Chai peena sehat ke liye kaisa hai

 

Chai peena sehat ke liye kaisa hai



Chai peena sehat ke liye kaisa hai



Aaj ham baat karenge chai ke bare mein aur kuchh aisi chijen janenge jo shayad aapko pata na ho duniya mein aap kahin bhi chale jao kuchh mile na mile chahe aapko jarur milegi chai ek aisi cheez hai jo har ghar mein banti hai jyadatar koi bhi aisa ghar nahin hai jahan chai na banti ho lekin kuchh log aise bhi hai jo chai nahin peete aur inmein se main bhi ek hun mujhe chai ka test bilkul pasand nahi hai.haa lekin aaj ke jamane me ye kehte huwe log bahot kam milenge chai har ghar ka part ban chuki hai.





Chai mein pai  jaane wali caffein hamare nervous system ko badhati kar hamari thakan ko dur karti hai.aur taazgi deti hai aur ye taazgi thode time ke liye hoti hai jese hi Insan ka energy level thoda kam hota hai who fir ek cup chai le leta hai aur aise karte karte na jane din mein kitne cup Insan chai pee leta hai. aaj ye halat ho gai hai ki Insan ka chai ke bina kam nahin kar pata kyoki dimag hi nahi chalta to isliye chai pina thhik hai ki nahi koi kehta hai thhik hai koi kehta hai thhik nahi hai lekin ek baat to pakki haiki ek do se jyada cup chai nahin pini chahie jo log jyada chai pite hai unke liye ye janna jaruri hai ki chai se kya kya nuksan hote hai.



Chai pine ke nuksanat





Ayurved ke according to chai Indians ke liye bani hi nahin kyunki yahan to jyadatar mausam garm hi rahata hai.aur chai hamare andar garmi ko aur badha deti hai.

Wese bhi garam contries mein rehne wale logon ke pet mein acid ki quantity bahut jyada hoti hai aur chai peene se aur badh jaati hai. jab blood mein acid ki quantity badh jaati hai to sari body ke organs ko nuksan hota hai.sabse pehle to body me alkaline aur acid ka balance bigad jata hai.






chai hamare digestion a process ko slow karti hai. agar khana hi theek se hajam na ho to pet mein gas jalan aur bharipan lagta hai.aur hamara pura din kharab rehta hai wese jis chij ko jarurat se jyada lete hai to nuksanto hota hi haiisiliye hamare nabi e pak sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke har chij mein etedal  rakhna chahie bahut jyada koi bhi chij karoge to who nuksan degi





Chai se khane se milne wale vitamin ko body main absorb nahi hone deti jiski vajah se body kamjor aur thaka thaka sa rehta hai.chai jyada pine se haddiya bhi kamjor hone lagti hai jisse body ke har part me dard rehta hai. Chai ka heart per bhi bura asar hota hai. Hi blood pressure  per Jaise bimariyon ko janm deti hai.bahot jyada chai pine se bhukh mar jati hai haa yeto mene apne hi ghar ne dekha hai wese bhi purane logo ko chai ki jyada lat hoti hai aur mard bahot chai pite hai orton ke mukable me kai log weight loss karne ke liye chai ka sahara lete hai aur result yah hota hai ki acidity or gas se halat aur bhi kharab ho jaati hai






Bhot jyada chai pine se nind thik se nahi aati ham apna kaam pura karne ke liye baar baar chai peete hai taki hame nind na aaye jab ki esa karne se mansik rog badhne lagte hai.nind na asneki bimari satane lagti hai. Depression aur chidchidapan ham per havi ho jata hai chai peene se hamari yad shakti kam hoti hai.chai pine se peshab bhi badh jati hai.jisse bladder per dabav padta hai aur kidney kharab hone ke chances jyada ho jate hai. Jyada chai peene se body dehydrate ho jaati hai body mein pani ki kami ho jaati hai.






Jin logon mein khoon ki kami hoti hai jo ki mostally jyadatar logon mein khoon ki kami hoti hai. Unhen to chai se dur hi rehna chahie kyunki yah hamari body mein iron ko observe hone nahin deti chai Ko chhodana koi mushkil kam nahin hai bas mind set hai.asp kahoge chai nahin chhodi ja sakti to aap kabhi bhi nahin chhod paoge agar ise chhodane ki thhan loge to yah bilkul bhi mushkil nahin hai.chai ko aap green tea ke sath replace kar sakte hain.




Agar aap chai chhodana nahin chahte to 





in baton ka dhyan jarur rakhiye ki chai ke quantity kam lijiye din mein ek cup ya do cup se jyada nahin leni chai patti ko jyada ubale nahi garam pani me ek ubaal aa jaye to gas bandh kar ke usme patti dal den best tarika to ye hau ki dudh bhi alag se garam kare fir cup me dudh dale aur chai wala garam pani mix kare chai taiyyar research ke mutabik Chai mein dudh dalne se chai mein paye jaane wale antioxidant body ke liye jaruri hote hain who khatm ho jaate hain. Yani  jo chai ka fayda milna tha who bhi nahi milta chai ko bahot garam nahi pina chahiye



Chai banane ke liye fresh bartan ka istemal karen ham jis bartan mein pahle chai bana chuke hai usmein nahin banani hai ek fresh bartan banani hai.bina dhoye bartan me chai na banaye sadkon railway station pe ya aaspaas milane wali chai se parhez karen kyunki who chai ko bahut ubalte hain.esi chai ko kadak chai kehte hai.ye chai bahot nuksan deh hoti hai.agar aap ek chhota cup chai pite hai to usko balance karne ke liye ek glass pani jarur piye taki d hydration na ho khane ke sath ya khane ke bad chai kabhi na piye ye bilkul galat baat hai ki khana hajam hota hai. Caffeine saifin khane se milane wale vitamins mein badha dalti hai. Kitna bhi bhari khana khaya ho uske aadhe ghante ke bad garm pani pee len khana hajam ho jayega jab bhi chai ki talab ho garam pani pee len ye aapke liye behtar choice hai.




chai ki talab bhi nahin rahegi aur body mein jo chhote mote rog honge who bhi gayab hone lagenge and main Yahi kahungi ki chai chhod dijiye uski Jagah per ginger tea masala tea lemon tea tulsi tea le sakte hai. Duniya mein kuchh bhi impossible nahi hai.aap chahe to chai chhod sakte hai wese bhi ab bahut si varietys milane lagi hai herbal tea mein

Apna khayal rakhiye allah hafiz.....

Post a Comment

6 Comments