Best food for glowing skin
Aaj ham jis topic par baat karenge ye har ghar ki kahani hai har orat is bareme janna chahti hai har ladki janna chahti hai ki kese who apni skinko chamakdar saf rakhe to ham aaj ese food ke bare me baat karenge jo hamari skin ke liye bahot hi achhchhe hai.
Kese aap skin ko bright Rakh sakti hai kese wrinkles durkarke jawan rakh sakti hai to ham externally skin ki safai to kar lete hai lekin internally dhyan nahi rakhte to aaj ham isi pe baat karenge lekin please meherbani karke kabhibhi beauty cream serum vgera ka kabhi istemal na kare usse long time ke baad side effect pata chalenge isliye meto gharelu chijo pe hi yakin rakhti hu aap bhi yahi chije use karo
johamare hi kichan se milne wali chije jese besan, haldi,rai,khira,multani mitti,anda,nimbu jesi chije use karke apni skin ko saf suthra wrinkle free kar sakte hai.or ye bhi jan le ki sirf external hi nahin internally bhi safai ki jarurat hoti hai.To aaiye jante hai internally kese khayal rakhna hai skin ka or kya kya khane se skin ko kese bright rakh sakte hai.or wrinkle free bedag or acne hata sakte hai.aaiye jante hai
Pani
Sabse pehle internally safai ke liye pani ko pina bhot jaruri hai.hamari body me 60 se 70 percent pani paya jata hai jinki body me pani ki kami hoti hai unki skin bahot dry ho jati hai or fir wrinkle padhna start ho jate hai or fir pani kam pine se muh pe acne pimple ka bhi issu hota hai kyoki pani kam pine se kabj rehne lagti hai jiski vajah se pet ki garmi badhne lagti hai or fir dhire dhire muh pe dikhai dene lagti hai pimpal ki surat me
Or wese bhi puri raat hamari body me chemical reaction hote rehte hai jo body se nikalte nahi to who jama ho ke acne ki surat me nikal ne lagte hai. Isliye pani ka istemal bahot jyada achhchha hai or pani me bhi detox water sabse achhchha hai.detox water pe mene puri post likhi hai fir bhi me apko banana sikhati hu
Detox water banane ka tarika
1 liter pani me ek nimbu 8 se 10 pattiya pudina ek tukda adrak ka or ek dalchini ka tukda dal ke puri raat chhod de or pura din pani piye shuruaat subha khali pet se kare fir jab bhi pyas lage to yahi pani piye fir pura khatam ho jaye to yahi chije rehne de or dusra pani dal le name se hi pata chalta hai ki ye hamari puri body ko detoxify karega hamari body me jitne bhi chemical reaction ho raha hai usko detoxify karega or sare toxin urine ke through bahir nikal Jaenge
Fatty fish
Fish bahot hi achhchhi chij hai.isme Essential oil paye jate hai omega 3 omega 6 jo skin or balo ko moisturiz rakhte hai.or protin bhi paya jata hai. Bahot achhchha hamari skin me ek layer hoti hai collagen ki
Who bane to hamari skin bahot freash rehti hai jawan rehti hai wrinkles nahi padhne deti protin jitna achhchha lenge skin utni hi achhchhi rahegi
Green leafy vegetable
Hare pattewali sabjiya jitni bhi hare patte wali sabjiya khayenge jese Broccoli,palak cabbage ho gaya carrot me beta keratin paya jata hai tomato me lycopene yah bhi ek antioxidant hai ye kya kam karta hai body me jitne bhi chemical reaction hai toxin ko bahir nikalta hai.inme vitamin c bahot achhchha hota hai.in me minerals vitamin.zinc bahot achhchhe paya jata hai.or Selenium or skin ko bright rakhne me bhot help out help hai.pakane se iske vitamin minerals khatam ho jate hai koshish kare inhe kachcha khaye salad ke tor par khaye ya drink bana ke piye
Green smoothi pine se meda saf rehta hai meda saf rehta hai to skin bhi saf rehti hai.
4 se 5 palak ke patte lene hai usme ek nimbu dalna hai ek adrak ka tukda dalna hai or pani dalna hai.or beetroot dalkar Grand kar lena hai or fir din me ek baar jarur piye jisse aapka jigar bahot saaf hoga skin bahot saf hogi
Nuts
Walnut bhot hi achhchha source essential fatty acid ka jinko ham good fat kehte hai.or inme vitamin e or zink bhot achha paya jata hai.jo hamari skin ke liye bahot hi important hai. Ham bas hamari hathheli hai utne nuts le kar green tea ke sathh ya pani ke sathh ya subha uthhte sath thode se nuts lenge to hamari skin moisturize hogi protin bhi milega to skin bright hona shuru ho jayegi
Sunflower seeds
Jinko ham surajmukhi ke bij kehte hai.ye bahot hi achhchhi chij hai inme bhi vitamin e vitamin c or zink bahot achhchha paya jata hai. Selenium paya jata hai yah Sare nutrients aapki skinko behtar banane me help karte hai. Suraj mukhhi ke bij ka powder rojana ek chammach chahe dudh ke sathh lele salad ke upar dal ke ya jaw Daliya me dal kar lele ya dahi me dal kar istemal kare
.
Kehwa
Koi bhi kehwa aap bana ke pite hai.inme antioxidant bahut jyada paye jate hai jo body se toxens remove karte hai jo aapke pet ko saf or achhchha banate hai.skin me sign lekar aayega aur wrinkle ko dur Karega isme green tea lemon and ginger tulsi tea ye sab tarah ke kehwe bana sakte ho yeto healthy food thhe jo aapko fayda denge hi denge sathh me aap kitna fast food le rahe ho kitna junk food le rahe ho ye hamari skin pe bhot effect karte hai.isko chhodne ki koshish kare chini ko mithhe ko bekri items ko jitna chhod sakte hai chhode
jitni exercise or yoga aapki skin ko achhchha banata hai aapko fresh rakhta hai or aapko young rakhne mein help karta hai sath me stress ke level ko kam kare jo skin ko kharab karta hai. Or pani ka jyad istemal kare agar aap ispe amal karenge to skin bahot achhi saf or chamakdar rahegi in sha allah
0 Comments