Boiler chicken ki kaleji yani liver kitna khatarnak
![]() |
Boiler chicken ki kaleji yani liver kitna khatarnak |
Doston aaj kal chikan to har gharme khate hai sabki favrit hai.chikan tanduri chikan kabab chikan lolipop jesi kai tarah ki variety banti hai chicken se aur log bana bana kar khate bhi hai.par kya aapko pata hai chikan ka jo liver hota hai uski kaleji hai who kya hamare liye fayda pahunchane wali hai ya nuksan murgi agar koi bhi khana leti hai usmein aise chije shamil ho
jo toxin affected ho yani jehrile asrat ho to boiler chicken ke kaleji un jahrile asrat ko apne andar hama kar leti hai.
Murgi ka jo khana hai usne bahot si chije hai usne ek chij aasenic bhi milaya jata hai.aasenic ko thodi si mikdar joki heavy metal hoti hai.jo ki panabolic hoti hai. Jiski vajah se murgi teji se badi ho jaati hai. ab Iske jo toxic asaraat hai chicken ke kaleji absorb kar leti hai dusra yah hota hai ki aap kahin boiler chicken kharidne jaaye to wahan hota yah hai ki boiler chicken ki jo kaleji hai badi dekhne mein moti taji lagti hai. Badi sehatmand dikhai seti hai.Lekin asal mein who sehatmand nahi hoti who suji hui hoti hai swel hoti hai.ab who suj kyo jati hai.agat boiler murgi ka hepatitis ho jaaye ye bimari insanon ko bhi hoti hai aur murgiyon ko bhi hoti hai.
Murgiyon ko ek bimari haoti hai jise big liver disease kehte hai.To uske natije mein murgi ka liver full jata hai.suj jati hai jise ham galti se sehatmand samajh lete hai.aur agar is bimari se nipatne ke liye murgiyon ko heavy dose diya jate hai. Antibiotic ke who bhi is kaleji me deposit ho jate hai.is boiler murgi ko mausam ki shiddat se bachane ke liye jese sakht sardi ya sakht garmi se bachane ke liye farm gate se nikaalne se pehle heavy dose antibiotic ki pila di jaati hai.Aur Inko vahi antibiotic pilai jaati hai jo ham aam Insan consume karte hain.Yani hamari antibiotic bhi vahi hoti hai aur murgiyon ki bhi vahi hoti hai.Shakib farm gate se murgi hum tak pahunche jab safar ke time mosam ki sardi ya garmi in par asar na kare aur raste me kahi mar na jaye isliye pilate hai
Ab us antibiotic ka nuksan yah hota hai ki antibiotic ke aasraat murgi ke kaleji mein deposit ho jaate hain.Jab ham kisi bimari ka shikar honge aur ham antibiotic lene jaenge to antibiotic ka asar ham per hoga hi nahin kyunki humne bila vajah murgi ki surat me aur uski kaleji ki surat me khud hi khali hogi antibiotic aur humne uska course bhi pura nahin kiya hoga jab hame 250 mg ki anti biotech se aaram aa jata tha aur ab 500 mg ki bhi asar nahi karti
Ab hame 1000 mg ki anti biotic pe jana padta hai.To uske piche wajah bhi yahi murgi aur uski kaleji hoti hai.
Kaleji istemal kaha kaha hoti hai ?
Hamare gharon mein jo khana banta hai chahe pulav banane chahe salan bana le ya koi bhi dish banaa rahe hain nadani mein ham yah kaleji murgi ka hissa samajh kar ham sath hi oaka rahe hote hain aur kha rahe hote hai.Jabki yah kaleji un jehrile asrat ka jatha hai. Jo chahe antibiotic Ki surat mein aa raha hai ya uski khurak ki surat mein aa raha hai ya uski bimariyon ki surat mein a raha hai sab kuchh isi kaleji mein jama huwa hota hai jo ham nadani me khate hai
Gaur kijiye
Ki ye jo restaurant hote hain jahan par murgiya supply hoti hai.wahan par who bagair kaleji ke hi gost mangte hain.pota aur kaleji side per nikalwa dete hain.Jo ki alag se bikata hai. Agar ham barbe que ki shop pe chale jaye to waha aapko alag se kaleji fry milegi to who log jo shaukh se kaleji ke tikke kha lete hain ya fry kaleji kha lete hain.unko meri darkhast hai ki meherbani karke ye na khaya kijiye is kaleji mein aise bahut se toxin hote hain jo aapki sehat ko kharab kar sakte hain.
Jab bhi boilar murgi kharide
To pahle koshish yah karen ki chicken shop se gosht na banvaen jinda murgi lele
Aur 5 ya 6 dinn lakar apne ghar pe rakhkar
dana pani de fir jab uska antibiotic ka period pura ho jaaye fir jabah kara ke khai jaye to aap jab uske nuksan deh asrat se bach sakte hain.Lekin agar aapko jaldi hai aap itne din afford nahin kar sakte to mherbani karke kam se kam uske kaleji na khayen kaleji aapko nuksan pahunchaegi aur aapko aam antibiotic se aaram nahin milega meherbani karke in baton ka khyal rakhen aur is kaleji se dur rahe aur apni sehat ka khyal rakhe
Aur ek baat jan lijiye ki jyadatar poetry farm wale antibiotic nahin dete jo acche hote hain who nahin dete aur kuchh log dete hain usul to yahi kehte hain ki ham do number kaam na karen galat kam na karen lekin kuchh log duniya mein aise hain jo galat kam karte hain.Aur hamari jo pak kitab hai quran usmein to yah do numberi karna hi mana hai.koi bhi galat kaam na kare lekin ham mein se kitne log hain jo quran per amal karte hain.kuchh alkah ke pyare bande karte bhi hai.desi murgi esi nahi hoti desi murgi ki kaleji kha sakte hai boilar murgi ki hi nahi khani aaj ki is post ke sath aapki is dost ko ijazat den.......
3 Comments
Excellent
ReplyDeleteOh!🥺
ReplyDeleteThanks for sharing this information
ReplyDelete