Natural colour for grey hair
Agar aap chahte ho to janiye kese taiyyar karte hai.
Balome melenin ko badhata hai or balon ko black karta hai.aawla balon ko posan bji deta hai badalti Lifestyle ke chalte khane pine ka asar hamare balon par bhi hota hai
apne safed balon ko kala karna
![]() |
Badhta tanav kharab khana pina or pollution hamare kale balonko umar se pehle hi sfed bana deta hai.ye safed balon ka problem who bhi umar se pehle logo ko bhot paresani hoti hai.or iske chakkar me ham harmful chemical wale hair colour use karne lagte hai.uski wajah se bal or white hona shuru ho jate hai or bilkul rough or bejan ho jate hai or blon se chamak bhi gayab ho jati hai or aagar in chemical base colour ka silsila shuru kar de to thamta hi nahi har 15 din me balonko colour karna padta hai
![]() |
Agar aap bhi chemical base colour ka istemal kar kar ke tang aa chuke haito natural colour kijiye jisse aapke baal jad se kale honge or aage safed bal hone ka khatra bhi kam rahega ye hair die use karnese aapke bal natural pigment hone lagenge or dhire dhire wapas kale ho jayenge ye hair die 50 sal tak ki umar ke logo ke liye bhot kargar hai.
Aawla
Aawla balon ko kala karne or balonko posan dene me kafi asardar hai.vitamin E or C se bharpur aawla faty nutrients oe kai tarah ke vitamin jo balon ki achhi sehat ke lliye jaruri hai.aawla balon me melenin ko badhata hai or balon ke rang ko or jyada kala karta hai. 100 gram aawle me Orange ke Muqabla mein 10 se 30 Guna Jyada vitamin c hota hai. Aanwale ka powder Banakar roj subah Ek chammach kha Lene se bahut fayda deta hai aur balon ke liye bhi bahut effective hai. Isase immunity power badhta hai aur balon mein Chamak Aati hai. Aanwale ko Khali pet khane se haddiyan bhi majbut hoti hai ismein calcium paya jata hai aayiye jante hai ki natural hair dye kese banate hai.
Shikakai
Isme mojud saiponin, vitamin aur antioxidant or vitamin A,C,D,K, se bharpur hai balonko shiny banate hai.
Ye balonko sfed honeke kam ko dhima kartata hai.
Balon ki growth badhata hai
Scalp ko healthy banata hai
Hair loss hone se Bachata hai
Dandruff se chhutkara Dila kar
Scalp me collagen Ko badhata hai.
Shikakai natural or mild cleanser hai.
Yah juon se chhutkara dilata hai.
Yah natural conditioner hai.
Balon ko Patla hone se bachata hai.
Balon ko ulajhne aur tutane se Bachata hai.
Ek lohe ki kadhai,aawla,chaipatti, coffee,vineger,pani,sikakai,mehndi
Banane ka tarika
Ek lohe ki kadai me ek cup pani le
Fir usme do chammach aawla powder dale do chammach chaipatti.do chammach coffee dale.do chammach sikakai powder dale
Fir in sabko achhchhe se ubale 10 minute tak
Fir gas se utar kar jab halka garam hoto isme mehndi dal de 2 ya 3 chammach or ye sab chije aap ke balon ke mutabik dale jitne lambe baal ho
Or fir achhe se mix kare or ek rat rehne de or fir dusre din balon ki jado me lagaye brush ki help se
Dekhe mene ese hi nahi likha hai
Ye aajmaya huva nuska hai aap bhi jarur try kare fir mujhe bataye isko aap bar bar try karoge to apke safed bal in sha allah black hone lagenge or aap chahe to isme ratan jot bhi dal sakte ho ye ek jadibutti hai jo hamare balon ke liye behtreen hai isse or na dalna chaho to nahi ratan jot pe bhi me post likhungi to kesi lagi apke dost ki post comment me jarur bataye
apna khayal rakhe apki dost TASMIYAH.......
1 Comments
زبردست
ReplyDelete