Non stick kya isme khana banana safe hai
![]() |
Non stick kya isme khana banana safe hai |
Hallo dosto aaj ham baat karenge non stick cookware ke bareme ki inme khana banana safe hai inme koi kami hai ya nahi khane se koi problem to nahi hoti in sab ke bare me jyadatar log nonstic bartano me khana banate hai aajkal ki bhaagdaud bhari jindagi mein hamara aur hamare apnon ka khyal rakhna thoda mushkil hai.lekin aapko tention lene ki jarurat nahi hai kyoki me har din post ke jariye aapki problem solve karne ke liye hajir hu fit rehne ki chahat mein aajkal ham who har chij apna rahe hain jisse body ko thoda bahut bhi fayda hota hai jogging walking exercise
Aaiye baat kare nonstic cookware ham non stic bartano me khana banate
taki khana jaldi pake or oil kam use ho taki aspki body me bhi kam jaye aur aap agar zero oil cooking wala khana khate ho to ye to aapke liye bahot hi behtar hai.aur oil me hota hai.Triglyceride aur who ham khana me nahi chahte rriglyceridw apne body me ja karke cholesterol ko badhata hai aur blockage banata hai.isliye ziro oil cooking wala khana khana chahiye aur jab khane mein oil use nahin hoga to har waqt ek dar laga rahata hai ki khana chipak jaega isliye non stick bartan ka use karte hain oil kam use ho
Non stic bartan ke faydey kya hai
non stick bartan mein koi chij chipak ke nahin hai.Non stick bartan dhone mein bhi aasan rahte hain jaldi saaf ho jaate hai.ab is bartan me kyo nahi chipkti kyonki isme yah jo bartan non stick jo bhi metal ka banta hai usmein teflon ki coating hoti hai. aur yah teflon banta hai.kis chij se ye ek poly tetra fluoro ethylene karke chemical hota hai.jiska name hai PTFE Karbonn or flooring milke ye chemical banta hai. Aur iski coating banti hai non stick ke bartan mein ab iski thickness kitni hoti hai. India mein government ne issu kiya huwa hai ki iski thickness 20 micron se kam nahin honi chahie 1000 micron hoga tab jakar mili litre mein aaegi to aap ye samajh lijiye ki ek mili litre se bhi kam uski chaudai hoti hai.
Ab teflon ko lekar bahut se doubt hai.
ki is chemical se cancer to nahin hota hai. To iske upar ek research kiya gaya tha 2000 2001 mein aur us research mein yah paya gaya ki Iske andar ek aisi chemical hai. Cancer producing hai.jiska name hai PFOA-PER FLUORO OCTANOIC ACID jo teflon mein hota tha.aur ye cancer producing hota hai.to is ke upar bahot sari pabandi lagi aur ultimately 2013 me ye declare ho gaya ki koi bhi teflon mein yah octanoic acid hona nahin chahie sabse reflon ko ham healthy kehne lag gaye kyunki isase koi nuksan nahin hota aur yah bhi dekha gaya hai ki teflon ke pieces ko kha bhi liya jaaye to koi nuksan nahin hai
To isliye doston andhvishwas se dur rahe
vese bhi pehle lakadi khana banta tha fir gas aaya to bolne lage the log ki gas se to cancer hota hai ab gar ghar mein gas hai aur gas per hi khana banta hai.Ab gas comfortable ho gaya aur kabhi kabhi to bolate hain ji microwave bhi cancer hota hai.ab who bhi use ho raha hai.to jitne munh hote hain utani baten hoti hai Kisi bhi chij per andhvishwas nahin kar lena chahie aapko jaanch karni chahie uske bad hi yakin karna chahie microwave bartan healthy hai aur isko aap be dhadak use kar sakte ho
Non stic precaution
1. Sidha aanchj pe garam na karen 2060 degree se upar temperature chala gaya to non stick ka jo coating jai teflon nikalne lagta hai.kabhi bhi khali kadhai ya pen direct flam pe na rakhen
2. Good quality kharide hajar ek rupaye ki hoti hai. Badi acchi company ki hota hai.is ke achhe se pani aur sabun se dhoye achge se
3. Agar aapko lage ki upar ka jo coating hai thoda sa bhi nikal gaya to bartan Ko badal de dekhiye ab isme koi nuksan to dikhta nahi hai fir bhi log kehte hai.ki ham use nahi karenge to kyavkya option hai
Non stic me option
Option hai hamare pass aajkal stainless steel ke non stick aa gai hai. ceramic aa gai hai.cast iron ki aa gai hai ston ki aur Silicon ki bhi a gai hai.ye thode mehnge hote hai.lekin use kar sakte hai. Agar acchi quality ka non stick pan hai aur aapko use karna aata hai to yah kabhi bhi aapko nuksan nahin dega aap nonstic ki koi bhi variety use kar sakte hain.in sha allah bismillah bolke kuchh bhi problem nahi hogi chaliye fir milte hai agli post pe
0 Comments