Teji se jhadte baalon ko kese roke?
Kisi ke bhi baal kyo jhadte hai.pehla reason hai. Harmons changes,dusra koi gambhir bimari medical condition,ya geneticaly yato badhti umar ke sathh body me changes ki vajah baalon ka jhadna rokne ke liye sabse pehle aap apni dite pe dhyan de ladies or gents Bal to dono ke hi girte hai lekin ganjepan ka shikar jyadayar gents hote hai ladko me ye bahot aam or bahot taklif deta hai.kai log to ganjepan ke reason se depression mein chale jaate hain.aaj kal har tisre insan ka hair fall ho raha hai.is musibat se kese lade aaiye jane
Hair fall kise kahate hain
Sirf baal jhadna hi hair fall nahi hai.balki 1 din me 70 se jyada baalon ka jhadna hair fall ki category mein aata hai leki aaj ke expert 100 baal girna bhi koi bura nahi samajhte Kyunki aaj ki LifestyleAur khan paan dono hi hair fall ko promote karte hain log depression mein bahot rehne Lage hai.
Hair fall se bachhne ki tips
Balon ka jhadna control karne ke liye bhot jaruri hai ki aap apni dite par dhyan den healthy balon ke liye roj khane me kuchh khash vitamins ka hona bahut jaruri hai.
Iron
Calcium
Protein
Vitamin B12
Vitamin
Folic acid
Inme se koi bhi vitamin hamari body me kam ho jata hai.baal teji se jhadne lagte hai
Ab aap gin kar to pata nahi lagayenge ki kitne bal gireisliye is baat par gor kare ki hamare sar ke kisi hisse me balo ki kami to nahi ho rahi aam tor par samnese yani forhead ki taraf se bal kam hone lagte hai.
Kabhi kisi ke sar ke bich se kam hone lagte hai agar dite lene ke baad bhi bal girte hai to docter ki salah le jarur
Vitamin k
Gehre rang ki bhajiyo se milta hai.jese methhi ki bhaji,sarso ki bhaji,palak ki bhaji,saljam,saladpatta,dhanya jesi bhajiyo
se
phoolgobhi,Patta gobhi,lettuce,broccoli
Nuts angir badam kishmish jese nuts
Mutton,machhli,ande se milta hai.
Dudh ya dudh se bani chijose
Anaj me ye bahot kam paya jata hai.or kuchh vitamin k hamare body me achhchhe becterya bhi banate hai.
Khhatte fal
Khatte fal nimbu,santra,angur jese falo ko regular khaye hamare bal majbut hote hai balon ke liye jamun sabse behtar mana gaya hai.banana me bhi sugar thaimin or Folic acid ki shakal me vitamin A or B mojud hai jo balon ko majbut banata hai.
Amrud
Agar aapke balonki grouth ruk gai hai.or bal bejan bhi hone lage hai.to aapko amrud jarur khana chahiye amrud me vitamin c hota hai jo balonko jhadne se rokta hai.sath sath balonko badhata bhi hai.iski pattiyo me bhi vitamin C or B paua jata hai jo balon ki grouth ke liye collagen ko badhata hai.
Dalen
Tuwer,mung,udat,masoor jesi dalo ko khane se bhi bal majbut hote hai.
Mehndi
Mehndi bhi balonko posan deti hai ise hafte me ek baar jarur lagaye
Mehndi ko bhigane ke liye ek lokhkhand ki kadhai usme aawla sikakai metthi kalongi chai patti coffee or long dal kar ubale fir thhoda sa halka garam rahe tab mehndi dalde fir upar se ek nimbu dale or puri raat ya din bhar chhod de fir subha lagane ke time usme do ande dale fir achhe se milaye or sar me lagale koi ande ki badboo nahi aati or 3 ghante laga rehne de fir dho de bhot silki Shiny khubsurat ho jayenge jhadna bhi bandh honge in sha allah me hamesha lagati hu bhot achhe result milte hain
Oiling
Jab bhi aap oiling kare to castor oil extra virgin nariyal tel oliv oil ko mila kar isme vitamin e ki capsul daal kar mix karke lagaye or fir hot towel treatment kare towel ko garam pani me duba kar pani nikal kar sarpe bandh de 10 minute ke liye esa 2 se 3 baar kare fir 2 ghante baad sar dhole baal jhadna bandh honge
Supar Oil bananeka tarika
Extra virgin coconut oil le usme castor oil dale fir badam ko pis kar usme dale or alovera ke chhote chhote pis or isko ekdam slow aanch par garam karke chhan kar bottal me bhar de or hafte me 3 baar sar pe massag kare bhot achhchha result milega
Pyaj
Pyaj me anti microbial or anti inflammatory jese gun hote hai jo balon ko majbut banate hai sathh scalp ki problems ko bhi dur karte hai pyaj sulfur ka ek Bada
Source hai. Jo balon ko protein keratin deta hai regular balon ki jado me lagane se bal majbut hokar teji se badhte hai.or gile balon me kanghi kabhi na kare bal ko natural tarike se sokhne de gile balome kabhi bhi kanghi na kare
Shampoo
Shampoo aaj kal kitnibhi badi or achhi company kalele par chemicalto hota hai shampoo ho sake to use na kare iski jagah
Natural Shampoo banane ka tarika
harbal shampoo ghatpe banae
Shikakai,aawla,arithha,Bhringraj,methi or alsi ke bij or kalonji dal kar pis ke ek jaar me bhar le or fridge mein rakh de fir jab nahana hoto ratko pani me bhoga kar rat bharke liye chhod de lohe ki kadhai me bhigayefir subha ubal kar halka garam hoto sarme lagale pure balonko dhak de fir cap pehenle or apne kam karti rahe fir sar dhole basl majbut ghane lambe kale chamakdar honge in sha allah to kesi lagi meri post jarur bataye
0 Comments