Marij Ki Bimari ke mutabik khana
Kehte hai ki bahot se moke or chije esi hoti hai ki marij kamjor bimarko hi nahi tandurast Insan ko bhi esi chijo se bachna chahiye jab koi bhi patient ka dil use chij ko khane ka Chahe Jo usko nuksan Degi to use chij ko jara sa kha lene mein Koi nuksan nahin hai man le ke bimar ko roti mana hai Aur Aagar marij jid Kare Ke mujhe roti hi khani hai. To aap Kahate Hain Kuchh Bhi kar lo Roti Nahin milegi agar marij ko bahot ji chah raha hai koi esi chij khane ka to agar aap usko ek ya do bite de de taki uski jid tut jaye ho sakta hai uski bhuk bhadak uthhe ab aap usko jo khilaoge who kha lega kyoki ab uska ji chah raha hai.
Lekin agar aap jid kar ke usko roti nahi dete to who jid karke khana bhi nahi kata
Insan ki psychology hai ki jab insan thodi chij dekhta hai to hota hai ki kahi khatam na ho jaye jab aap bahot jyada quantity dekhte hai to dil uchat ho jata hai.or thodi chij dekh ke lalach badhta hai.
bimar ke liye ek usul ye hai ki agar kisi bimar ka kisi khas chij par bahot jyada dil chahta hai to usko mamulisi mikdar me thodi si chij khila dene se bimari me ijafa nahi hoga kyoki ab uski tabyat taiyyar hai us chij ko hajam karne ko lekin jyada nahi ye ab depend karta hai.chij kesi hai agar bahot jyada sakht hai. To ek do bite hi kafi hai.agar halki fulki hai or aasani se hajam honewali hai to jyada bhi deto koi harj nahi
Ibne abbas radiallahu anhu se riwayat hai.ki aap sallallahu alayhi wasallamne ek aadmi ki timardari ke liye gaye us aadmi se farmaya kya khaneko ji chahta hai.usne jawab diya gehu ki roti aap ne sahaba se farmaya jiske yaha gehu ki roti ho who isko dede or fir farmaya jab tumhare marij ko kisi chij ka khaneko dil chahe use thodi si de diya karo or sakti na kiya karo dekhe kitni narmi karahe hai.maa baap bhi itni narmi nahi karte agar marij ko kisi chij ke liye mana kare to who or depression mein chala jaaye or agar marij ko pata hoki jo bhi chahiye who milega to kitni khushi hoti hai.
Agar kisi ki aankhe dukhne lage to usse shake hand bhi ma kare yani musafa bhi na kare usse dur rahe kisi ko bhi khansi jukaam najla ho ya skin ki koi esi problem ho ya aankhe dukh rahi ho to dusre logo se dur rehna chahiye esa nahi hai ki us bimari ko ham bajot effective samajh rahe hai.esa kuchh nahi hai lekin parhej karna bhi jaruri hai.sunnat se bhi sabit hai or quraan e paak me bhi mojud hai.
Agar aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwiyo ko bhi koi bimari is kism ki hoti to aap unke paas nahi jate isse ye pata chalta hai ki in chhoti moti bimariyo me ehtiyat karna chahiye dusro ki khatir unhe chhod do kisi ko taklif na de apne sath sath dusro ki bhi care karte hai.agar dhup ki vajah se aankhe dukhne aa jayeto thhanda pani dale aankhon me
Jis pine ki chij me makhhi pad jaye to
Hajrat abu hurirah radiallahu anhu ne farmaya ki nadiya paar Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab tummese kisi ke pine ke bartan me makhhi gir jaye to use wahi bartan me puri dubakar fek do or fir whi chai ya pani ya dudh ya sharbat ho jo bhi ho pile kyonki makhhi ke ek pankh me sifa hai or dusre me bimari hai or who sabse pehle bimari wala pankh aage ralhti hai or who dub jata hai.
Islam ke usul khushali ke liye nahi tang se tang wakt ke liye hai.kabhi kabhi badshaho pe bhi fakirana wakt aata hai.kabhi kabhi aajmaish asti hai or puri jama punji lag jata hai.fir ek cup chai pani ya dudh ki kadar hoti hai.allah na kare agar hamare paas chhat bhi na ho or esi jagah ho jaha makhhi or machchhar aakar gir rahe hai fir aap kya karoge us wakt ye hame rehmat lagegi
Fodo ka ilaj operation se
Hajrat ali radiallahu anhu ne farmaya me hujoor e paak Sallallahu Alaihi Wasallam ke sathh kisi bimar ko dekhne gaye jinki pithh pe foda ho gaya tha logo ne kaha iske fode me pip pad gai hai.to aap Sallallahu alayhi wasallam ne farmaya isfode ki surgery kar do Hazrat Ali ne kaha me surgery kara raha tha or aapsallahu alayhi wasallam bhi dekh rahe the hamne 3 chije dekhi bimar hone se pehle parhej bimar hone ke baad parhej or 3 koi esi chij hai jo bimari ko badhati hai
Allah ka hukam ho to shifa hoti hai allah ka hukm na hoto koi shifa nahi de sakta iman allah par hona chahiye dawai par nahi dawai me tasir allah hi dalta hai. Allah ke hukm ke bager dawai bhi kuchh nahi kar sakti jaha jindagi ko khatra ho surgery ki jarurat ho to kara leni chahiye
Aap sallallahu alayhi wasallam ne farmaya jab tim kisi marij ke paas jaw to us ke samne khush gawar baten karo achhi baten karne se marij ka dard to kam nahi hota uski bukhar to thhik nahi hoti lekin fir bhi marij ko achha lagta hai.agar kisi ko is bimari me marte dekha bhi hai to allah ke liye esi baat marij ke samne na kare
Achhi baton se marij ki bimari kam karneme help karti hai.or marij ko dekhne se or uske liye chhota mota tohfa le janese marij me jaan aa jati hai usme takat aa jati hai.4 fayde hai marij ki iyadat ke 1 to marij khud khush ho jata hai.2 ayadat karne se ajar milta hai.kisi marij ki ayadat subah ki jaye to sham tak 7000 hajar farishte ayadat karne wale shakhs ke liye duaa e rehmat or magfirat talab karte rehte hai or kehte hai allahummagfir lahu warhamhu
Sham ko ki jaye ti subha tak
3 fayda marij ke rishtedaro ko ke who bhi thodi der ke liye waha se hatkar apne kuchh kaam nipta le marij chahta hai usko koina koi company mile gharwale thak jate hai.4 fayda logo ko hai.ek achha mahol peda hota hai.ek achha mohabbat or hamdardi ka shaoor peda hota hai.nek niyyati ke sathh kisi bimar ko puchhna ye bahot bada kaam hai.kuchh nahi to usko duaa de de uska sar daba de koi uska ruka huwa kaam karde aaj ham kisi ke kaam aate hai kal koi hamare kaam aayega in sha allah
0 Comments