Makhane kese bantehai or kya kya fayde hai iske



Makhane kese bante hai.or iske 

benefit


Makhane kese bantehai or kya kya fayde hai iske
Makhane kese bantehai or kya kya fayde hai iske


Ye fox nuts, urile ferox, gorgan nuts,or phool makhane ke nam se jana jata hai.

Jyadatar log makhane khana Pasand karte hai kyon na kare makhane ke fayde hai bhot lekin kya aap jante hai ye bante kese hai kese unhe ikathha karke kai process se gujarne ke baad ye testy makhane ham tak pahuchte hai. Ise ek low calori healthy food bhi mana jata hai.


Jyadatar india me bihar me makhane ugaye jate hai.uske alawah ye japan Rasiya aur Koriya mein ugaya jata hai.

Makhane kamal ke full yani Lotus se nikalte hain.or wahi Phool Hamen makhana deta hai.







Makhane ke bij ko kese taiyyar kiya jata hai
















Makhane ke bijo ko (Lotus seeds) ko ikathha karne ke liye sabse pehle talab me gota lagaya jata hai.ya inhe bans ke jariye bahir nikala jata hai.fir bade bade bartano me ikathha karke lagatar hilate rehte hai.or uspar lagi gandagi ki saf safai karne ke liye  pani se baa baar dhoya jata hai.fir use chatai par sukhaya jata hai.fir use lohe ki kai chhalniyo me size ke mutabik alag alag karke store kiya jata hai.


Phool makhane kese bante hai.





Makhane ke bij jab puri tarah sukh jate hai tab unhe fray karke phool makhane banaye jate hai.isko bananeka kaam itna bhi aasan nahi hai.jitna aap sochh rahe hai.ji ha makhane ke bijo se ek Phool Makhana taiyar karne ke liye ek bandhe huwe time ke andar hi sara process pura karna hota hai.warna inke kharab hone ke chances jyada rehte hai.iske alawah inhe fry karne ke baad ek bans ke container mein store karte time ek khas kapde se dhakkar rakha jata hai.or tapman sahi rakhne ke liye container ke aaspaas gobar ka lep kiya jata hai.



Kuchh time ke baad inhe firse fry kiya jata hai.agar ek baar fry Karte time bij fat gaya to usmese safed makhana bahir nikalta hai.fir inhe lakdike takhto par ikathha kiya jata hai or is kadi mehnat ke baad testy makhane taiyyar hote hai.


Makhane khana sehat ke liye kyo jaruri hai.






Makhane ko ek halke filke sneks ke tor par shamil kiya jata hai joke sukhe mevo me gina jata hai.makhane me calcium antioxidant, protein, carbohydrate, fat mineral phosphorus ke alava Bhi kai vitamin hote hain



Makhane khane se hame nind achhchhi aati hai. Heart attack,diabetes,Tanav,odon ka dard haddiyon ka dard hajme me gadbadi, jhurriyan, kabj kidny me bhot fayda dene wale hai ye makhane in makhano ko breakfast mein Shamil karne se bahut fayde hote hain khash kar khali pet khane se


Banane ka tarika





Ye kirana store oe aasani se mil jate hai.

Ingredients: phool makhane lalmirch powder,kala namak, chat masala,haldi powder


Ek pen me ghee ya tel garam kare lekin ghee me bhot testy  bante hai dhimi aanch par 4 5 minute ke liye kurkura hone tak bhune bich bich me chalate rahe taki jale nahi bhune huwe kamal ke bijo ko ek plet me nikal le or thhanda hone de or usi kadhaime dhimi aanch par sabhi masale bhune dhyan rahe jale nahi fir makhane dal de or achhe se masale chadh jaye to utar le or thhanda hone par aap isko store bhi kar sakte hai or chai ya koffee ke sathh bhi kha sakte hai.iski kheer bhi banti hai.





Agar aap sakahari haito tel ya naryal ke tel me fry kare bahot testy bante hai.isko ese hi alag alag tarikese bana ke kha skte hai sirf ese hi ghee me tale huwe bhi testy lagte hai allah paak ne hamare liye duniya me na jane kesi kesi fayda dene wali chije utari hai subhanallah to kesi lagi ye jankari hamare blogg pe bane rahe ese hi jankariya hasil karne ke liye or makhne apni dite me jarur shamil kare

Post a Comment

0 Comments