Soft drink ke nuksan cancer ka khatra



 Soft drink ke nuksan cancer ka khatra

Footballer Cristiano Ronaldne Ek press conference ke doran apni tabel se soft drink ki bottal hatai to charo taraf iski charcha shuru ho gai Ronald ne kaha ki soft drink Peene ki jagah logon ko Pani Peene per dhyan dena chahiye kyonki ye health ke liye behtar hai. 





Soft drink me Phosphorus acid mila hota hai jo haddiyo se calciam sokh leta hai.


Ronald ke table se 2 Bottal hatane per company ko karib 293 arab ka nuksan huwa har sal duniya me 2 lakh se jyada log soft drink pine ki wajah se marrahe hai.

Ek research ke mutabik Pata Chala Hai Ki 

Cold drinks aapke body me jane ke 1 ghante me kya asar dalti hai.40 minut me cafin pure body me fail jati hai sruaat me 10 chammach sugar chali jati hai.20 minute ke baad insulin ka bahav tej ho jata hai ise control karne ke liye lever extra sugarko fat me badal deta hai.


40 minute ke baad cafin puri tarah se body me chala jata hai asnkhon ki putliya felne  lagti hai aap alart ho jate hai aapki nind tutne lagti  hai.or aalas dur hone lagti hai. Blood pressure badhta hai. Jise kabu karne ke liye aspka liver or jyada sugar chhodne lagta hai.45 minute dopamine camical badhne lagta hai ye dimag ke khishi dene wale hisse ko alert  karta hai.thhiik wese hi jese heroin jese drags body me jate hi karte hai. Ye soft drink jan ke dushman hai.


Soft drink Ke Side Effect





Test me achhchhi lagne wali cold drink

Body ke liye nuksandeh hai.in sab drinks jyada pina sehatke sath khilwad karna hai.

Garmiyo me log isko jyada pine lagte hai lekin isse honewale nuksanat se waqif nahi agar ap bhi jan jayege to nahi piyeng


Jarurat se jyada pinese kyavhota hai.

Cold drinks jarurat se jyada nahi pina chahiye uske nuksanat hai usse vajan badhta hai.or shirf vajan hi nahi badhta kai kism ki bimariyo ka bhi samna karna padhta hai.in cold drinks ya soft drinks mein added sugar hoti hai.jo body ke liye kai tarah se nuksan pohchati hai.


Side effect

Inko pine se diabetes ka Khatra badh jata hai. dil Ki bimariyon ka khatra badhta hai.

Kai research se yah Baat Samne I hai ki sugar se Dil Ki bimariyon ka Khatra badh jata hai.


Vajan ka badhna





Bahut jyada cold drinks Peene se vajan badhta hai. Saude wali drink ke Ek container mein kam se kam.8 chammach

Sugar hoti hai.or inhe pine se or jyada bhuk lagti hai or ye motape ki taraf le jata hai



Danton ko hota hai nuksan





Danton ka bahir ka hissa jise inemal Kahate hain.niksan phuchta hai khash kar bachhoke danton me cavity banne Lagti Hai aur dant sadne aur tutane lagte hain.


Tipe 2 diabetes ka Khatra





Research batata hai Ki cold drinks mein Fructose jyada hota hai. Jyada Fructose Lene se body mein insulin badh sakta hai.

Jiski wajah se type 2 diabetes ya FIR Jin ko Pahle Se diabetes hai. Unke Khatre ko Badha deta hai. Diabetes ko silent killer bimariyon mein se ek mana jata hai Jo Kai Tarah Ki Aur Bhi bimariyon ke Khatre ko badhata hai.


Cancer ka jokham





Kold drink pine ki aadat se cancer ka khatra badh jata hai  cold drink me cola wala colour lane ke liye ceremal colouring 

Ki jati hai.iske liye isme kai Ammonia compound milae Jaate hain.soft drinks banane me ammonium compound sulfits

Or sugar react Karke methylimaidazol banate hai. Research main inhen liver Aur fefadon Ke cancer ka khatra badhata hai.


Soft drink  ki jagah kya piye




Aap chahe to nimbu pani,fresh juice,nariyal pani,ya fir coffee bhi pee sakte hai.coffee pine se reasarch ke mutabik coffee pine se dil ki bimari tipe 2 diabetes, cancer jesi kai bimariyo ka khatra talta hai. 



To dosto soft drinks ko avoid karke apni






sehat ko bachae or esi chije na use kare khae piye jo apki body ko nuksan pohchati hai.aap ke bimar hone se pura ghar pe asar hota hai or hamare apne bhi paresan hote hai hamare kam kaj pe asar padta hai hamri ibadato pe asar padta hai.isliye healthy Khaye or piye or khush rahe isliye to allah ne quraan me kaha hai ki pak or tayyib chije khav or pio ab ijazat chahungi

Post a Comment

2 Comments