Nimbu ke phool
![]() |
Nimbu ke phool |
Nimbu ke phool ki baat karenge jisko citric acid bhi kehte hain aur tartaric acid bhi kehte hain isko lemon salt bhi kehte hai.aur yah nimbu ke phool khatte fruit ke ras se banta hain.isme se koi bhi smell nahi aati aur iska test ekadam khatta hota hai aur likhane mein crystal jaisa dikhta hai aur sugar ki tarah crystal hote hai white jinme vitamin c bahot hota hai.chijo ko long time tak rakhne ke liye aur chijo ko saf karne ke liye use hota hai.aur khane me nimbu na hoto nimbu ki jagah bhi iska istemal hota hai lekin ye nimbu se kai jyada khatta hota hai.aur thhande pani mein aasani se nahin milta aur iski powder foam bhi milti hai aur acchi company ka hi use karen nimbu ke phool
Nimbu ke phool ka istemal
Is nimbu ke phool ki dudh faad kar paneer banane ke liye bhi kam mein laya jata hai aur isase mithaai bhi ban sakti hai kyunki dudh faad kar iski mithaai bhi banai ja sakti hai.aur har halwai isko dudh fadkar paneer banakar iski mithhai banata hai.aur ham bhi gharme paneer bana sakte hai isse aur iske alawah khaman dhokala me aatha laane ke liye iska istemal hota hai. har tarah ki candy aur jelly main is nimbu ke phool ka istemal hota hai.salad aur kai tarah ki chatni me iska use hota hai.aur yeh citric acid preservative ka bhi kam karta hai isliye bahar se aapko kisi chij khariden to uske upar jo labal laga huwa ho who padh len jyada hai to fir who chij na khariden lekin naturally citric acid ke fayde bhi hai
naturally citric acid ek achcha anti accident bhi hai.aur ye citric acid free radical se hone wale nuksan se bachata hai.is ke istemal se achcha anti accident ki vajahse cancer jaisi bimari se dur rakhta hai.Natural citric acid khatte friut se milta hai. Aap nimbu pani irange uske upar ek pinch dal kar le sakte hai.to ab ek sawal ye uthata hai ki natural aur manufacture citric acid kya hai natural citric acid aapki body ke liye bahut hi achcha hai heart ki problem ko bhi dur karta hai.aur ye fruits milta hai.aur ye jo nimbu ke phool hote hai who manufacture hota hai to isko hadse jyada use na kare yahi behtar hoga
Paneer kese banaye nimbu ke phool se
Full fat dudh lele fir ek kanch ke bartan me aadha chamnach nimbu ke phoolele aur iske andar pani dal kar ghol bana le aur dudh le 1 liter aur isko garam karke garam hi dudh me nimbu ke phool ka ghol mila de matlab sirf upar se dal de isko hilana nahi fir kuchh der ke baad hilayenge to dudh fat chuka hoga fir ej barik kaode me dal kar chhan le aur saf pani se dhole paneer ko aur fir us kapde se potli banake aur kychh bhari chij rakhde uske upae puri raat ke liye taki sara pani nikal jaye aur subah aapka paneer taiytar aur nimbu ya sieke se jitni jaldi dudh nahi fatta utni teji se nimbu ke phool se fatjata hai aur bahot hi achha paneer banke taiyyar hota hai ab aap is paneer se chahe mithhai banaye rasgulle rasmalai ya fir paneer ki sabji aapki marji hai.
Kin logo ko nahi lena chahiye
kai logo ko ye suit nahi karta to unko iska istemal nahi karna chahiye kyonki isse unhe pet me jalan hone lagti hai.isliye pehle test karke dekhen ki aapko suit karta hai ya nahi jab ye long time tak body pe rehta hai to body me jalan hoti hai.agar aankho me chala jayeto isko achhe se pani se aankhe dhoye agar danto me candy khane se lag jata hai jiski vajahse danto ka jo inemal hota hai usko nuksan hota hai aur dant pile padne lagte hai.aur danton me cavities aa jaati hai.
Citric acid ke fayde
Citric artistic kidny me hone wali pathri ko todta hai jise stin bhi kehte hai agar agar pathri nahin hai to pathri hone se bhi rokata hai. Allah na kare kisi ko bhi pathri hai to who log jitna ho sake citric acid wale chijon ka istemal karen aur khatte fal blueberry orange ka juice nartal pani me nimbu dalkar piye aur chhash yani butter milk bhi jyada piye jiski vajah se fayda hoga aur agar pet me ges rehta hai pet fulahuwa bada haito rojana subha ek glass garm gungune pani me ek nimbu dalkar piye ye problem khatam aur kabj bhi nahi hogi aur hamare skin ke upar ki layer pe bhi behtarin kam karta hai ye citric acid hamari skin ke upar ki jo layer hoti hai usmein jo dead skin hoti hai to usko yeh hatakar saaf karta hai aur skin mein jitne bhi mal gandgi hai usko saaf karta hai jiski vajah se skin ekadam chikni aur shiny ho jaati hai.me aksar nimbu ke chhilke jo ham nimbu kuchh chijo me dalte hai ya sharbat banate hai to me un chhilko ko fekti nahi unko sukhakar powder banakar face whash me use karti hu ya fir chhilko ko chehre pe ya aur kahi jalne katne ke daag hai uspe ghisti hu to daag chale jate hai.to disto achhi lagi jankari aapko jarur bataiyega....
2 Comments
Nice tips
ReplyDeleteGood
ReplyDelete