Body or muh ki badbu khatam karneka tarika

 




Body or muh ki badbu khatam karneka tarika 






Bahot se logo ki mushkil hoti hai.muh ki badbu or body se badbu aana sarmindgi ka bais banta hai or log kisi ke pass jane se katrate hai ya kisi se baat karne me bhi sharam mehshush hoti hai chahe roj naha le ya roj brush Karen lekin ye probelm se ti jhujh na hi padta hai.to is badbu ke liye kya tarike aajmaye jaye iske do tarike hai ekto ehtiyat rakhna dusra jo problems hai uski dawai karwana dr.ke pass jana






Sabse pehle body ki saf safai or pakijgi hasil karni chahiye chahe shardi ho ya garmi har roj nahana chahiye agar sardiyo me roj nahi nah sakte to ek din chhod kar nahana chahiye kuchh ladies bacche ki delivery ke bad bhi jaldi nahati nahi hai or kehti hai ham nahaye to hamari haddiyo ki thhand lag jayegi or bahir ki country mein aapne dekha hoga ki bachcha ko peda hojata hai to  maa ko bathtab me dal dete hai jisse blood circulation achhchhe se hota hai.aur safai achhchhe se ho jati hai.or thakawat dur ho jati hai.ehtiyat is chij ki karni hai ki pani mosam ke mutabik hona chahiye halka garam kam ya jyada








Mosam ke mutabik kapde pehne jaye full sleeve pehni jaye taki direct hawa skin ko na chhoe nahane dhone ke sath sath underarms ke aur under Lekar ger jaruri bal ki bhi safai karni chahiye islam bhi hame ek limit deta hai ki 40 din se upar baal na nikalna makru hai.bahir se to insan ekdam tip top hota hai lekin andruni pakijgi bhi jaruri hai isse kai kism ki bimariya bhi ho janam leti hai kyoki aap dekhte he ki shetan gadagi se bade khush rehte hai.kyoki ese logo par jadu jaldi asar karta hai.or hame kabhi kabhi yebhi nahi pata hota ki bimari ka reason kya hai.fir docter ke pass jate hai or thhik hone ki jagah or bimar ho jate hai




Muh se badbu kyo aati hai





Muh se badbu aana hamare pet ki kharabi hoti hai.sirf stomach ki kharabi hi nahi keh sakte kabhi kabhar ham danton ko achhchhe se saf bhi nahi karte ya kuchh logo ko safai dhang se karna bhi nahi aati jab nabi e pak sallallahu alayhi wasallam apne danto ki safai miswak se karte to din me kitni baar karte pata hai.jan ke aap heran ho jawge n jane kitni har namaj se pehle bahir jane se pehle quraan padhne se pehle gharme aane ke baad hakhane ke baad kya discipline tha unki jindagi me subhanallah



Toothbrush miswak ka badal replacement

Kabhi nahi ho sakta jo quality miswak me hai who toothpaste me nahi aa sakti tuthpest is tarah ke chemical hote hai jin se hamare danton ka enamel ghis jata hai.inamal khatam hona shuru hota hai to hamare danton me dhire dhire cavity banna shuru ho jati hai.fir usko rokna mushkil ho jata hai.fir expensive docters ke pass jakar mahange mahange treatment

Karane padte hai usse behter hai miswak regular Karen iske bahot se fayde hai



Miswak karne ka tarika






Pani se dhole miswak ko fir ek inch ek cut lagale or aahista aahista danto se chabate rahe halke halke chabate rahe isse brush brush ki tarah kam dega sunnat ke mutabik bich se shuru kiya jata hai.upar ke danton se shuru kiya jata hai fir right side circular motion mein kiya jata hai.fir wapas usi taraf laya jata fir left side fir niche ke danton ko fir andruni Taur par bhi sare danton ko saf kiya jata hai.yahi nahi danton tak fir juban pe bhi jubanpe jaha hamare test bird hote hain waha tak gale ke end tak awaj nikalti hai waha tak isse muh ki badbu dur hoti hai miswak ki aadat hame dalni chahiye




Ab bat kare body ki badbu ki 







Orte kehti hai ham perfume nahi laga sakte garmiyon me to kya kare kyiki sunnat ke mutabik ger mard ko perfume ki smell nahi aani chahiye to kya kare khushbu nabi e karim sallallahu alayhi wasallam ki bhot pasandida chijo se ek hai yani dunya me jo chije aapne pasand farmai usmese ek khushbu hai or khash tor pe Ud  ki khushbu

Ud is dniya ki sabse mehngi khushbu hai patani kitne lakh ki kilo milti hai ek liquid foam me milti hai dusra lakdi jisko jalanese pure gharme khushbu fel jati hai



Aajkal aroma therapy bahot chalan me hai.

Bada mehnga ilaj bhi hai jisse marijo ka ilaj hota hai.ladkiyi ko khushbu lagani hoto apni body pe andar lagaye or halki khushbu lagani chahiye agar bahir jana hai to kuchh der pehle laga le



Jin logo ko bahot pasina aata hai






Unko gor karna chahiye apni khurak pe kya who bahot jyada kism ke gost to nahi khate jese murgi bhi machhlu bhi chhote ka bhi badeka bhi is wajah se chemical changes hote hai body me jisse harmons tak affected hote hai.fir aapko is kisam ke problem ka samna karna padta hai agar aap sabjiya fal jyada khate hai to is kism ki badbu kam aati hai



Pani jyada piye bahot jyada badbu aarahi haito fitkari ka istemal kare panime dal kar nahaye ya fir underarms me ragad kar thodi der baad dhole fir neem ke pani se nahaye ya pani me nimbu dal kar nahaye sabse best fitkari hai jo lagane se porse bandh ho jate hai or pasina nahi hota or becteriya bhi khatam ho jate hai isliye fitkari ka istemal jarur kare in sha allah pasina nahi hoga or badbu se bhi chhutkara milega

Post a Comment

0 Comments