Balon me oiling karni chahiye ya nahi

 Balon me oiling karni chahiye ya nahi 


Balon me oiling karni chahiye ya nahi 


Aaj ham baat karenge ki sir ne oiling karna kitna jaruri hai.ya nahi kai log kehte hai hair oiling jariri hai kuchh logo ko oiling karna jaruri nahi lagta ya fir pasand nahi hota to kya kare oiling balo ke liye sahi hai ya nahi karna chahiye to kab karna chahiye kitni der tel rehne de balon me kese lagana hai kab dhona hai.kis tipe ke balome karna hai 

Ye sab kuchh janege aaj ki post me




Balon ko tel ki jarurat kyon hoti hai.



Balon me oiling ke fayde ham bachpan se sunte aarahe hai.hamari nani dadi se sunte aa rahe hai.hair oiling ki jaroorat kyun hoti hai yah hamare balon ko posan deta hain aur dryness se bachata hai. Jin Logon ke bal kyada frizzy hote hai unme oil definetly

help karta hai.kuchh oil jese olive oil mein vitamin E aur fatty acid hote hain.joki balon ko freezyness se bachata hai. Jo balon mein nami banae rakhne mein help karta hai.aur scalp ki blood circulation ko bhi increase karta hai.jisse hair growth hone mein help milti hai.To oiling ke bahotse gun hai.balon ke liye helpfull hota hai. Bahut important factor hai oil ka




Jin logon ke bal oily hai unhen bhi tel lagana jaruri hai.





Is baat per kafi log confused rehte hain ki

Jin logo ki scalp ya skin oily rehti hai.unlogo ko oil lagana chahiye ya nahi to aisa koi rull nahin hai ki agar aapki oili scalp hai to aapko oiling nahi karna chahiye basically scalp oil jyon hoti hai?

Jinlogo ke scalp me shibam jyada banta 

hai jiski vajah se scalp oily ho jati hai.jinki scalpme shibam production jyada hota hai

unko regularing karna problem kar sakta hai.agar ese logo ko oil karna hai to who 10 din me ek baar ya 2 hafte me ek baar lagaye aur ek lite oil choose kare jaise tea tree oil 2 ya 3  ghante rakhne ki bajay aap sir me oil aadha ghanta rakhen ya ek ghanta rakhe aur achhe se dhoye taki scalp me oil reh na jaye




Hair oiling karne se pahle aapko apni scalp ko janna jaruri hai.konso type ka scalp hai. Aapka scalp dry hai ya oily scalp hai us hisab se oil ko chune aajkal career oil aur essential oil ka kafi chalan hai.Career oil who hote hain jinko aap akele bhi use kar sakte hain aur essential oil main mix karke bhi use kar sakte hain. Example ke Taur per coconut oil olive oil avocado oil

essential oil thode heavy hote hain lavender oil sandalwood oil Inko akele nahin use kar sakte Inko ek carier oil mein dilute karke use kar sakte hai



To sab se pehle aap apne scalp ke bare me jan kar oil chune





Oiling se pehle tel ko halka garam karlen aur cotton ki help se scalp pe lagaye yah scalp ke liye kafi deep conditioning hai. yah unke liye achcha hai jo overnight nahin rakh sakte jo bahut time ke bad oiling karte hain


Balon ko alag alag bhago me bant kar tel ko jado me lagaye na ki balon ke upar upar


Oiling ke baad behter ye rahega ki ek garam towel se bandh kar kuchh der ke liye chhod den taki oil balo ki jado tak utar jaye


Tel ko sar me kitni der rakhe 2 ya 3 ghante kafi hote hai posan ke liye agar aap oil ko sar me 1 ya 2 din rakhte hai to usme aur jyada dhul mitti,rusi bacteria janam lete hai.

Kyonki isse scalp ke porc band ho jate hai.



Oil ek preservative ka kam karta hai Achar mein oil kyon dalte hain kyunki who achar ko sambhal kar rakhta hai.isi tarah ye oil aapki skin ke cells ko sambhal ke rakhta hai youthfulness deta hai. Oiling ka purpose sirf beautification nahi hai ki hamare bal khubsurat lagenge oiling sar ke liye bahot achha hai dekhiae hamara dimag har waqt kam karta rahata hai.kuchh logo kato soteme bhi karta hai.khwab jo dekhte rehte hai.To dimag ko relax karne ke liye massage beautiful thing hai.bachho ke liye bhi oiling bahot jaruri hai.unhe abhi bahot dimag ka istemal karna hai padhai karni hai.oil is verry verry powerful aur iska istemal sab hi logon Ko karna chahie budhon se lekar bacchon 




Ayurved ki Najar mein





Agar aap wat pravruti ke ho to til ka tel agar pitt pravruti ke hai to naryal ka tel agar aap cough pravriuti ke hai to aapko sarson ka tel jyada benefit de sakta hai.hame nahi pata hamari pravruti kya hai.to ham koi bhi oil istemal kar sakte hai.falo se aane wale oil coconut oil almond oil Kafi light hote hain falon se aane ki vajah se Kafi confused ho jaate hain. Isliye in hair oils ko koi bhi kabhi bhi kisi bhi mausam mein istemal kar sakta hai. Ismein koi pareshani nahin hote





Ab baat karte hai oil ki jo bij se nikalte hai




Jaise ke sarson ka tel kester oil Jaise ke tel ka tel yah kafi heavy hote hain sardiyon aapko gajab ke result dete hain sardiyon ke alawa koi aur season me in oil ka istemal karte hain to overnight na karen oile aapko suit karta hai ya nahin aapko oil ka istemal karke hi dekhna padega aur ek baar ke istemal se aap decide nahin kar sakte aapko oil ko minimum two weeks ke liye try karna hai.agar aapko normal se jyada hair fall hota hai matlab ye aapko suit nahi kar raha hai.to aap ruk jayenge istemal nahi karenge



Oiling ke baad shampoo ki shampoo ke baad oiling




Shampoo karne ke baad oil bilkul na lagaye ek din balon ko sans lene de koi apliction na kare jis din shampoo karte hai. shampoo karne se pahle oiling kar lijiye har din tel na lagaya kare kyoki hair follicles block ho sakte hain. Week me 3 0baar who log oiling karenge jinko dandruff rehta hai jinki scalp oily hai who hafty 2 hi baar oiling kare weekly oiling whi log karenge jinhone kabhi oiling nahin ki


Agar aapko yah study karni hai ki aapka scalp oili hai ya dry hai to shampoo karne ke dusre din scalp ko aap dekhenge ki scalp oily hai ya dandruff ho gaya hai.agar dry hota hai toaapka scalp dry hai.to hafty me tin baar oiling kare agar scalp pe halka halka oil aa gya hai ya nahi aaya to hafty me do din oiling karna hai.





Kya me oilnke apne balome kai dino ya hafto tak rakh sakta hu ya rakh sakti hu

Ye sahi nahi hai long time tak balon me oil ko rakhna ye bikul bhi thik nahi hai ek do ghante rakh ke dho len bina oiling ke baal kabhi bhi na dhoye me aasa karti hu aapke bahut sare doubt clear ho chuke honge khush rahe aabaad rahe.......

Post a Comment

3 Comments