Kadve neem ka istemal kese kare
![]() |
Kadve neem ka istemal kese kare |
Neem jo bahot kadva hota hai aapne apne aaspaas iski thandi chhanv ko mahsus bhi kiya hoga lekin kya aap jante hain ki iska ham gharelu kaise istemal kar sakte hain aaj main aapko yahi batane wali hun ki neem ka aap gharelu nuskha mein kaise istemal kar sakte hain aur yah neem ke anginat fayde hai lekin me aap se kuchh fayde shar karungi jo aapko aapki rozmarra ki life me kam lagenge in sha allah aayiye jante hai.
Neem ki pattiyo ka istemal
Neem wese to india ka hai lekin india ke aaspaas bhi dekhne ko mil jata hai.Bahut hi aasani se aapko kahin bhi mil jata hai aur iski jo ayurvedic quality hai who bahut hi kam aati hai.neem ki tasir thandi hai aur antibacterial hai.Neem ke patte bacteria ko khatm kar dete hain isliye isko log kapdon mein bhi rakhte hain aur anaaj mein bhi rakhte hain.Neem ka jo ped hota hai uski jo jhade hoti hai aur pattiyan aur uske Jo Bij hote hain yah sab ek medicinally properties hoti hai. Abhi bhi kitne hi iski daliyon se brush ka kaam lete hai jisse dant bahot majbut aur white hote hai.Agar aap bhi iska use karoge to dant aapke jaldi tutenge nahin.Aur neem ki jhade pattiyan aur uske bij hote hai usse dawai bhi banti hai.
Jyadatar log iski kadvahat ki vajah se neem ko kam pasand karte hain. Khali pet Neem ke sath Aaj pattiyan khane se immunity power badhta hai aur kahin bimariyon se chhutkara milta hai jin logon ko chehre per kil muhase hai to who log zaroor neem ki pattiyan chaba kar khae kyunki neem ki pattiyon se khoon saaf hota hai. Name fungus or virus se ladta hai aur bacteria ko khatm karta hai isliye agar body mein bhi kahin ghav hai ya fode funsi hai jo theek nahin ho raha hai neem ki pattiyon ko piskar vahan iska lep lagaen Inshallah aapko zaroor fark padega neem body ke har ek hisse ke liye faydemand hai kyunki agar pet mein kide hain to usko bhi yah khatm karega aur kidney ko saaf karega sgar kisi ko bhookh nahin lagti to who bhi neem ki pattiyan khaye neem ek aisi cheez hai jo khoon mein se sugar ko kam karta hai.Agar kisi ko ulcer hai pet mein to usko bhi theek karta hai aur hazme ko sudharta hai. Aur agar munh ki koi problem hai dant ki koi bhi problem hai to aap iski tehni se brush kijiye In sha allah zaroor fark padega
Ek research ke mutabik neem ka jo ark hai usko danton per ragadane se 7 din tak ragadane se danto pe jo pilahat jam jati hai dur ho jata hai.agar ark nahi milta to nimki pattiyo ko hi chaba sakte hai. Agar Neem ki pattiyan se chabakar nahin kha sakte neem ki pattiyan se chabakar nahin kha sakte to fir iski chatni banakar uske liye 20 neem ki pattiyan le len 7 kokam len namak jira gud 4 chammach nimki pattiyon ko acche se dho kar aur ine Sab Ko mixi mein pis len aur fir roz ek chammach subah khali pet khae Inshallah iska fark aapko zarur dikhega aur subhash beem ki pattiyan basi munh chabakar khane se khoon saaf hoga aur skin bhi shine karti hai aur use koi kil muhase bhi nahin honge
Garmiyome jo ghamoriya nikalti hai Neem ke patton ko lekar pani mein ubal kar is se nahae to isase aapki body mein thandak mahsus hogi aur ghamoriyan bhag jayegi garmiyon mein isse nahana hi chahie har tarah ke toxin neem bahar nikalta hai.Neem sar ne jo dandruff hota hai usko bhi dur karta hai uske liye aapko karna yah hoga ki neem ki kuchh pattiyan le le aur usko pani mein acche se ubale aur jab oani green color ka ho jaaye to fir usko chhankar aur thanda hone per usse sar dho len dandruff aapka chala jaega kyunki neem anti fungal bhi hai fungal infection ko dur karta hai.aur agar isi pani se aap chehra dhote hai chehre ki bhi har problem ka solution hai is pani mein neem natural toner bhi is uble huwe pani me aap roj water dalkar spry bottal mein bhar le aur rozana isase chehre ko saaf karen aapki skin per kabhi kill muhase bhi nahin honge
aur skin ekadam saaf ho jayegi daag dhabbe bhi nahi honge honge who bhi chale jaenge In sha allah neem ki pattiyon ko pis kar besan aur haldi dalkar bhi laga sakte hai chehre pe ye ek behtreen face pack banega aapka skin ki har problem tani aapke pure body me kahi bhi problem hongi in sha allah dur hogi beem ke andar jo triglyceride aur antioxidant aur anti accident hote hain vitamin e naturaly anti aging ka kam karta hai.Agar aap fine lines rinkles se pareshan hai to neem ki taaja pattiya piskar usmein thoda shehad milakar aur chehre per laga sukh jaane per dho len ab me aur kya batau neem ke to itne fayde hai ki alfaj bhi kam padte hai iske bare me likhte likhte.....
0 Comments