach len aur agar constipation ki problem hai to trifala ka powder jarur khayen jin mardo ko dandruf ki problem dadhi ke balon me hoti hai who bhi yahi nuske aajmaye sukhi aur thandi chije nahi khani hai.Jo bhi aap khate ho vah thoda soup wala ho hafte mein do bar oiling karen aur scalp ko gandgi se dur rakhen agar aap oiling karte hain ya fir Koi sar mein pack lagate hain ya aur kuchh balon ke liye lagate jain to vah balon ki jhdon mein lagana hai balon ke upar upar se lagane se koi fayda nahin hoga
sardiyon ke mousam dandruff ho hi na
Sardiyon ke mousam me aapke sar me dandruff kabhi bhi hohi na to uske liye aapko pahle se taiyari karni padati hai uske liye aapko kuchh precaution leni padati hai jo yahi hai ki aapko balon ko clean rakhna hai.Regular oiling karni hai khane per apni diet per dhyan dena hai pani jyada se jyada pina hai.Vaise bhi kai log sardiyon mein pani bahut kam pite hain. Aur internally bhi aapka pet saaf hona chahie aur bahut garm chij hai nahin khani hai.aur bahot thhandi bhi koi bhi chij aap medium rakhoge to behtar rahega bahut jyada bhi nahin aur bahut kam bhi nahin to chaliye apna dhyan rakhe khush rahe khushiyan bate duaao me yaad rakhiye...
3 Comments
Informative 👍
ReplyDeleteNice
ReplyDeleteGood information 👌
ReplyDelete