Coffee Pine ka kuchh nuksan bhi hai?
Apne title dekh kar samajh hi gaye honge
Ki aaj ham kis topic per baat karne wale hain.COFFEE ye name sun ke badi achhi feeling aati hai jyadatar log ise pasand bhi karte hain jo chai nahin peete honge who coffee to jarur pite honge coffee bhi chai ki tarah bahot log pite hai aur is coffee meBe caffein hota hai uske pine ki vajah se hi ham body mein energy feel karte hain aur kam karne ko dil karta hai aur lazyness chali jaati hai.caffein hamare body me jata hai coffee ke jariye aur asar dikhne lagta hai. Isliye Jab lambe time tak log koi chij mein involve hote hain kam karna hota hai to fir coffee ya chai pi ke khud ko active rakhte hain.
Coffee ki banawat kese hoti hai.
Coffee aise banti hai coffee bean se aur coffee beans kahan se aate hain coffee beans ek paudhe se aate hain jiska khubsurat pyara naam hai.coffeeya arabica chhote chhote ber jaise hote hain beri ke berry ka ped aapane dekha hoga use per jo ber lagte hain uske jaise hoti hai coffee ke paudhe per beans cherry jaise
ab kya hota hai ki jo coffee ki factory main jo kam karne wale jo workers hote hain. Vah ine chhoti chhoti coffee beans ko ped per se todkar factory mein le jaate hain aur fir factory mein le jakar iska process chalu hota hai isko acche se dhote hain yah log badi badi machinon mein dalkar aur fir uske bad Iske jo beri ke jo upar ka hissa hota hain who nikal kar alag karte hain aur andar ki jo beans hote hain usko kehte hai coffee beans us se hi coffee banti hai who alag karte hain aur fir isko sukha dete hain
fir sukhne ke bad isko Ek machine mein dalte hain Jiske vajah se jo beans ke upar ke jo chhilke hote hain who nikale jaate hain fir is coffee ko rost kiya jata hai aur fir uske bad packaging ke liye bhej diya jata hai yah ban gaye aapki coffee ab jante hain ki Iske fayde kya hai aur Iske nuksan sabse pahle ham coffee ke nuksan kya hai who jan lete hain.
Coffee ke fayde
Coffee ke fayde mein to sabse pahla fayda to hamare skin ke liye hai ham log coffee ka bahut jyada istemal krte face pack banane ke liye scrub banane ke liye main to karti hun is tarah karne se skin bahut acchi ho jaati hai ekadam baby soft kuchh nahin milta to main sirf coffee aur uske andar aadha nimbu aur sugar milakar chehre aur hathon per scrub kar leti hun usse bhi skin bahut acchi ho jaati hai to aap bhi try karen ek alag hi tarah ka glow aur shining aati hai.aur bhi Iske bahut se face pack bante hain jismein use hota hai aur beauty products maybe coffee ka use karte hain ab to coffee ka sabun bhi banta hai maine bhi banaya tha ek bar to coffee to hamari bahari skin ke liye bhi Itni hi faydemand hai.Coffee antioxidant se bhari padi hoti hai aur vahi hamari body ko fayda dete hain
Ek coffee face mask bhi ho jaaye
Coffee le ek chammach uske andar Doodh ka powder Aadha chammach Aadha Nimbu Agar aapko Nimbu nahin dalna hai to aap tomato ka juice bhi dal sakte hain vah bhi Aadha chammach aur ine Sab Ko acche se mix kijiye aur thoda sa gelatin powder le aur roj water ko halka sa garm karke gelatin powder ko roj water ke andar daal de aur fir acche se mix karke aur yah jo humne coffee ka jo pest banaya hai dudh powder aur tomato ka juice ya nimbu aur in dab ko acche se mix karen mix karna bahut jaruri hai acche se mix hoga to chehre per bhi acche se lagega aadha ghanta sukhne ke bad usko nikal de aur fir skin dekhe kitni smooth aur chamkdar ho jayegi agar aapko shadi me jana ho ya instant glow chahie to ye mask try kijiye
Coffee ko Peene se andruni bhi bahut se fayde hote hain isse lever bhi bahut achcha rehta hai cancer jaisi bimariyon ko bhi dur rakhti hai coffee aur alzheimer mein bhi fayda deti hai expert mante hain jin logon ko cholesterol ki problem rahti hai vah log filter coffee Piye to jyada achcha rahega aur coffee se blood pressure bhi badhta hai jin logon ka blood pressure kam rehta hai who log coffee jarur pee sakte hain lekin jin logon ka blood pressure high rahata hai un logon ko nahin pini chahie.Dekhiae sabki body ki bnavat alag alag tarah ki hoti hai kisi ko coffee suit kar jaati hai aur kisi ko nahin karti
Aur aaj ki Itni fast life mein ham coffee peete hain to ismein jo caffein hai usse bahut rahat milati hai yah jo caffein hai who sar se lekar pair tak energy deti hai jo log activity karte hain running karte hain cycle chalate hain un logon ke liye to coffee bahut jaruri hai coffee peene se banda active ho jata hai usko energy mil jaati hai. Aur kam Mein Dhyan lagta hai aur ek maje Ki Baat Bataun ki coffee Peene se ya Daag bhi Bharti hai lekin vah coffee sugar aur dudh ke bagair honi chahieEk cup coffee mein jitna caffeine hota hai who to hamari body mein jana hi chahie rojana rojana basis pe ham insanon ki body mein rojana ki basis pe 400 ml caffein to lena hi chahie
jin logon ke bhi diabetes hai who logon ko black coffee leni chahie black coffee se kya hota hai ki diabetes sahi rahata hai jinka badhta hai unka bhi aur jinka kam hota hai unka bhi maintain rahata hai jo log bahut thak jaate hain jaise ki thoda chalte hain aur thak jaate hain ya fir kuchh kam jarte jarte thak jaate hain unhen to black coffee din me e1 ya 2 cup leni hi chahie Iske bahut fayde hmhain jin logon ko heart ki taklif hai unhen bhi coffee pini chahie unke liye bhi coffee best hai.Coffee peene ke nuksan To Nahin hai fayde hi fayde hain aur nuksan to yah hai ki jab aap etedal se hatoge matlab ki koi chij jitni leni chahie utani hi leni chahie agar aapane usse badhkar ya jyada lito fir nuksan to karegina to haina coffee ke beshumaar fayde to chaliye aaj se hi coffee pina shuru kijiye chaliye chaliye jaldi kijiye lekin Yad Rahe black coffee hi aapke liye faydemand hai dudh ya sugar wali coffee Itni fayda nahin deti to chaliye aapko meri post kaise lagi mujhe jarur bataiyega Allah Hafiz......
2 Comments
Thnx
ReplyDeleteNice
ReplyDelete