Shardiyo me body Detox kaise karen?

 



Shardiyo me body Detox kaise karen?




Detox water for winter: ab shardiyo ka mosam aa chuka hai or is mausam me bhot se log dry skin se paresan ho jate hai.dryness ki vajah se chehreka glow khatam ho jata hai.thhandi ki vajah se skin bejaan or rukhi dikhne lagti hai.ese me skin ki khoi hui chamakko wapas laneke liye skin ko hydrate rakhna  jaruri hai. Skin hydrate rakhne ke liye aapko (winter Detox drink)jarur shamil karna chahiye ye detox water hamare metabolism ko tej karne ke sathh sathh immunity system ko theek karne mein help karta hai


Sardiyo ke alawah garmiyo me hi ditox karte hai body ko lekin sardiyo me bhi body ditox karni chahiye khudko healthy rakhe toxin Ki vajah se body ko kai tarah ki presaniyo ka samna karna padta hai body ko time pe ditox karna bhot jaruri hai Kyunki sardiyo me hamari bhukh bhi badh jati hai or vajan badhne ki fikar kiye bager khana shuru kar dete hai or jyada khane se body me toxins ban jate hai  body ke toxins bahir nikalne ke liye winter me kuchh  ditox drink s ko peena jaruri hai.


Metabolism ko bust karneke liye 







Lemon drinks sardiyo me subaha ek glas nimbu pani pine se body ke toxins ko bahir nikalne me help karega nimbu ko vitamin c

Ka achha source mana jata hai.isse immunity power bhi majbut hota hai



Green tea





Green tea sehat ke liye bhot hi faydemand hai.khash tor pe vajan kam karneke liye roj ekse do kup green tea pinese body se toxins ko bahir nikalne me help karega



Sardiyo me aksar ham pani pine se bachte hai. Reason yah bhi hai ki logo ko pani thhanda lagta hai.aap paniko gunguna karke pine se body ke liye bahot achha hota hai. regular pani peene se aap apni body ko acche se ditox kar sakte hain


Packet  juice ko dite se bahir kare





Kyonki ye drinks aapko nuksan pohcha sakte hai.aapko batati chalu ki is tarah ke juice me color aur process sugar shamil kiya jata hai.jo apki body par bura asar dalte hai.agar aap juice pina chahte hai to taja faloka juice piye taja juice se enargy milti hai.or aapki dite me dahi jarur shamil kare


Exercise




Exercise ek bhot hi fayde mand agar aap khudko detoxified karna chahte haito to asp rojana exercise Karen sardiyo me rojana 1 ghanta exercise Karen isse aap teji se apna pasina bahayenge jiski vajah se toxin bahir niklenge


Ginger drink






Adrak wala gunguna pani pine se toxin bahir nikalte hai.adrak me posak tatwa hote hai jo sardi khansi se bachaneme help karte hai




Junk food Se Kare parhez





Sardiyo me aksar junk food khane ka man karta hai. Lekin body ko Detox karne ke liye junk food se Duri bansni jaruri hai. Fast Food,refine chini,soya, aur gluten free chijo se duri banaye iski bajaye Hari sabjiyan aur organic foods ko khaye oily khana fastfood se our  basi khane se body me gandgi jana ho jati hai detox water ye gandgiko bahir nikalta hai


Aram se khana khaye





 Khana khane ke sath sath yah bhi jaruri hai ki aap use Kaise kha rahe hain.agar aap kisi tension mein ya jaldi jaldi khana khate hai.to chahe who kitna bhi healthy kyo na who aapko koi fayda nahi dega ese me behtar hoga ki asp khane se pehle ek lambi sans len khudko relax Karen khane ki Khushbu le aur khana khae



Khulkar hanse






Tanaw ki vajah se vajan badhta hai. High blood pressure aur kharab immunity Jaisi problem hoti hai magsr khulkar hansne se body mein Jyada Se Jyada oxygen pahunchta hai.jisse stress level kam hota hai. to Jitna ho sake utna khul kar hanse


Detox water recipe





Kuchh sabjiya kuchh fal or jadibutti se is water ko ghar pe hi bana sakte hai.

Khatte nimbu fresh Santra or pudina ditoxe water ka ek glas apko sehat or test dono dega ise banana bhi bhot aasan hai.chaliye jante hai.aap ise gharpe kese bana sakte hai.


  • 2 logo ke liye
  • 10 gms santre ke tukde
  • 5 gms lemon ke tukde
  • 10 gms pineapple cubes

  • 10gms kakdi ke tukde
  • 5 gms adrak ke tukde

  • 2 gms pudina


Ek glas pani me ye sab dal kar ek ghanta chhod de or fir chhan kar pee le aap isko kanchh ki bottle mein bhi banaa sakte ho jyada chij hai dalkar Botal Mein Pani Bhar len Subah aur FIR use 2 ghante ke liye chhod De aur FIR Pani Peete Rahe pura din 

Ese hi aap alag alag roj roj drink banake pee sakte hai or apni body ko Detox kar sakte hain detox water me jo chhije chahiye who aasani se aapko ghar se hi mill jati hai.

 

Khira 






Vajan ko kam karne ke liye bhot hi achhchha hai.khirw me lagbhag 95 parsant se jyada pani hota hai.iske sathh sath vitamin c vitamin k aur magnesium paya jata hai jo vajan kam karne me hamari help karta hai.


1 khire ko chhote chhote tukdo me kat le 

Or in tukdo ko rat bhar ek liter pani jar me dal kar chhod de 

Rat bhar ye pani ke sathh achhchhe se ghul jayenge

Subha detox water taiyyar hai pura din pite rahe or fayda uthhaye isko pine se pet saf or halka ho jayega


Khira,nimbu,pudina

  • Sabse pehle khira nimbu pudina ko achhchhe se dhole


  • Uske bad khire ko patle patle gol hisso me cut karle


  • Nimbuko bhi gol hisso me cut kare


  • Ab inhe pudine ke sathh ek jaar me dal de


  • Pani ka jar kamse kam ek liter ka hona chahiye


  • Ratbhar ke liye ise dhakkar rakh de


  • Subaha tak detox water taiyyar


Subha khali pet jitna ho sake isko piye

Fir din bhar pi ke khatam kare aap jaar ko dubara bhi pani se bhar sakte hai is pani se pet ki charbi pighal jayegi in sha allah balon ki health ke liye bhi achcha hota hai



Isi tarah asp haldi or nibu ka bana sakte hai pachan ke liye bhot achha hai adrak or nimbu ka bana sakte hai.naiyal pani ko bhi pee sakte hai khali pet


Detox water ke fayde






Vajan kam karta hai pachan saktiko badhata hai.khana achhe se pachta jisse fat nahi jama hota skin me nikhar aata hai baal majbut or chamakdar hote hai fode funsi nahi nikalti balonka jhadna bhi bandh hota hai stamina Ko badhata hai energy deta hai pet se Judi pareshaniyan Gas Kabj acidity ko dur karta hai. Akele Detox water Se hi vajan Kam nahin hoga balki aapko exercise karni padegi aur ek acchi diet leni padegi tab hi Iske fayde aapko dekhne ko milenge aapko meri post kesi lagi

Post a Comment

1 Comments