Sardiyo me vitamin D ke liye kab leni chahiye dhup


Sardiyo me vitamin D ke liye kab leni chahiye dhup



Sardiyo me vitamin D ke liye kab leni chahiye dhup




Doston aagayi hai sardiya or in sardiyo ka mosam kin kin k pasand hai mujhe to bahot pasand hai aaj ham baat karenge sardiyon me dhup kab leni chahiye kitni der or kab dhup lene se vitamin D milta hai.ye logo ka common question rahata hai.jo hamari body ke liye behad jaruri hai is vitamin k kami se kya ho sakta hai is ke symptoms kya hai. Etc to aayiye jante hai.







Hamare bade budhe bhi kehte the ki sardiyo me dhoop me bethna chahiye ye body ke liye bahot jaruri hoti hai.aapne bachpan me aksar suna hoga ab baat sunlight ki karen to iska matlab yah nahin hai ki din bhar hamen dhup mein baithana hai to vitamin D hamare body mein banega esa nahi hai studies yah kahati hai ki jinki skin light hai.who apne aap ko expose karke 15 minut bhi sunlight mein baithte hain aisa nahin hai ki aap laga kar kapde pahan kar baithe haa lekin har ek ke liye xpose hokar thoda mushkil hota hai to aap uski jagah barik kapde pahan kar baith sakte hain. Or dhup lene ke foran baad nahaye nahi.






Or koshish kare ki sardiyo me subha 10 se 1 ka time achha hota hai is time main harmful radiation kam hote hain.or garmiyon me subaha 8.se 11 ka time achga hota hai. to is time agar ham sunlight lete hain to fir hamari body mein bahut hi acchi tarah se vitamin D banta hai. Aur jinki dark skin hoti hai woh log 1 ghantay  tak dhup mein baithe. Kisi  ko aisa lage ki skin mein jalan ho rahi hai ya fir sunburn ho raha hai.to fir aap dhup mein se hat jaen kyunki har ek ki body alag alag  hoti hai. 






aur woh us tarah utani der tak baith sakta hai. aur jinki skin fair hoti hai who log 30 minut baithe iska reason yah hai ki melanin jo hamara hota hai jo skin color ko produce karta hai hamari body mein Jinka fair color hota hai.jo log gore hote hain. melanin ki quantity thodi kam hoti hai.aur jab sunlight aati hai hamari skin pe  to melanin kya karta hai ki UV rays  ko absorb kar leta hai hamari skin mein aur dark skin walon ka melanin thoda jyada hota hai.to maleanin hi sara absorb kar raha hai unki skin Ke niche Jo form bharane hai woh bahut kam ban rahi hai isliye inhe thoda jyada baithna hota hai.vitamin d hamari Jo peeth ke back side vahan banta hai to ho sake to back side ko expos karke le vitamin D vahan banta hai.








Aur Kuchh log esa  sochte hain ki  ham kamre me beth kar glass se sunlight len to aisa nahin hota sun ki jo rays  hoti hai glass se filter nahin hoti to usse vitamin D nahi banta  kyoki plastic aur glass se uv rays reflect kar jaati hai.woh uvb ras ki hamara glass pass nahi karne deta iske liye bahir ya chhat pe dhup me hi baithna hoga sunlight lene ke bad aap sunscreen laga sakte hain.ye mat soche  ki ham jyada dhup me baithenge to jyada vitamin D banega jyada dhup lene se skin cancer bhi ho sakta hai








Hamari body main jo production sunlight se hoti hai vitamin D ki woh  kisi bhi source se nahin ho sakti aur sunlight ko direct face  per mat lijiye hamari back hamare aarms hamari thighs  focus kyunki yah bhi hamari body ka bahut bada area hai vitamin D lene ke liye  aur aaj se hi khud se wada len ki rojana regular sunlight lena hi lena hai kyunki bad mein aane wali problem ka samna nahin kar kyoki vitamin d se hsmare borns muscles majbut hote hain strong banta hai.



U.V .B rays se nuksan






U.v.b rays hamari skin ko bahot nuksan deti hai koi bhi ye mat soche ki meto dhup me ghum raha hu ya ghum rahi hu to mujhe vitamin D milega hamari skin ke niche jo fat hota hai us ke sath hota hai u.v.b rays ka exposure to dono ke milne se skin ke niche Jo fat hota hai hamara cholesterol hota hai aur u.v.b rays ke milane Ke sath jo body mein chemical reaction hota hai.





lever me usko hamari active form banti hai. usko kehte hai vitamin D 3 calsi foam dhup me garmiyon me jab garmi jyada hoti hai.11 ke baad sham 5 baje tak na nikle ye rays  harmful hoti hai body ke liye agar uv rays ka level jyada ho to ye hamare DNA ko damage kar sakti hai isase Skin ka cancer ho sakta hai. Sunburn hota hai. Allergy ho sakti hai.







Kuchh fayde bhi hai .ki bade level per filtration plant hote hain vah bhi light se Pani mein jo bacteria paida hote hain usko maarte hain to ye hamare liye kam ki chij hai asar ho raha hai becteria pe UV light  ki ek properties yah hai ki kai bar aisi chijen dikhati hai jo ham apni aankhon se nahin dekh sakte actually police ya CID you will light ko kam mein leti hai.UV lights ko currency identify karne mein use karte hain Ki nakali hai ya asali is tarah bahot se kamo me use hoti hai.,UV lights


Vitamin D ke faydy





Vitamin D hamari haddiyon muscles aur joint  ko majbuti deta hai. Immunity power ko badhata hai rogon se ladne ki takat deta hai aur kai tarah Ke cancer se hame bachata hai. Depression ko theek karta hai aur depression se dur rakha hai. Vajan ko kam karta hai aur heartko healthy rakhta hai

Khane ki kai chijo me vitamin D paya jata hai dairy product machli mushroom Surajmukhi ke bij anda

Post a Comment

2 Comments