![]() |
Apni umra se kam kese dikhe |
Esa hota hai ki aapki umra 40 saal hai aur log aapse kehte hai aap 60 saal ke dikhai dete hai.yeg jo premature aging hai aap jitni aapki umar hai.usse jyada bade dikhai dete hai.iske pichhe kuchh na kuchh Lifestyle habits jimme dar hai. Lifestyle habits ki baat karenge joo secretly aapki jo age hai usko unnecessary jyada dikhane ki koshish karti hai.basic sachchai ki samjhne ki koshish kijiye
Premature aging kya hoti hai
Prematureising any time se pahle budhapa aana vaise budhapa to Sabko aana hai lekin kabhi kabhi time se pahle hi budhapa apna asar dikhana shuri hota hai
jab aapko 35 se 40 ki umra ke pehle hi dikhai dete hain premature engage kehte hain.
Aapko pata hi hai ki umra badhegi to changes to aaenge lekin yah baat sahi hai ki jo changes aapki body per dikhai eete hain aap usko delay kar sakte hain ye jo premature aging hoti hai who bahot sare lifestyle factors hote hain.Jo determine karte hain ye jo lifestyle factors hai unko gamen samajhne ki jarurat hai.Yah baat sahi hai ki lifestyle mein jitni bhi chijen hain who bahut commen hain jo ham unintentionally jiska hamen pata bhi nahin hota aur ham karte chale jaate hain.
5 habits jo hakikat mein premising karne ki takat rakhti hain
1. Increase screen time
Jahan tak pandemic ka sawal hai yah baat sahi hai.ki ki jo working ki jo working population hai hakikat mein work from home ke chakkar me pura ka pura kam ghar se kar rahe hain.Agar aap ghar se kam kar rahe hain to aapka bahot sara time screen ke upar yani laptop computer ke upar gujarta hai.yah jo blue light car exposure hai science ka samanti hai ki hakikat mein jo blue light hai who aapki jo premature aging hai usko trigger karti hai.
to dekhiae pandemic hai work from home ka culture hai.Ham jante nahin hain ki pandemic kab khatm hoga to yeto majburi hai yeto aapko karna hi padega
Lekin iske alawah jahan bhi aap bacha sakte hain jo exposure hai screen time ka to usko bachane ki aapka koshish karni chahie agar aap social media per bahut jyada blue light mein apne aap ko expose karte hain usko aapko kam karne ki jarurat hai.kabhi kabhi aap TV ke samne baithkar puri ke puri web series dekhna chalu kar dete hain subah se lekar sham tak to Itna jo blue light exposure aap lete hain usse bachana chahie aisa mana gaya hai ki blue light ka jo exposure hai who premature aging mein sabse jyada help karta hai.
2.Not sleeping on time
Agar aap time per nahin sote aapki jo umra hai.jo abhi hai usse jyada dikhai degi agar aapki umra 40 hai to aap 50 ke dikhne lagenge log kehne lagenge ki aapke chehre per kitne jhurriyan aa gai hai. Agar aap roj let sote hain aap proper nind nahin lete to sirf aapki age badi nahin dikhai degi cience esa manti hai ki yah fact hai ki agar aap let sote hain ya kam sote hain to aap haqeeqat mein heart ki tamam bimariyon ko invitation dete hain hain.
3. Smoking
Yah ham sab jante hain ki jahan tak smoking ka sawal hai yah hamari body main bahut jyada nuksan karti hai yah Jo nicotin hai.ye body ka esa koi system nahin hai jisko yah nuksan na karti ho chahe who lang ho chahe vah hard ho chahe whi brain ho ye sabko nuksan karti hai lekin yah baat bhi sach hai. Agar aap Chrome chronic smoker hai.to hakikat mein ye aapke chehre per dikhai deta hai.aapki skin pe dikhai deta hai science aisa nanati hai ki agar aap jyada smoking karne lagte hain premature aging visible hone lagti hai.Hakikat mein kya hai ki aap smoking karte hain to to uske nicotin ke chalte skin ke jo cell hote hai regenerate hone ki takat kam hone lagti hai.Agar aspki skin ke celks regenerate nahin honge to aap apni umra se jyada dikhai denge aapko smoking band karne ki jarurat hai.
4. Unhealthy diet
Jahan tak lifestyle ka sawal hai agar aap exercise nahin karte aur din bhar leji rahte hain.bilkul activ nahi rehte kabhi exercise nahi karte to yeek aging issu hai.Aur Iske sath sath aapki diet bhi unhealthy hai to yah main junk food jyada hai ismein saturated fat jyada hai. Ismein trans fat jyada hai.Science ke najriye se ye jo aapki sedinary lifestyle aur unhealthy diet yah Jo combination hai.Yah milkar aapki skin ko damage karne ki kafi takat rakhte hain. Scientific nazariye se aapko apni diet mein juices aur fruits or healthy snacks aur jyada de jyada vegetable lene chahie including protein yah sab combination aapke body mein jata hai to premeture aging honey ki wajah kam ho jaati hai.
5.skin care
Kya aap apni skin ki care karte hain ya nahin jahan tak male ka sawal hai who apni skin ki koi care nahin karte yah baat sahi hai ki female male ke comparison nein apne skin ki jyada care leti hai.Agar aap scheme ki kah nahin karte to aapko prematureaging ka samna karna padta hai.who aapke chehre par aur body par dikhenge jahan tak skin care ka sawal hai to aapko yah nahin karna ki roj beauty parlour jana hai.Skin care ke liye multiple packs lagane hain systematic aapko roj apni life mein skin cleansing ki habit dalni chahie moisturizer use karna chahie aur agar aapko dhup mein bahut jana hai to fir sunscreen use karna chahie hey premature engage hai to isme ham apni lifestyle mein dhyan nahi dete isliye ham apni umra se bade dikhte hai.
3 Comments
Nice
ReplyDeleteV. Nice
ReplyDeleteGood
ReplyDelete