Kya khate haito baal dubara ugne lagte hai
![]() |
Kya khate haito baal dubara ugne lagte hai |
Aaj kal ki lifestyle aisi ho gayi hai jiski vajah se hamari puri body ko bahut nuksan hota hai.aur sathh hi balin ko aajkal ka food jank food sab jtada pasand karte hai pizza burger aur green sabjiya nahi khani hai.chhote chhote bachho ko to bilkul nahi khana jhank food dedo to shokh se khate hai aur bade bhi na exercise karte hain nahi achha food lete hai bas bhag daud karte hai lekin apna khayal nahi rakhte jiske asrat bhi galat hote hai balon ka jhadna ganjpan wakt se pehle safed hote bal ganj pan to female ke mukable male ko jyada hota hai.jiski vajha se self confidence kho dete hain.aur kai log to depression aur anxiety me chale jate hai to aaj ham yahi baat karenge ki kya khane se ganje sar par baal firse ugne lagenge aur jinke baal hai who aur bhi achhe ho jayenge healthy or smooth aur majbut honge aayiye jante hai.
Ganje sar par bal ugaye
Bal jhadna aajkal bahut hi aam ho gaya hai Iski vajah se ganjpan aana bhi khash kar mardome aur is ganjepan se chehre pe bhi asar padhta hai isliye self confidence bhi nahi rehta ganjepan ki vajah se kai log hain jo hair transplant karate hain jo har ek ke liye thhik nahi rehti aur baqi ki treatment me bhi sab ko success nahin milati isliye aap aapke khane me protin wala khana le esa khana jisme protin bahot ho so rojana aapke khane mein aap protein loge to bhi aapke bal ugane mein help milegi aur aapke baal ghane majbut banege
Balon ko dubara ugata hai protin
Bal carotene se bante hain jo ek protin hi hota hai. Jab Bhi depression ya balon mein chemical ka use ya fir aur koi tarah ke balon ka jo nuksan hota hai jo chijon se chemical wali balon ko blow dry karna hain kai log bal sukhane ke liye hair dry macine ka istemal karte hai.jisee protein khatm hone lagta hai.protin se bane hair ko nuksan hota hai.aur badhti umar ke sath sath bal kamjor hona aur protin ki kami baal jhadna yeh naturaly hai. to agar ham khane mein protein lete hain to bal fir se banne lagte hain aur who bhi acche kale ghane aur lambe ab protin hame milega kin chijo se
Anda
Protein aur biotin balon ke liye bahut jaruri hai aur anda ande mein yahi do chijen hoti hai.bal jyadatar isse hi bane hote 95% Bal protein aur biotin se hi bane hote hain to keratin se bal bane hote hain aur keratin ko banane ke liye biotin ki jarurat padati hai.aur ye aapko ando sr milege aap andon ko roj do ande ubal kar khayenge to fark dikhega baalon me ando me aur bhi bahut nutrients hote hain jo balon ke liye jaruri hai jaise jink aur selenium isliye rojana ando ki apne food ka hissa banaye
Bins ya falya aur nuts aur bij
Balon ke vikas ke liye bins khana bahut jaruri hai kyunki bins mein bahut jyada source protein ka hota hai.Jaise Si food mein se hamen zink milta hai vaise hi protein zinc iron folic acid milta hai jo balon ke liye bahut jaruri hai aur yah bins itne mahenge bhi nahin hote nuts aur bins me omega 3,6 acid hote hain ssp akhrot anjeer aur badam jarur khaye kaddu ke bij sunflower ke bich vitamin se bharpur hote hain to aapko yah jarur khana chahie anjeer mein iron bahut jyada hota hai jo balom ke liye bahut achha hai.
Meat yani gost
Kai ese log hai jo nonvag ko bahot hi shokh se khate hai me bhi unmese ek hu lekin kuchh logo nahi pasand hota meat me gost me bahot jyada protin hota hai.to aap meat nahi khate to dairy product paneer makhan ghee zaroor len sakte hain jisse bal aapke majbut aur ghane aur chamakdar honge
Palak
Vaise to sabhi hari pattedar sabjiyan achhi balon ke liye lekin jisme iron folicacid jyada hota hai who he palak aur isme viramin a,c bita keratin bhi hota hai aur iron balon ko ghana aur majbut banata hai aur girne se rokata hai asp palak ko salad ke tor pe len to jyada behtar rahega aur aap jo bhi diet ya koi bhi kaam shuru kare to usko lagatar kare usko egular agar palak khaye nuts dale bins bij sabjiya dairy product len to ye sab thoda thoda rojana len tabhi aspko balon me fayda dikhega
Kadi patta mittha neem
Kadi patte mein protein vitamin bita keratinsath isme antioxidant hote hain aap is kadi patte ko khane se bahot se fayde to hote hai lekin balon ke liye to behtarin hai. main aapko khud apna experience batati hun mujhe kuchh salon se bahut sardi bhi thi allergy ki mitti se bhi sans nahi le pati samjho ki pura pura saalhi sardi rehti thi bal bhi bahut jyada jhadte the ekadam patale ho gaye the bahut tension hoti thi ab main kya karun to fir mujhe kadi patte ke bare mein pata chala aur maine bahot sarch kiya iske faydo ke bareme padha suna fie mene usko khana shuru kiya aur allah ka shukr hai aaj mere bal nahin utarte main kadi patte ko apne ghar mein hi rakhti hu aur rojana subah aur sham ko takriban 30 pattiyan lekar chabakar khakar pani pi leti hu to uska mujhe bahut hi fayda hai sardi to jese gayab aur bal bhi utarna bandh ho gaye hai.aap bhi try kare bahot hi achha result hai chahe to roj aap chhasme in kadipatte ko daal kar graind karke bhi pi sakte ho lekin roz karna hai
aawla bhringraj kale til
Aawla me vitamin c hota hai iron antioxidant calcium potassium hota hai.aswle ko rojana jhali pet lene se iske bahut fayde hai
Bhringraj main anti bacterial hota hai.aur vitamin e,d bhi hota hai.Calcium magnesium bhi hota hai.iske khane se jo baal white ho gaye hai unko kala kar dega aur kale rakhega jo baal kale hai balon ko majbut aur ghana banata hai.
Kale Til me omega 3,aur 6 hota hai jo balo ko badhata hai aur collagen ko banata hai aur balo ko andruni hydrate rakhta hai. jiski vajah se blood circulation maintain rakhta hai aur white gair ki problem bhi nahin hoti kale til ke aur bhi bahot fayde hai to intino ko ek jitna lekar mixi me pis kar ek bottel me bhar kar rakhlen aur subha sham ek chammach le liya kare in sha allah fayda hoga in chijo se bhi baal safed nahi honge
Aap kya khate ho who bahot mani rakhta hai aur kab khate ho jab bhi bhuk lage khaliya kare esa nahi ke abhi khate hai abhi khate hai me bhukh hi mar jaye oile kam khana hai tikhi tali masaledar khana na khaye aur nuts zaroor len rozana dudh me badam aur alsi ka powder mix karke piye kadi patta aawla aue bhrigraj ghee bhi aspko rozana khana hai gay cow ghee zaroor lena hai rozana vyayam karna hai khub pani pin\ hai fir dekhe kese nahi aate baal zaroor ayenge aur whit hair bhi gayab honge ek baar ye routine aazma ke to dekhiae aapko in sha alkah fayda hoga..
0 Comments