Agar aap bhi sabun se nahate ho to alert ho jaaye sabun ka alternate kya hai?
![]() |
Agar aap bhi sabun se nahate ho to alert ho jaaye sabun ka alternate kya hai? |
Hallo doso ummid hai aap sab theek honge abhi sharidi bhi jor sor se padh rahi hai aaj ham bat karenge sabunse nahane ke nuksan ke bare me aur agar sabun ke nuksan hai to fir kis chij se nahana chahie uska alternate kya hai.in sab ke bare me janege to aayiye baat karte hai hame bachpan se hi hamare maa baap hame rojana nahana chahiye esi nasihate hame bachpan se hi di jati hai.lekin lekin medical science to kuchh aur hi kehta hai.who kehte hai ki rojana nahane se jo achhe bacteria hote hai jinhe good bacteria kaha jata hai.who skin ko ragad kar nahane se khatam ho jate hai aur good bacteria hamen kaisa jaisi bimari se bhi bacha sakte hain aur hamari skin ko healthy rakhte hain.isliye dosto good bacteria to skin ke liye bahot hi jaruri hai.
Sabun yani soap se nahane ke nuksan
Ham jab garam pani se ya skin ko ragad ragad kar nahate hai aur rojana nahate hai aur sabun ka istemal karte hain to skin ke acche bacteria khatm ho jaate hain to agar achhe bacteria hi jab skin me nahi bachengeto skin kaha se achhi rahegi aur sath jo oil skin care jaruri hota hai skin ko mousturize rakhta hai who bhi khatm hone lagta hai aur skin rukhi dsukhi aur dry ho jaati hai.Hamaraimmunity system bhi bigadne lagta hai aur sukhi skin pe bahir ke bacteria infection bahot jaldi hota hai
Hamari skin natural acid metal se bani hoti hai
Aur sabun alkaline se banaya jata hai. Aur jab screen per is sabun ka use karte hain to skin ka pH level bigad jata hai. Sabun Skin ka natural oil khatm kar deta hai aur skin ko rukhi sukhi banakar bejan bana deta hai aur fir esi skin mein khujali aane lagti hai aur skin kharab ho jaati hai aur waqt se pahle wrinkles aur finance aane lagte hain.jo koi nahi chahega apni skin ko sabun se dhona yani detergent se bartan dhone ke sabun se dhone jaisa hai. hamare jo traditional tarike hain who to sabun hi nahin koi bhi aur chemical wali chijen koi bhi product lagane se mana karte hain kyoki skin in sab chijo se kharab ho jaati hai.to ab esa kya istemal kare jisse skin aapki saf aur ekadam clear ho jaaye aur han sabun se gandgi saaf nahin hoti
Aaj me aapko soap yani sabun ke badle kya istemal karna hai batati hu Jo naturally bani hai aur koi bhi chemical se bani hui nahin hai jisse aapki skin kharab ho sabse pehla aasan tarika hai naturally body ko saaf karne ka who hai
Dudh milk
Jo aapke aur mere gharme mojud hota hai.agar agar aapke paas kuchh bhi nahi hai.aapke kitchen mein agar dudh hoga to wahi lele kyoki dudh sirf pine me hi fayde mand balki bahri skin ke liye bhi bahot faydemand hai.kyoki dudh mein lactic acid hota hai jo aapki skin ki nami ko barkarar rakhta hai aur moisturizer ko lock karke rakhta hai aur skin ko soft aur daag dhabbe bhi mitata hai. Aur bahut se skin ki problem ko khatm karta hai to aap aaj se hi dudh se skin ko saaf rakhe bajaye Iske ki aap sabun se dhoae aur agar nimbu hai to ek nimbu ko dudh mein dalkar Jaise aap nahane ke time sabun lagate hain wese pure body mein is dudh ko laga lijiye acche se massag kare aur pani se dho lijiye jisse aap dekhoge ki whit dudh lagaya tha aur jab dhne lagoge to black gandgi niklegi skin bahut hi soft aur khubsurat ho jayegi wese bhi natural cleanser ka kam karta sabun ki jarurat hi nahin padegi
Dahi aur rose water gulab jal
Aap dahi lijiye aur isko bhi pure body per laga lijiye agar aapko aisa lagta hai ki dahi se body mein smel aaegi to aap ismein 2 ya 3 chammach rose water ke dal den aur fir acche se mix karke pure body per masaj kar len nahane se pehle aur fir body ko dho le aap dekhengi ki body ki sari impuriity nikal jayegi sara mel kuchel dur hoke skin saf suthri ho jayegi
Santra yani orange
Arrange mein vitamin C bahut jyada hota hai isliye skin ke liye bahut achcha hai vitamin C se skin ekadam chamakdar aur shiniy hoti hai ek orange agar aap roj khate hain aapki skin bahut acche healthy rahegi aur is orange ke chhilke mein aur usko dhup mein sukha den aur fir uska powder banaa le aur yahi powder ek bottal mein bhar ke rakh de agar orang nahi to nimbu ke chhilko ko bhi sukha kar bana sakte hai aur fir bas jab bhi nahana ho to 3 ya 4 chammach lekar ismein aap rose water dalkar skin per rub kar le ye behtreen scrub ka bhi kaam dega aur nahale
Seasonal fruits
.
Har muusam mein alag alag tarah ke fruit aate hain to aap seasonal fruit le le aur koi bhi fruit le sakte hain jaise ke papaya ho gaya banana ho gaya mango le le aur yah aapko mahanga bhi nahin padega aapko khanato hai hi sath hi bus ek hi fruit le koi bhi aur aapke pure body pe apply karen acche se aur fir uske bad body ko dho len to body ekadam acche ho jayegi aur khubsurat hone lagegi
Multani mitti
Aap sab Bachpan se multani mitti ke bare mein sunte a rahe hain pahle Ke Log iska bahut use karte the lekin ab iska istemal bus face pack ke taur per hi hota hai pehle to log isase hair bhi wash karte the lekin ab jese multani mitti gayab si ho gai hai multani mitti ko raat ko pani mein bhiga de aur subah isko nahane se pahle pure body per laga le aur fir se naha le isse skin bahot acchi smooth ho jayegi aur sabun ki jarurat nahin padegi naturally exfoliate bhi karti hai skin ko agar aapki skin bahot dry hai to aap dudh me multani mitti ko dal kar fir body pe lagaye
Besan
Ek pyali me besan le le isme dahi dale ek chammach shahed dale adha nimbu rose water achhe se mix karle liquid banaaiye jo ki aasani se body per apply ho sake pure body ko isse hi saf kare aur aap fir dho le aur ab dekhoge kiski na isase chamkegi aisi saaf ho jayegi Ki duniya mein koi sabun aisa nahin hai jo skin ko Is tarah saaf kar sake aur yah sab chij hai to aap kahin bhi jaaoge to aapko mil jayegi fruits hai nimbu hai dudh hai to aap isase kahin bhi jaoge aapko paresani nahi hogi ki nahi mila kuchh bhi nahane ke liye
Dry massage dry scrub
Aap towel le kijiye dry aur ussse apne pure body per massagj kijiye rub kijiye isase aapka blood circulation behtar hota hai aur skin saf suthri aur acchi ho jaati hai
Ya fir dono hatho ko aapas me male achhe se fir un hatho se body ke massag kare iske bhi bahot se fayde hote hai aur agar yah dry massage aap sar mein karte hain to isase balon ki jade majbut hoti hai aur blood circulation badhta hai aur bal jaldi badhate hain
Mung ki pili daal
.
Mung ki bager chhilke ki daal ek natural detergent hai. skin ko exfoliate karti hai aur daed skin ko hatati hai mung daal ko puri raat dudh mein aur roj water aur subah iska pest bana le mixi mein dalkar fir usko pure body per laga le nahane se pahle isko acche se massg karke fir dho le to isase bhi aap naha sakte ho yah bhi sabun ka alternet hai.to pasand aaye aapko ye ghar ke bne naturally body wash jisse skin aapki achhi rahegi khubsurat chamakdaar aur rinkle fine line se dur esi hi achhi achhi jankari lati rahungi in sha allah ab dijiye ijazat....
2 Comments
Wow
ReplyDeleteApne to alert کر diya hai.
ReplyDeleteBut bht Mushkil hai sabun چھوڑنا