![]() |
Juo se aur likho chhutkara kese paye |
Aaj ham discus karte hai juo ke bare me jise lice bhi kehte hai jo har maa ki problem hai me aaj aapko sir se jue our uske ande likhe kese bhagate hai kya tarike apnane hai sab kuchh milega aapko aajki post me in sha allah juon ko bhagane ka proper tarika chhote chhote bachhe bhi aa jata hai iski giraft me aur bechare paresan ho jate hai maa paresan bachhe paresan ab ek bacche bahir dusre bacho se khelta hai ya school se le kar aata hai apne sar mein to fir dhire dhire puri family member ke sar mein jue ho jaati hai.fir pata laga ke sar mein likhe ho gai who juei vahan ande deti hai aur fir likhe bhi banne lagti hai.Balon per who ande chipak jaate hain jise likhe kahate hain aaj me aapko desi nuskhe batane ja rahi hu agar aap ye nuskhe aajmayenge to jue jarur nikal jayegi yah nuskhe har koi use kar sakta hai bacche bade budhe
ab hota kya hai ki bajar mein jo jue marne ki dawai mil rahi hai usse jue marti hai iska matlab yah hai ki un davaiyon mein kahin na kahin aise chemical hai jo kitnasak hai aur juon ko maarte hain jo aapke bacche ki sar ko unke balon ko aankhon ko nuskan de sakti hai.kyon na ham kyi na kuchh ese Idea apnaye jo hame ghar se hi mill jaye jis se jue bhi bhag jaye aur camical se bhi chhutkara mill jaye aur sir bhi saf ho jata hai.
Jue kha se aati hai?
Ye ek parasite hai jo insani body me hi peda hoti hai. Vaise to yah balon Mein Hi Paye Jaate hain lekin Kabhi kbar pasine ki vajah se gande kapde ki vajah se ye aur jagaho par bhi hone lagti hai.yeh jue Insan ka khoon pikar hi badi hoti hai.in juo ki life cycle 30 dinon ki hi hoti hai.mada jue hoti hai who sir me takriban 90 ande deeti hai.
jinhe likh kehte hai. Jo takriban 7 Dinon ke andar juo mein tabdil ho jaate hain 10 se 12 dino ke andar ye ek adult ju ban jaati hai.Iske bad fir se 30 dinon mein yah fir se 90 ande de deti hai is tarah ka life cycle chalta hai.
Jue kyo ho jati hai iske kai reason hai
Ye fungal infection ya personal hygien ka khyal na rakhna gandgi mein rehna ya Kisi aise insan ke touch mein aana jiske sar mein juen hain.unke takiya istemal karna unka bistar istemal karna unke kapde istemal karna unki kanghi istemal karna unke sath ghulna milana isliye aamtaur per yah sari chijen baccha mein jyada hoti hai isliye unke sar mein jue jaldi aa jaati hai. school growing age 8 sal se lekar 16 sal ki age tak bacche bacchon ke sath kafi milte ghulte hain.badon mein bhi ho sakti hai.
Sir me jue hai iske simptoms kya hai
iske man symptoms hai khujali kyunki jo hai apne munh se insani khopadi mein chhed karke khoon chusti hai.insano ke khoon par hi who palti hai.unka gujara hota hai.common symptom hai khujli jab ye chhed karti hai.Jue apne munh se ek aisa rasayan chhodati hai badbudar jiski vajah se Jab yah chhed karti hai to dard ka ehsas nahi hota aur halki si khujli hone lagti hai.Jab aap balo ko najdeek se gaur se dekhte ho to jue rengti hui najar aati hai aur ande Iske balon mein chipke hue hote hain jai bar sar mein kuchh rengne ka ehsas bhi hota hai.
jue hona koi bimari nahin hai bus personal hygien ka khyal rakhna chahie acche se sar dhote rehna chahie sar ki saaf safai rakhni chahie agar sar me jue hui matlab saf safai me kahi na kahi kami hui hai juo ke ande dandruff ki tarah dikhte hain dandruff aur juo ke mein fark kaise karen dandruff jo hota haiwho balon mein chipakta nahin hai aur juen jo ande deti hai to sath sath hi kuchh aisa rasayan bhi chhodti hai jiski vajah se yah ande balon mein chipak jaate hain
Juo se bachav kese kare
Personal hygiene ka dhyan rakhen saaf safai ja dhyan rakhen roj nahaye aur underarms ke bal ko badhane na de vahan ki saf safai rakhen aur saaf dhule hue kapde pahne hafte mein do se teen bar balon ko dhoae jinke sar main jue hai aise logon se dur rahe aone bachho ka sar roj check karte rahe aur sar saf rakhe to in sha allah kabhi jue nahi hogi
Gharelu nusko se jue bhagaye
1.Neem ke patte
neem ke taje patte 100.gram usko 300 gram pani me ubal le jab acchi tarah ubal jaaye pani khol jaaye aur neem ke sare gun pani mein aa jaaye jab aadha pani reh jaaye to is pani ko chhan kar rakh le Kisi spry wali botal nein bhar len jab vo thanda ho haaye to aapane use pani ko bachhe ke ya bade ke pure sar mein lagakar acche se masaj karna hai usko puri raat ke liye chhod de bus yah roj karna shuru kar de jue tikegi nahin neem ki pattiyo ko barik pis kar iske pest ko sar me lagale isse bhi juo ka khatma hota hai ya fir neem ka pyor tel le le use sar me lagane se bhi jue mar jati hai.neem ke oil ko halka garan karke sar me puri raat ke liye chhod de fir subha sar dholen
2.Pyaz ka ras
Pyaz ko mixi me chala ke aur fir uska juice acche patle mal mal ke kapde se nikal le aur usko acche se juo wale sar mein massag karen fir tin ghante ke bad sar ko wash karle pyaz ki smell se bhi jue bhagegi
Ismein koi chemical nahin aap isko roj kar sakte hain sar ekdam neet and clean ho jayega
3.Tea tree oil
Yah antiseptic hai 5 se 6 bund tea tree oil lena hai.3 chammach coconut oil le kar dono ko mix kar ke sar me massag karni hai fir sawar cap pahan leni hai do ghante ke baad juo ki special chhoti si kangi aati hai usse balo se jue nikal kar sar dhole nikal jayegi jue
4.kalonji honey aur vinegar
Kalongi do chammach do chammach honey do chammach citric free vinegar vinegar white vinegar nahi jo ham khane me dalte hai who nahi dalna fruit ka sirkadalna hai citric free kalongi ko barik pis le aur fir tino chijo ko achhe se mix karke pure piskar ki scalp me lagale aur savar cap pehenle fir 2 ya 3 ghante ke baad hair wash karle in sha allah fark padega
Ye nuskhe se bhi balon ko chhod degi jue aur baal lambe ghane shiny aur ek ek bal alag ho jayega jarur aajmaye
5.Shampoo oil
Shampoo me medicare shampoo hai.oil bhi milta hai aap chahe to dono use kar sakte usse bhi jo hai mar jaati hai is shampoo karne ke bad aapko jue wali kangi karni padati hai jisse mari hui Jue bahir aa jaati hai kanghi aapko Amazon Se mil jayegi takriban 300 ki
lekin is kanghi ke bhi result bahut acche hain
7.Lehsun aur nimbu ka paste
Lehsunki 10 ya 12 kali le kar pis le aur ek bade nimbu ka ras mila le fir achhe se mix karke sar me scalp me lagale ye pest jue ko sans lene se rokta hai aur juo ka khatma karta hai.kapoor aur nimbu ka ras mix karke lagane se bhi juo ka khatma hota hai agar post pasand aai hai to comment jarur kare apni duaao me yaad rakhiyega....
1 Comments
Nice
ReplyDelete