Oats kya hai.
![]() |
Oats kya hai. |
Aaj ham baat karenge ots ke bare mein oats ko bada healthy mana jata hai. Aur aajkal western culture mein to oats karib karib breakfast ka part jarur ho gaya hai. Agar aap ots kha rahe hain to aap health conscience hai yeh mana jata hai.yeh mana jata hai.to kya chij hai ye oats iske bareme aaj me aapko bataungi ots lena kab hai lab ile sakte hai.aur kya achhai hai.oats me jiski vajah se otna oats ko popular kiya ja raha hai. Aap dekhenge aaj educated sare class oats kha rahe hain
Oats ko hindi me JAI kehte hai ek hota jawar ek hota hai bajra vaise hi jai karke ek chij hoti hai. Jow or jai dono alag hote hai.jaw ko inglish me barly kehte hai or jai ko oats kehte hai. Jaw yani barley world mein sabse jyada ugae jaane wale 4 number per aata hai.aur aapko pata hai jaw ki roti hamare nabi e paak Sallallahu alayhi wa sallam khaya karte the aur bhot pasand karte the aur jaw ka daliya bhi matlab gehu chawal makai ke baad yahi sabse jyada ugaya jata hai.jiska use bahot salo se ham khaneme karte aa rahe hai .
lekin pehle ke jamane me oats ki kheti janwaro ke liye ki jati thi.pahle ke jamane mein purane log yah jai tani otsko ghode ko khilate the matlab oats yeh jai yani oats ko aajkal alagse ugaya jata hai ye ots danedar hoti hai.aur ye oats ko tod ke daliya banaya jata hai.ots ka daliya bahot famous hai.oats ka utpadan ke liye temperature climate ki jarurat hoti hai.oats turkey syria iran iraq egypt mein jyada produce hote hain.russian federation gets oats largest producing country jyada hoti hai aur uske baad canada second largest oats producing country hai oats producing mein in country alavah oats mexico australia aur south america mein bhi hota hai oats bahar ke deshon mein kafi jyada popular hai. Lekin oats health benefits ki vajah se India mein bhi popular ho rahi hai.
Pani me ya dudh me dalkar oats ka daliya banaya jata hai. Namkin bhi khaya jata hai mithha bhi khaya jata hai aur dudh me mithha banate hai to ismein dry fruits aur fruits dalkar bhi khaya jata hai jaw aur jai me sabse bada fark hota hai. Gluten protein jaw gluten free anaaj mein nahin aata lekin isme bahot kam gluten paya jata hai.oats gluten free anaj me paya jata hai.
Oats me hota kya hai.
Oats ka medical naam hai avana sativa Iske sabse badi baat hai ki ismein bahut jyada fiber paya jata hai. Ismein 10 se 12% tak fiber hota hai. Agar isko meal bhi kiya jaaye to iska jo kavar hota hai.usmein bhi bahut jyada fibre hota hai. Aur isme fats bahut kam hote hain takriban 6 gram fats hoti hai.100 gram me par isme calori jyada hai. Vajan kam karne ke liye oats bilkul bhi theek nahin hai agar vajan kam karna hai.to isko nahi khaya jaye isase cholesterol bhi kam hota hai. Aur blood pressure bhi kam rahata hai oats se aur jyada fibre hone ki vajah se yah digestive system mein bhi kam kartahai constipation
Yani kabj ko bhi dur karta hai.
To isliye bahot se log aate ka daliya bread chawal uski jagah oats prefer karne lage oats acchi chij hai.hajam hone me koi problem nahi hoti oats mein kuchh aisi chijen hain jo hamare interesting clean rakhta hai. Biles ko banane mein help karta hai aur ismein vitamins hote hai.Thayameen, phosphorus, iron ,zinc, potasium,is tarah ke vitamins aur minerals hote hain ismein ots me kafi hote hai oats hamare heart aur health ke liye kafi achcha mana jata hai.vajan kam karne ke liye oats kam khaye vajan kam hai unke liye thhik hai aur vajan jyada ho who na khaye to behtar hai.vajan ke liye mana hai lekin heart aur health ke liye oats bahot hi achhi hai.
Oats ka production kaise hota hai
Sabse pahle ham dekhenge ki aur kaise produce hote hain. Oats banane mein ek hi raw material use hota hai who hai.oats gran oats ke seeds ko chhatte waqt kata jata hai. patle patle danon mein starch aur protein bahut jyada hota hai ots ke dane jitne patle hote hai utna hi paushtik hote isliye hi oats grass chhoti hoti hai.tab hi use kat liya jata hai.agar ye grass jyada badhte hai to uska koi fayda nahi hai. Oats grass ka bahar ka chhilka jitni jaldi nikale a jaaye utna achcha hota hai. Ke bad oats ki manufacturing step aata hai.
1. Cleaning and shifting
Cleaning and shifting ke dauran oats ko bade bade machine mein dalkar clean kiya jata hai. Oatsko high intensity water force ke jarie dhoya jata hai.
2. Steaming
Saaf kiye oats bade Steamer mein chale jaate hain taki oats kuchh der moist kiya ja sake
3. Rolling or cutting
Steaming ke baad razor sharp machine main cut kiya jata hai. Quick cooking ke liye oats ko halka banane ke liye fir dusre macine me dal kar halka kiya jata hai.aur ye process bahut bar repeat ki jaati hai taki oats chahiye ese halka banaya jaaye
4. Roasting
Ab aata hai.oats ko rosting karna bad machine mein dalkar pahle rakhe gaye temperature per oats ko rost kiye Jaate
5. Packaging
Roasting ke bad oats manufacturing process khatm ho jaati hai.isko acche se packaging karna bhi jaruri hota hai.alag alag size ke container mein quantity ke mutabik packing kiya jata hai. Uske bad yah container bade se cartoon mein pack karke shipping ke liye bhej diye jaate ye sari process karne ke bad oats banane ki process bandh ki jati hai. Okay manufacturing process jyada difficult aur badi nahin hai fir bhi oats expensive milte hain iski vajah ye hai ki oats ke health benefit jyada hai yahi reason oats ko expensive banata hai
Jyadatar log subha ke naste me khate isliye ki ye hajam aasani se ho jate hai. oats mahange hone ki ek vajah yah hai ki yah India mein produce nahin hote Jab bahar se aati hai to unke production cost ke sath import charges bhi lagte hain is post me hamne dekha ki oats ka Astitva Kitna purana hai to aapko ye jankari pasand aai to ek comments to banta haina dost.......
1 Comments
Good information
ReplyDelete